Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Masood Rana. Show all posts
Showing posts with label Masood Rana. Show all posts

Tuesday, May 19, 2015

Jangi Taranay Jhankaar جنگی ترانے


Pakistani Jangi Taranay Jhankaar
(پاکستانی یادگار جنگی ترانے (جھنکار کے ساتھ 




اے مردِ مجاہد جاگ ذرا، گلوکار : عنایت حسین بھٹی


اپنی جاں نذر کروں ، گلوکار : مہدی حسن


بھلا جی ہن دھر رگڑا، گلوکار : عنایت حسین بھٹی


دشمنو! تم نے اس قوم کو للکارا ہے ، گلوکار : تصور خانم و شاکت علی


جاگ اٹھا ہے سارا وطن ، گلوکاران : مسعود رانا، شوکت علی و نورجہاں بیگم


کرنیل نی جرنیل نی ، گلوکارہ : نوجہاں


جنگ کھیڈ نئیں ہوندی زنانیاں دی، گلوکاران : تاج ملتانی و نگہت سیما اور دیگر


میریا ڈھول سپاہیا ، گلوکارہ : نورجہاں 


میرا سوہنا شہر قصور نی ، گلوکارہ : نورجہاں


ایہہ پتر ہٹاں تے نئیں وکدے ، گلوکارہ : نورجہاں


اے وطن ہم ہیں تیری شمع کے پروانوں میں ، گلوکار: مسعود رانا و دیگر




Friday, November 8, 2013

Ruko Nahi Jhuko Nahi Yeh Ma'arkay Hain Tez Tar ( Jangi Tarana-Lyrics )



Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Naye Siray se Chhir Chuki 
Naye Siray se Chhir Chuki
Jahan main Jang-e-Kher-o-Shar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ba Khuda Agar Kaheen
Ruk gaye jo Lamha Bhar
Taveel ho Na Jaye Yeh
Jehad ka Haseen Safar
Mita ke Chhorain Zulm ka
Mita ke Chhorain Zulm ka
Jo bhi hai Kaheen Nagar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ittehad Karlen Sab Agar
Jahan bhi hain Yeh Kalma Go
Majaal Kia hai Kufr ki
Hamaray Agay Bole Woh
Mar ke bhi Woh Zinda hain
Mar ke bhi Woh Zinda hain
Chalen jo Rah-e-Hussain(Rza) par
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Nahi Jhuko Nahi 
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar

Singer             : Masood Rana & Chorus
Poet                : Naeem Siddiqui
Music             : Mushtaq Ali

Wednesday, July 31, 2013

Din 14 August Da Yaad Rakhna ( Milli Naghma-Lyrics & Download )


Din 14 August da Yaad Rakhna-Masood Rana,Noor Jehan,Khalid Waheed & Rajab Ali-MP3 Download-Click Here

Din 14 August da Yaad Rakhna
Quaid-e-Azam di Is Amanat Nu
Mere Doston Sada Abad Rakhna
Din 14 August da Yaad Rakhna
Quaid-e-Azam di Is Amanat Nu
Mere Doston Sada Abad Rakhna
Zinda Qauman di Aihaan Pehchan Yaaro!
Kabhi Bhulyaan nai Qurbaniyaan Nu
Saal Bad Azadi da Aaya nU
Taza Karliyan Yadaan Puraniyan Nu
Jehri Soch Allama Iqbal(Ra) di si
Quaid-e-Azam(Ra) ne o di ti Tabeer deti
Amn-e-Kamil Tanzeem Yaqeen-e-Muhkam
Teenan Lafzan ne Badal Taqdeer deti
Momin Azad Rahe Jahan andar
Saaf Dasda hai Rab Quran de Andar
Nara-e-Haidery maar ke Mominan ne
Pakistan Mangya Hindustan de Andar
Pakistan Pakistan Sadi Jind Jan
Pakistan Pakistan Sadi Jind Jan
O Din 14 August da Yaad Rakhna
Quaid-e-Azam di Is Amanat Nu
O Din 14 August da Yaad Rakhna
O Din 14 August da Yaad Rakhna
Rehbar Milya Sidq-e-Imaan wala
O Jehra Apni Aap Misal hoya
Qaum Sutti si Talla O Jaag Daasi
O Banda Rab da howi Kamal hoya
Aik Parcham Thallay Musalman Saray
Ik Huwe te Mushkil Aasan huwi
Naam karwa laasi Wakeel sada
Jeetay Azm toon Duniya Heran huwi
Jo Aagya karke Wafa ditta
Quaid-e-Azam(Ra) noon Sara Jahan Manya
Jinhoon Zid Deewanay As te sun
Zid Puri huwi Pakistan Banya
Pakistan Pakistan Sadi Jind Jan
Pakistan Pakistan Sadi Jind Jan
O Din 14 August da Yaad Rakhna
Quaid-e-Azam di Is Amanat Nu
O Din 14 August da Yaad Rakhna
O Din 14 August da Yaad Rakhna

Singer              : Noor Jehan, Masood Rana,Khalid Wahed & Rajab Ali

Din 14 August da Yaad Rakhna-Masood Rana,Noor Jehan,Khalid Waheed & Rajab Ali-MP3 Download-Click Here



Sunday, January 20, 2013

Mere Watan Ke Ghaziyo! Tumhare Sath Hai Khuda ( Jangi Tarana-Lyrics )

Mere Watan ke Ghaziyo!
Tumhe Kisi ka Khauf kia
Tumhare Sath hai Khuda
Tumhare Sath hai Khuda
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Mere Watan Ke Ghaziyo!
Tumhare Har Jawan ka 
Jalal Be Misal hai
Kare koi Muqabla 
Kisi ki kia Majaal hai
Yeh Kainaat Aazma Chuki hai Tum ko Barhaa
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Mere Watan Ke Ghaziyo!
Tumhe Kisi ka Khauf kia
Tumhare Sath hai Khuda
Tumhare Sath hai Khuda
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Mere Watan Ke Ghaziyo!
Qadam jo Tum Barhao ge 
Kabhi Khuda ki Raah mai
Samajhna Apne Aap ko 
Rasool(SaW) ki Panah mai
Tumhari Rehbari ko Aayen ge Shaheed-e-Karbala
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Mere Watan Ke Ghaziyo!
Tumhe Kisi ka Khauf kia
Tumhare Sath hai Khuda
Tumhare Sath hai Khuda
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Mere Watan Ke Ghaziyo!
Alum Tum Apna Dushmanon ke  
Dil mai Jaake Gaar do
Pahaar bhi ho Samanay to 
Us ko bhi Pichhaar do
Zameen to Phir Zameen hai 
Kahe Falak bhi Marhaba
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Mere Watan Ke Ghaziyo!
Tumhe Kisi ka Khauf kia
Tumhare Sath hai Khuda
Tumhare Sath hai Khuda
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Tu'Izzu Man Tashaa-o-Wa Tuzillu Man Tashaa
Mere Watan Ke Ghaziyo!

Singer           : Masood Raan & Chorus
Poet              : Fayyaz Hashmi
Music           : Nisar Bazmi
Released      : 1971 ( During War for Radio Pakistan )
Film             : Sarhad ki Goad mai ( 1973 )

Thursday, November 8, 2012

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics )

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asma'n Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahan Ke Liye
Ye Aqal-o-Dil Hain Sharar Shola-e-Mohabbat Ke
Woh Khaar-o-Khs Ke Liye Hai, Ye Neeta'n Ke Liye
Maqam-e-Parwarish-e-Aah-o-Nala Hai Ye Chaman
Na Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Ashiya'n Ke Liye
Rahe Ga Ravi-o-Neel-o-Firat Mein Kab Tak
Tera Safina Ke Hai Behar-e-Bekara'n Ke Liye

Nishan-e-Rah Dikhate The Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi Mard-e-Rah Daa'n Ke Liye
Nigah Buland, Sukhan Dil Nawaz, Jaan Pursouz
Yehi Hai Rakht-e-Safar Mir-e-Karwa'n Ke Liye
Zara Si Baat Thi, Andaisha-e-Ajam Ne Isse
Barha Diya Hai Faqat Zaib-e-Dasta'n Ke Liye
Mere Gulu Mein Hai Ek Naghma Jibreel Ashob
Sanbhal Kar Jise Rakha Hai La-Maka'n Ke Liye

Poet        : Poet of the East Dr.Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer     : Masood Rana
Releases : 1967
Radio Pakistan Lahore.

Thursday, August 9, 2012

Yeh Ghaziyon Ka Qafla Rawan Dawan Rahe ( Pak Army-Lyrics )

Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahay
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Watan ka Pasbaa'n Rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa' Rawaa'n Rahe
Barhe Chalo Barhe Chalo 
Hatheliyon pe Sar liye
Kafan ko Sar se Baandh kar 
Kafan mai Apna Sar liye
Barhe Chalo Pay-e-Jehad 
Apna Ghar ka Apna Ghar Liye
Hassan(Rza) ka Hosla Liye
Hussain(Rza) ka Jigar Liye
Paray Qadam jehan jehan 
Wahan Wahan Amaa'n rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaan Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Rasool(SaW) ki Hadees hai
Nabi(SaW) ke Moo'n ki Baat hai
Salam us Khuda ka hai 
Ke Jis ki Kaainat hai
Ali(Rza) ke Laal Sheh-e-Karbala ki Raat hai
Shaheed ki jo Maut hai Woh Qaum ki Hayat hai
Woh Qaum ki Hayat hai.................................
Hayat Qaum ka Nishaa'n 
Sada Sada Jawaa'n Rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Watan ko Dil se Pyar kar ke Yeh bhi Ik Namaz hai
Watan ki Naao Paar kar k Yeh bhi ik Namaz hai
Watan Pe Jaa'n Nisar kar k Yek bhi Ik Namaz hai
Bus Apna Intezaar kar ke Yeh bhi Ik Namaz hai
Yeh Parcham-e-Sitara-o-Hilal 
Sada Kamraa'n Rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahay
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Watan ka Pasbaa'n Rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa' Rawaa'n Rahe

Singer       : Masood Rana & Chorus
Poet           : Wali Sahab
Music       : Nazir Jafari
Released   : 1966
Radio Pakistan Karachi.
Film         : Kashmir ki Kali

Wednesday, August 8, 2012

Aye Watan Hum Hain Teri Shama ke Parwanon mai-Aag ka Darya ( Jangi Tarana-Lyrics & Download )

Aye Watan Hum hain Teri Shama ke Parwanon mai
Zindagi Hosh mai hai Josh hai Imaano mai
Aye Watan Hum hai Teri Shama ke Parwanon mai
Dil-e-Ushaaq ki Maanind Yeh Taptay Maidaa'n
Yeh Lachaktay huwe Jungle Yeh Thiraktay Armaa'n
Yeh Paharon ki Ghataaon mai Jawani ki Uthaan
Yeh Machaltay huwe Daryaaon mai Angarayee ki Shaan
Kitne Roshan hain Diye Tere Shabistanon mai
Aye Wata Hum hai Teri Shama ke Parwanon mai
Zindagi Hosh mai hai Josh hai Imaanon mai
Tere Mazdoor ki Aankhon ke Shararay le kar
Tere Dahqaan ke Mathay ke Sitaaray Le kar
Chandni Boyen ge Jhulse huwe Maidaanon mai
Aye Wata Hum hai Teri Shama ke Parwanon mai
Zindagi Hosh mai hai Josh hai Imaanon mai
Hum Tujhe Aag ka Darya nahi Bannay den ge
Zulm-o-Nafrat ka Tamasha Nahi Bannay den ge
Tujh ko Paalen ge.............Tujh ko Paalen ge
Tujh ko Paalen ge Muhabbat ke Gulistaanon mai
Aye Wata Hum hai Teri Shama ke Parwanon mai
Zindagi Hosh mai hai Josh hai Imaanon mai


Singer              : Masood Rana & Chorus
Poet                : Josh Malihabadi
Music              : Ghulam Nabi Abdul Lateef
Released         : 1965 ( After 1965 War )
Film                : Title Song of  " Aag ka Darya" 1966
Remake          : Imran Nashad ( 1996 for STN )
                        : Anwer Rafi ( In 1990 for PTV )

Aye Watan Hum hain Teri Shama by Imran Nashad( MP3 Audio Free Download-Click Here )




Aye Watan Hum hain Teri Shama ke Parwanon mai by Masood Rana-MP3 Free Download-Click Here





Tuesday, August 7, 2012

Millat Ka Pasban Hai Muhammad Ali Jinnah ( Lyrics & Download )

Millat ka Pasbaa'n hai 
Muhammad Ali Jinnah
Millat hai Jism, Jaa'n hai 
Muhammad Ali Jinnah
Sad Shukr Sar Garm-e-Safar Apna Karwaa'n
Aur Mir-e-Karava'n hai 
Muhammad Ali Jinnah
Millat hui hai Zinda Phir Uski Pukaar se
Taqdeer ki Azaa'n hai 
Muhammad Ali Jinnah
Lagta hai Theek Ja ke Nishanaype Uska Teer
Aisi Kari Kamaa'n hai 
Muhammad Ali Jinnah
Aye Qaum Apne Quaid-e-Azam ki Qadr kar
Islam ka Nishaa'n hai 
Muhaamad Ali Jinnah
Tasveer-e-Azm-e-Jaan-e-Wafa rooh-e-Huriyyat
Hai kon Be Gumaa'n hai 
Muhammad Ali Jinnah
Millat ka Pasbaa'n hai 
Muhammad Ali Jinnah

Poet           : Mian Bashir Ahmed ( in 1945 )
Singer       : Munawwar Sultana & Qadir Faridi ( in 1947 for                                             Radio Pakistan Lahore-Rarest Song )
                  : Khursheed Begum ( In 1967 for Radio Pakistan )
                  : Naseema Shaheen ( For Radio Pakistan )
                  : Ghulam Abbas  ( In 1986 for Radio Pakistan )
                  : Masood Rana ( In 1989 for PTV )
                  : Ahmed Jahanzeb ( In 2005 for PTV )
                  : Khalil Haider  ( In 1997 for STN )
                  : Saleem Javed  ( In 2008 for PTV )
                  : Rahat Fateh Ali Khan ( In 2015 for PTV )
Music        : For Original , Lal Muhammad Iqbal
                  : For Masood Rana's track , Nisar Bazmi

Audio-Millat Ka Pasban Hai

Millat ka Pasban hai Muhammad Ali Jinnah-MP3 Fre Download-Click Here

Millat ka Pasban hai Muhammad Ali Jinnah by Rahat Fateh Ali Khan - MP3 Free Download - Click Here


Tribute to Quaid-e-Azam Mohammad Ali Jinnah- Complete Album of Songs on Quaid-e-Azam -Click Here






Friday, May 18, 2012

Ruko Naheen Jhuko Naheen Yeh Markay Hain Tez Tar ( Jangi Tarana-Lyrics & Download )

Ruko Naheen Jhuko Naheen
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar

Ruko Naheen Jhuko Naheen
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Naye Siray se Chir gyee hai
Jahan mai Jang-e-Kher-o-Shar

Ruko Naheen Jhuko Naheen
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ba Khuda Agar Kaheen Ruk gaye jo Lamha Bhar
Zaleel ho na Jaye Jehad ka Haseen Safar
Mita ke Chorain Zulm ka Nishaa'n
Kaheen bhi Aaye gar Nazar
Ruko naheen Jhuko Naheen
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ittehad Kar len Sab Agar
Jahan bhi hain yeh Kalima go
Majaal kia hai Kufr ki
Hamaray Agay Bolay Woh
Mar ke bhi Woh Zinda hain
Chalen jo Reh-e-Hussain(Rza) par

Ruko Naheen Jhuko Naheen
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar
Ruko Naheen Jhuko Naheen
Yeh Ma'arkay hain Tez Tar

Singer            :  Masood Rana & Chorus
Poet              :
Released       : 1990
Film              : Barood ka Tohfa 

Monday, April 30, 2012

Nara-e-Haideri(Rza).....Talwar Utha Le Aye Mard-e-Momin (Lyrics)

Nara-e-Haideri(Rza)...........................
Talwaar Utha le Aye Mard-e-Momin
Khyber Shikan hai Sada har Teri
Nara-e-Hayderi(Rza)........................
Tere Nigehbaa'n hain Sher-e-Yazdaa'n
Islam ka tu Parcham Uraa
Tere Muqabil Aaye jo Baatil
Maula Ali(Rza) ka Nara Laga
Nara-e-Hayderi(Rza).......................
Talwar utha le Aye mard-e-momin
Khyber Shikan hai Sada har Teri
Nara-e-Hayderi(Rza)........................
Awaaz Aayee Aye Dhol Sipahee
Janay ko tu bhi Tayyar ho
Aayee Azaainain Goonji Chatanain
Dushman pe Aisi Yalghaar ho
Nara-e-Hayderi(Rza).......................
Talwar Utha le Aye Mard-e-Momin
Khyber Shikan har Sada hai Teri
Nara-e-Hayderi(Rza).......................
tere Lahoo se Aye mere Baitay
Seraab hoga Deen-e-Nabi(SaW)
Jo Teer Khana Seenay pe Khana
Ghaziyon ka hai Shewa Yahi
Nara-e-Hayderi(Rza).......................
Talwaar Utha le Aye Mard-e-Momin
Khyber Shikan hai Sada har Teri
Nara-e-Hayderi(Rza)........................


Singer                       : Masood Rana & Mala
Poet                         : Aashoor Kazmi
Music                       : M.Ashraf
Film                          : Sajdah

Saturday, December 31, 2011

Tauheed ke Matwalo ( Lyrics )

Tauheed ke Matwalo
Baatil ko Mita dain ge
Yeh Aaj Qasam Khalo
Tauheed ke Matwalo......................
Chaho to Paharon ko Rastay se hata do Tum
Dehke Huwe Angare Gulzar bana do Tum
Aye Deen ke Rakhwalo(2)
Tauheed ke Matwalo
Baatil ko Mita dain ge
Yeh Aaj Qasam Khalo
Tauheed ke Matwalo......................
Maidaan mai Dushman par Chhaa jao Musalmano !
Tareekh phir aaj Apni Dihrao Musalmano !
Aye Sher ke Dil walo........(2)
Tauheed ke Matwalo
Baatil ko Mita dain ge
Yeh Aaj Qasam Khalo
Tauheed ke Matwalo......................
Maidaan mai Kafir ko Har Gaam pe Maara hai
Aye Ghaziyo Agay Barho Kashmir hamara hai
Kashmir ko Apna lo.........(2)
Tauheed ke Matwalo
Baatil ko Mita dain ge
Yeh Aaj Qasam Khalo
Tauheed ke Matwalo......................


Singer               : Saleem Raza & Masood Rana & Chorus
Poet                  : Tufail Hushyarpuri
Released          : Sept 1965 ( During War )
Film                  : Moajza ( Feb 1966 )



Wednesday, November 30, 2011

Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad ( Lyrics & Download )

Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Jab Tak Qaaim Rahay gi Dunya hoooo hooo
Jab tak qaaim rahay gi Dunya
Rahay ga Tu Abad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Teri Zamee'n ke Sab Rakhwalay
 Tufanon ke Palay hain
Teri Faza mai Urnay walay 
Maut se Khelne walay hain
Tere jawan beton ki
 azmat himmat hai faulad 
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Hum Sab ko Ehsas dilanay 
Aaj ka din yeh Aya hai
Ghaur karen mil kr hum sochain
 kia Khoya kia Paya hai
Hum se kia kia bhool hui hai
Karen hum sab ko yaad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Aik se Aik milen to Giyara 
Aik Akela Kuch bhi nahi
Pyar jahan pe dilon mai ho
Jannat banti hai woh Zameen
Tere saaye mai aaye
Aur hogaye sab Azad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad

Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Jab Tak Qaaim Rahay gi Dunya hoooo hooo
Jab tak qaaim rahay gi Dunya
Rahay ga Tu Abad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad


Singers         : Masood Rana, Shaukat Ali, Naheed Akhter,Akhlaq Ahmed, Mehnaz, Tarannum Naz, Ghulam Abbas, Rajab Ali,Mehjabeen,A.Nayyar,Amjad pervaiz etc
Poet             : Qateel Shifayee
Released      : Aug 1985
Pakistan Television Islamabad Center


Saturday, October 8, 2011

Yaad Karta hai Zamana Unhi Insanon ko (Lyrics & Download)

Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko 
Rok letay hain jo barhtay huwe Tufanon ko
Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko 
Aap hi apne tarapnay ka maza letay hain
Hans ke har Ghum ko woh seenay se laga letay hain
Ghum se dartay huwe dekha nahi deewano ko
Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko 
Muskurata hai koi bharta hai ahaain koi
Chal diya Pher ke Apnon se Nigahain koi
Reh gaya dil mai daba kar koi Armanon ko
Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko
Un ki Himmat pe Khushi Naz kia karti hai
Zindagi un ke qadam choom liya karti hai
Jo baharon se saja detay hain weeranon ko
Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko 

Singer         : Masood Rana
Poet           : Muzaffar Warsi
Music         :G.A.Chishti
Film           : HamRaahi (1966)


Thursday, September 29, 2011

Sathiyo Mujahido Jaag Utha Hai Sara Watan ( Jangi Tarana-Lyrics & Download )



Saathiyo.................................Mujahido
            Jaag utha hai Sara Watan
Saathiyo.................................Mujahido
Aaj Mazloom Zaalim se takraain gai
Apni taqat zamanay se manwain gai
Saam raaji khudaaon pe Chhaa jain gai
           Sath hain mard-o-zan
           Sar se bandhay Kafan
Saathiyo.................................Mujahido
            Jaag utha hai Sara Watan
Saathiyo.................................Mujahido
Jo bhi Rastay mai aye ga kut jai ga
Ran ka Maidaan Laashon se pat jai ga
           Har jari Saf Shikan
           Har jawan Tegh-e-zan
Saathiyo.................................Mujahido
            Jaag utha hai Sara Watan
Saathiyo.................................Mujahido
Dil mai Qur'an honton pe Takbeer hai
Josh-e-Abbas hai Azm-e-Shabbiir hai
Har Musalman Haidar ki Shamsheer hai
           Sar pe Saya figan
          Dast-e-Khybar Shikan
Saathiyo.................................Mujahido
            Jaag utha hai Sara Watan
Saathiyo.................................Mujahido

Singer    : Masood Rana & Shaukat Ali
Poet       : Himayat Ali Shaair
Music    : Khalil Ahmed
Release :  2 Sept. 1965
Film       : Mujahid
Radio Version
Release  : 7.Sept 1965
Radio Pakistan Lahore
Remake : Amjad Hussain (1997 for STN)
               : Waris Baig   (1995 for STN)
               : Shaukat Ali  ( 1994  for PTV)
               : Shaukat Ali & Imran Shaukat ( 2009 for ISPR)

Sathiyo! Mujahido Jaag utha hai Sara Watan by Masood Rana & Shaukat Ali-Jangi Tarana-MP3 Free Download-Click Here 

Sathiyo Mujahido Jag Utha hai Sara Watan-Film Version by Masood Rana & Shaukat Ali-MP3 Free Download-CLick Here
Jaag Utha hai Sara Watan by Waris Baig-MP3 Free Download-Click Here


Sathiyo! Mujahido! Jaag Utha hai Sara Watan-Remake by Shaukat Ali & Imran Shaukat-ISPR Song-MP3 Download-Click Here



ساتھیو! مجاہدو! جاگ اٹھا ہے سارا وطن

ساتھیو! مجاہدو
آج مظلوم ظالم سے ٹکرائیں گے
اپنی طاقت زمانے سے منوائیں گے
سامراجی خداؤں پہ چھا جائیں گے
ساتھ ہیں مرد و زن سر سے باندھے کفن
ساتھیو! مجاہدو! جاگ اٹھا ہے سارا وطن
ساتھیو! مجاہدو
جو بھی رستے میں آئے گا کٹ جائے گا
رن کا میدان لاشوں سے پٹ جائے گا
آج دشمن کا تختہ الٹ جائے گا
ہر جری صف شکن ہر جواں تیغ زن
ساتھیو! مجاہدو! جاگ اٹھا ہے سارا وطن
  ساتھیو! مجاہدو  
دل میں قرآن ہونٹوں پہ تکبیر ہے
جوشِ عباسؓ ہے عزمِ شبیرؓ  ہے
ہر مسلمان حیدرؓ کی شمشیر ہے
سر پہ سایہ فگن دستِ خیبر شکن
ساتھیو! مجاہدو! جاگ اٹھا ہے سارا وطن
ساتھیو! مجاہدو