Khol Ankh, Zameen Dekh, Falak Dekh, Faza Dekh
Mashriq Se Ubharte Huwe Suraj Ko Zara Dekh
Iss Jalwa-e-Beparda Ko Pardon Mein Chupa Dekh
Ayyam-e-Judai Ke Sitam Dekh, Jafa Dekh
Betab Na Ho Maarika-e-Beem-o-Rija Dekh!
Hain Tere Tassaruf Mein Ye Badal, Ye Ghataen
Ye Gunbad-e-Aflak, Ye Khamosh Fazaen
Ye Koh Ye Sehra, Ye Sumandar Ye Hawaen
Theen Paish-e-Nazar Kal To Farishton Ki Adaen
Aaeena-e-Ayyam Mein Aaj Apni Ada Dekh
Samjhe Ga Zamana Teri Ankhon Ke Ishare
Dekhain Ge Tujhe Door Se Gardoon Ke Sitare
Na-Paid Tere Behar-e-Takhiyyul Ke Kinare
Pohanche Ge Falak Tak Teri Aahon Ke Shirare
Tameer-e-Khudi Kar, Asar-e-Aah-e-Rasa Dekh
Khurshid-e-Jahan Taab Ki Zou Tere Sharar Mein
Abad Hai Ek Taza Jahan Tere Hunar Mein
Jachte Nahin Bakhshe Huwe Firdous Nazar Mein
Jannat Teri Pinhan Hai Tere Khoon-e-Jigar Mein
Ae Paikar-e-Gil Koshish-e-Peham Ki Jaza Dekh
Nalinda Tere Uood Ka Har Taar Azal Se
Tu Jinse-e-Mohabbat Ka Khireedar Azal se
Tu Peer-e-Sanam Khana-e-Asrar Azal Se
Mehnat Kash-o-Khoon Raiz-o-Kam Azaar Azal Se
Hai Rakab-e-Taqdeer-e-Jahan Teri Raza, Dekh
Poet : Hazrat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer : Zamarrud Bano & Taj Multani
Released : 1964
Radio Pakistan Lahore
Re-Sing : Ghulam Ali
Released : 1977
Re-Sing : Chorus
Released : 1981
Re-Sing : Jawwad Ahmed
Released : 2007
Khol Ankh Zameen Dekh falak Dekh Faza Dekh by Jawwad Ahmed-MP3 Free Download-Click here
Khol Aankh Zameen Dekh Falak Dekh by Ghulam Ali-Kalam-e-Iqbal-MP3 Free Download-Click here

No comments:
Post a Comment