Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Hont jalte rahe, tha samandar yahaan
Aag pe paniyon se likha hai dhuwaan
Jal gai khaak pe ug rahi hai zameen
Uth gaey haath ki jhuk rahi hai jabeen
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Mar gai zindagi, jee raha hai koi
Aur koi yahaan mout hai jee raha
Koi le kar chala ik kiran mehrbaan
Koi sooraj ki aankhen yahan see raha
Raat ko apni khoi shama mil gai
Jo lutaai woh saari jama mil gai
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Ab to sehmi hawa lafz ummed sunne sunaane lagi
Aik nannhi kiran apna sooraj naya phir banaane lagi
Jism chalte rahe paaon se khuwab ke
Band oonche kiye aankh mein aap ke
Gheyr li sach ne chaaron taraf se badi
Mere sir se nahi thi ye mushkil bari
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Mit sakhe kyia kabhi jo k mitti se hain
Aur zameen-zaad wo apni mitti k hain
Ishq aisa kiya ke gawaah hai Khuda
Aaj kitne wo bete ke mitti mein hain
Aey Khuda bakhsh de tu zameen wo haseen
Aik hi jaan thi wo bhi hans ke di
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Singer : Rahat Fateh Ali & Shafqat Amanat
Poet : Imran Raza
Music : Saahir Ali Baaga
Released : 2011
OST : Faseel-e-Jan se Agay
No comments:
Post a Comment