Ye Watan tumhara hai,
Tum ho Pasban is ke,
Ye chaman tumhara hai,
Tum ho Naghma-khuaan is ke.
Ye Watan Tumhara hai,
Tum ho Pasban is ke.
Iss chaman ke Phoolon par,
Rang -o- Aab tum se hai,
Iss zameen ka har zarrra,
Aftab tum se hai,
Ye Fiza Tumharee hai,
Behr-o-Bar Tumharey hain,
Kehkeshan ke ye jaley,
Rehguzar Tumharey hain.
ye watan tumhara hai,
tum ho pasban is ke.
Iss zameen kee mitti main,
khoon hai shaheedon ka,
arz-e-pak markaz hai,
Qaum kee umeedon ka,
Nazam-o-zabt ko Apna,
Meer-e- Karwan jano,
waqt ke andhron mein,
Apna Aap pehchanno.
ye watan tumhara hai,
tum ho pasban is ke.
ye Zameen Muqaddas hai,
Maan ke pyar kee soorat,
iss chaman mein tum sab ho,
Barg-o-baar kee soorat,
dekhna gawana mut,
dolat-e-yaqeen logo!
ye watan Amanat hai,
aur tum !Amee'n Logo!
Ye Watan Tumhara hai,
Tum ho Pasban is ke.
Meer-e-Karwan Hum thay,
Rooh-e-karwan Tum ho,
Ham to sirf Unwa'n thay,
Asl Dastan tum ho,
Nafraton ke Darwazey
inn pe band hee rakhna,
iss Watan ke Parcham ko,
Sar baland hee rakhna,
ye Watan Tumhara hai,
Tum ho Pasban is ke
ye Chaman Tumhara hai,
Tum ho Naghma-khwan is ke
Tum ho Pasban is ke,
Ye chaman tumhara hai,
Tum ho Naghma-khuaan is ke.
Ye Watan Tumhara hai,
Tum ho Pasban is ke.
Iss chaman ke Phoolon par,
Rang -o- Aab tum se hai,
Iss zameen ka har zarrra,
Aftab tum se hai,
Ye Fiza Tumharee hai,
Behr-o-Bar Tumharey hain,
Kehkeshan ke ye jaley,
Rehguzar Tumharey hain.
ye watan tumhara hai,
tum ho pasban is ke.
Iss zameen kee mitti main,
khoon hai shaheedon ka,
arz-e-pak markaz hai,
Qaum kee umeedon ka,
Nazam-o-zabt ko Apna,
Meer-e- Karwan jano,
waqt ke andhron mein,
Apna Aap pehchanno.
ye watan tumhara hai,
tum ho pasban is ke.
ye Zameen Muqaddas hai,
Maan ke pyar kee soorat,
iss chaman mein tum sab ho,
Barg-o-baar kee soorat,
dekhna gawana mut,
dolat-e-yaqeen logo!
ye watan Amanat hai,
aur tum !Amee'n Logo!
Ye Watan Tumhara hai,
Tum ho Pasban is ke.
Meer-e-Karwan Hum thay,
Rooh-e-karwan Tum ho,
Ham to sirf Unwa'n thay,
Asl Dastan tum ho,
Nafraton ke Darwazey
inn pe band hee rakhna,
iss Watan ke Parcham ko,
Sar baland hee rakhna,
ye Watan Tumhara hai,
Tum ho Pasban is ke
ye Chaman Tumhara hai,
Tum ho Naghma-khwan is ke
1 comment:
Can I simply saay what a reloef to uncover
somebody that truly understands what they're discussing onn the internet.
You actually realize how to bring a problem to light and make it important.
A lot more people need to read this annd understand thks side of the story.
I was surprised that you're not more poular because you
surely have the gift.
Post a Comment