Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, March 15, 2012

Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo! ( Download & Lyrics )

Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo!
Wafaa ki Tasveero!
Tumhen Watan ki Hawain 
Salam Kehti hain
Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo!
Laganay Aag jo aye thay Ashyanay ko
Woh Sholay Apne Lahoo se Bhuja diye Tum ne
Bacha liya hai Yateemi se kitne Phoolon ko
Suhaag kitni Baharon ke Rakh liye Tumne
Tumhain Chaman ki Fazaain 
Salam kehti hain
Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo!
Chalay jo hogay Shahadat ka Jaam Pi kar Tum
Rasool-e-Pak(SaW) ne Banhon mai le liya hoga
Ali(Rza) Tumhari Shuja'at pe Jhoomtay hon ge
Hussain-e-Pak(Rza) ne Irshad yeh kiya hoga
Tumhe Khuda ki Razaain Salam kehti hain
Aye Rah-e-Haq ek Shaheedo!
Janab-e-Fatimah(AS) Zikr-e-Rasool(SaW) ke agay
Shaheed ho ke kiya Maa'n ko Surkh roo Tum ne
Janab-e-Hazrat-e-Zainab(Rza) Gawahi deti hain
Shaheed ho ke rakhi Behnon ki Aabroo Tum ne
Watan ki Betiyan Maain Salam kehti hain
Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo!

Singer      : Naseem Begum

Poet         : Mushir Kazmi
Music      : Saleem Iqbal
Film         : Madr-e-Watan ( 1966 )
Remake   : Tarannum Naz ( 1993 for STN )
                : Mehnaz ( 1996 for STN )
                : Sana Munir ( 1997 for Sound Master )
                : Naeem Abbas Rufi ( 2001 )
Radio Version Released in Oct 1965 
PTV Version Released in Sept 1966

Aye Rah-e-Haq ke Shaheedon by mehnaz-MP3 Free Download-Click Here








Wednesday, March 7, 2012

Yeh Shaheen Hamaray ( Lyrics )

Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Hamaray
Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Hamaray
Watan ke liye Rehmaton ke yeh Hisaar
Adu ke liye Shola dar shola baar
Urain jab to bijli bhi ho sharmsaar 
Nishana banain Dushman-e-Namuraad
Yeh Shahee'n yeh Shahee'n yeh Shahee'n Hamaray
Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Hamaray
Watan ki yeh Ja'n hain Watan in ki Ja'n hai
Nidar hain jari hain Adu tu kahan hai
Alamdaar-e-Amn-o-Amaa'n hai to Amaa'n hai
Pukaray ka Dushman to ban ke tabah hai
Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Hamaray
Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Hamaray
Palatna jhapatna Aadat hai in ki
Adu pe khapatna Ibadat hai in ki
Jahan mai musallam Muharat hai in ki
Sadaqat pe marna Sa'adat hai in ki
Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Hamaray
Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Hamaray
Watan ke liye Rehmaton ke yeh Hisaar
Adu ke liye Shola dar shola baar
Urain jab to bijli bhi ho sharmsaar 
Nishana banain Dushman-e-Namuraad
Yeh Shahee'n yeh Shahee'n yeh Shahee'n Hamaray
Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Yeh Shahee'n Hamaray



Singer              : The Heavens
Poet                 : Flt.Lt.Ghani Akber
Released          : 1993
Album              : Shaheen (PAF Songs Released in 1996 )