Abhi Tak Admi Sayd-e-Zaboon-e-Sheher Yari Hai
Qayamat Hai Ke Insan Nau-e-Insa'n Ka Shikari Hai
Nazar Ko Kheerah Karti Hai Chamak Tehzeeb-e-Hazir Ki
Ye Sannaee Magar Jhoote Nagon Ki Rezakari Hai
Woh Hikmat Naz Tha Jis Par Khiradmandan-e-Maghrib Ko
Hawis Ke Panja-e-Khoonee'n Main Taegh-e-Karzari Hai
Tadabbur Ki Fasoon Kari Se Mohkam Ho Nahin Sakta
Jahan Main Jis Tamaddan Ki Bina Sarmayadari Hai
Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi, Jahannum Bhi
Ye Khaki Apni Fitrat Mai Na Noori Hai Na Naari Hai
Kharosh Amoz-E-Bulbul Ho, Girah Ghunche Ki Wa Kar De
Ke Tu Iss Gulistan Ke Waste Baad-e-Bahari hai
Phir Uthi Asia Ke Dil Se Chinkari Mohabbat Ki
Zameen Joulan Geh-e-Atlas Qabayan-e-Tatari Hai
Baya Paida Khareedarst Jaan-e-Natoowane Ra
“Pas Az Muddat Gudaz Aftaad Barma Karwame Ra”
Poet : Hazrat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer : A.Nayyar
Pakistan Television Karachi Center.
Tulu-e-Islam-Abhi Tak Aadmi Said-e-Zaboon-e-Sheharyari hai by A.Nayyar-MP3 Free Download-Click Here

No comments:
Post a Comment