پاکستانی قومی نغمات کی واحد ا ور مکمل ویب سائٹ
An Encyclopedia of Pak Patriotic Songs****
Largest Audio/Video Personal Collection of Pakistani Patriotic Songs
Owner:Absar Ahmed****
National Record Maker..!!
Yeh Des Hamara hai Isay Hum ne Sanwara hai Yeh Des Hamara hai Isay Hum ne Sanwara hai Is ka Ik Ik Zarra Hamen Jaan se Pyara hai Yeh Des.................Yeh Des Yeh Des Hamara hai Isay Hum ne Sanwara hai Mazdoor bhi Hum Is ke Dehqaan bhi Hum Is ke Allah ki Raza se hain Nigehbaan bhi Hum Is ke Rung Is ko Diye Hum ne Rang Is ko Diye Hum ne Isay Hum ne Nikhara hai Yeh Des.................Yeh Des Yeh Des Hamara hai Isay Hum ne Sanwara hai Shaheen bhi Hum Is ke Jawaan bhi Hum Is ke Behtay huwe Paani par Nigehbaan bhi Hum Is ke Utha lo Zara Parcham Phir Is ne Pukaara hai Yeh Des.................Yeh Des Yeh Des Hamara hai Isay Hum ne Sanwara hai
Singer : Afshan Ahmed , Waseem Baig & Chorus Poet : Bashir Farooq ( Last Stanza by Absar Ahmed ) Music : Sohail Rana Released : 1988 Pakistan Television Islamabad
Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Khuda karay...............................Khuda karay Khuda karay Sada Hari Bhari rahay Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Dilon mai koi Khwaab tha Basa hua Nazar mai ik Gulab tha Chhupa hua Dilon mai koi Khwaab tha Basa hua Nazar mai ik Gulab tha Chhupa hua Ajab Bahar mai Khila Woh Mahtaab ka Ajab Bahar mai Khila woh Phool Mahtaab ka Yeh Taazgi, Yeh Zindagi, Yeh Zindagi Khuda Karay............................Khuda karay Khuda karay Sada yeh Chandni rahay Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Khuda karay...............................Khuda karay Khuda karay Sada Yeh Chandni rahay Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Khuda-e-Meharba'n ki yeh Nishaniyan Rawan Dawan Yeh Rang Rang Badliyan Khuda-e-Meharba'n ki yeh Nishaniyan Rawan Dawan yeh Rang Rang Badliyan Woh Badliyon ki Aut se Pukarti hai Kehkasha'n Woh Badliyon ki Aut se Pukarti hai Kehkasha'n Yeh Badliyaa'n Yeh Kehkasha'n Yeh Aasma'n Khuda Karay ...............................Khuda karay Khuda karay Yeh Kehkasha'n saji rahay Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Haseen tar ho Perhan Baahar ka Buland tar ho Naam is Dyar ka Yeh Rastay Sajay rahain Yeh Phool Ban Khilay rahain Yeh Madhbhari kali kali Yeh Zindagi Khuda Karay............................Khuda Karay Khuda Karay Sada Hari Bhari Rahay Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Khuda karay...............................Khuda karay Khuda karay Sada Hari Bhari rahay Zamee'n ki god Rang se Umang se Bhari rahay Singer : Muhammad Ifrahim Poet : Asad Muhammad Khan Music : Sohail Rana Released : 1980 ( PTV ) Remake : Waseem Baig Re-Arrange : Mir Zohair Ali Gardezi ( 2015 )
Mai bhi Pakistan hoon Tu bhi Pakistan hai Tu to Meri jaan hai Tu to Meri Aan hai Tu Mera Imaan hai Mai bhi Pakistan hoon Tu bhi Pakistan hai Kehti hain yeh Raah-e-Amal Aao Hum sath chalen Mushkil ho ya Aasaani Hath mai dalay hath chalen Dharkan hai Punjab agr Dil Apna Mehran hai Mai bhi Pakistan hoon Tu bhi Pakistan hai Tu to Meri jaan hai Tu to Meri Aan hai Tu Mera Imaan hai Mai bhi Pakistan hoon Tu bhi Pakistan hai Gulshan hon ya Parbat hon Hum se koi Door nahi Dil kis ki Tareef karay Har Gosha hai Aap Hasee'n Suraj hai Sarhad ki Zamee'n Chan Baluchistan hai Mai bhi Pakistan hoon Tu bhi Pakistan hai Tu to Meri jaan hai Tu to Meri Aan hai Tu Mera Imaan hai Mai bhi Pakistan hoon Tu bhi Pakistan hai Pakistan Nazaria bhi Pakistan yaqee'n bhi haI Pakistan Aqeeda bhi Pakistan Zamee'n bhi hai Rang barangi Dunya mai Is ki yeh Pehchan hai Mai bhi Pakistan hoon Tu bhi Pakistan hai Tu to Meri jaan hai Tu to Meri Aan hai Tu Mera Imaan hai Mai bhi Pakistan hoon Tu bhi Pakistan hai Singer : Muhammad Ali Shyhaki Poet : Sehba Akhter Music : Sohail Rana Released : 1982 ( PTV Karachi Center) Remake : Awaz Group (1991) Waseem Baig Mai bhi Pakistan hoon by Muhammad Ali Shyhaki-MP3 Free Download-Click Here Main bhi Pakistan hoon by Awaz Group-MP3 Free Download-Click Here