Aijaz Hai Kisi Ka Ya Gardish-e-Zamana
Toota Hai Asia Mein Seher-e-Farangiyana
Tameer-e-Ashiyan Se Main Ne Ye Raaz Paya
Ahl-e-Nawa Ke Haq Mein Bijli Hai Ashiyana
Ye Bandagi Khudai, Woh Bandagi Gadai
Ya Banda-e-Khuda Ban Ya Banda-e-Zamana
Ghafil Na Ho Khudi Se, Kar Apni Pasbani
Shaid Kisi Haram Ka Tub Hi Hai Astana
Ae LA ILAH Ke Waris! Baqi Nahin Hai Tujh Mein
Guftar-e-Dilbarana, Kirdar-e-Qaharana
Teri Nigah Se Dil Seenon Mein Kanpte The
Khoya Gya Hai Tera Jazb-e-Qalandarana
Raaz-e-Haram Se Shaid Iqbal Ba-Khabar Hai
Hain Iss Ki Guftugu Ke Andaz Mehramana
Poet : Hazrat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer : Tarannum Naz
Music : Khalil Ahmed
Released : 1986
Pakistan Television Karachi Center.

No comments:
Post a Comment