Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Sunday, May 19, 2013

Jaago Pakistan Jaago ( Lyrics & Download )


Pakistan ka Matlab Kia.....La Ilaha Illallah
Pakistan ka Matlab Kia.....La Ilaha Illallah
Jaago Pakistan...............Jaago
Jaago Pakistan...............Jaago
Jaago Pakistan...............Jaago
Dharti ne Hum ko Pukara
Utho Watan Yeh Hamara
Utho Yeh Watan Hamara
14 Sau Saal Pehle
Hum ne kiya Yeh Dee'n Qubool
Phir Is Rah ko gaye Bhool
Banay Hum Gheron ke Peron ki Dhool
Badalna Yeh Zamana hai
Waqt phir se Dohrana hai
Ruken Na Qadam hon jo Sitam
Shaheed hon ya Ghaazi Jeeten ge Hum
Dartay hain Hum se Shar
Yad Rakhna Hum hain Quiad ka Fakhar
Firqon mai Batay Zaaton mai Katay
Bikhray jo Hum Kat Kat ke Giray
Quaid ka jo Farmaan hai
Amn ka Yeh Pegham hai
Dil mai Basaao Khud ko Jagaao
Mere Peechay Aao  Sab Mil ke Gaao
Jaago Pakistan...............Jaago
Jaago Pakistan...............Jaago
Jaago Pakistan...............Jaago
Dharti ne Hum ko Pukara
Utho Watan Yeh Hamara
Utho Yeh Watan Hamara
Yaad Karo Woh Behan ki Sada
Jis ki Khaatir Qasim tha Utha
Khola Us ne Baab-ul-Islam
Mard-e-Momin ko Mera Salam
Tariq ne Jala deen Kashtiyaan
Roz Paida hoti Nahi Aisi Hastiyaan
Syed ki jo Kaavish thi
Rab ki Rehmat ki Baarish thi
Dekha tha jo Iqbal ne Khwaab
Tabeer Us ki La Jawab
Jinnah ka Pakistan hai
Oonchie Is ki Shan hai
Kion Ghum ke Chhaaye hai Badal
Kahan hai Ab Apni Manzil
Kho gaya Shaheen Iqbal ka
Chhaa gaya Andhera Zawaal ka
Har Taraf hai Zulm-o-Ghurbat kion
Socho Yeh Qaum ki hai Halat kion
Kis ka Tum ko Intezaar
Hum Muztarib Hum Be Qaraar
Ab Qasim hai Na Tariq hai
Na Sir Syed Na Quaid
Unhe Dil mai Basaao
Khud KO Jagaao
Koi Qasim,Tariq, Qauid hai
Jaago Pakistan...............Jaago
Jaago Pakistan...............Jaago
Jaago Pakistan...............Jaago
Dharti ne Hum ko Pukara
Utho Watan Yeh Hamara
Utho Yeh Watan Hamara
Pakistan ka Matlab Kia.....La Ilaha Illallah
Pakistan ka Matlab Kia.....La Ilaha Illallah 

Singer                 : Waqar Raaj
Released            : 2013

 Jaago Pakistan by Waqar Raaj-New Patriotic Song-MP3 Free Download-Click Here

Saturday, May 18, 2013

Jeet Hamara Mustaqbil Hai ( New Patriotic Song by Qayaas Band-Lyrics & Download)

Jab Aik Hogay
To Kabhi Na Doob Sako ge
Jab Aik Hogay
To Kabhi Na Doob Sako ge
Utho Tum...........Gaao Tum
Jeet Hamari hai...............!!!
Utho Tum...........Gaao Tum
Jeet Hamari hai...............!!!
Yak Jahti ka Parcham Thaamay
Tum Aagay Barhtay Jaao
Tum Aao Mere Sath
Haathon mai Thaamay Hath
Jeet Hamara Mustaqbil hai
Jeet Hamara Mustaqbil hai
Jeet Hamara Mustaqbil hai
Geet Hamaray aur Yeh Parcham
Lehraayen ge Ab to Har Soo
Subh Saweray ki Kirnon ne
Zindagi ka Pata Bataya
Yak Jahti ka Parcham Thamay
Tum Aagay Barhtay Jaao
Tum Aao Mere Sath
Haathon mai Le ke Hath
Jeet Hamara Mustaqbil hai
Jeet Hamara Mustaqbil hai
Jeet hamara Mustaqbil hai

Singer          : Qayaas Band
Music          : Qayaas Band
Released     : 2013

Monday, May 13, 2013

Dhoom Macha De Dhoom ( Pak Army Song-Lyrics & Download )

Dhoom Macha De Dhoom Macha De
Dhoom Macha De...................Dhoom
Koi Zameen ho Koi bhi Maidaa'n
Dhoom Macha De...................Dhoom
Dhoom Macha De Dhoom Macha De
Dhoom Macha De...................Dhoom
Kaam Koi Kar Jaayen Aisa
Duniya Jaaye Jhoom
Kaam koi Kar Jaayen Aisa
Duniya Jaaye Jhoom
Jeet ki Raahen 
Yaaro! Apne Qadmon ko len Choom
Dhoom Macha De Dhoom Macha De
Dhoom Macha De...................Dhoom
Koi Zameen ho Koi bhi Maidaa'n
Dhoom Macha De...................Dhoom
Aas Pyas hai Sahra ko
Kar do Seraab Mil ke Darya
Aas Pyas hai Sahra ko
Kar do Seraab Mil ke Darya
Tum par Bharosa hai
Tum par Yaqee'n hai
Janbaz Tum sa Jahan mai nahi hai
Koi bhi Baazi jaaye Na Khaali
Tum par hai Sab ki Nigaah.....!!
Dhoom Macha De Dhoom Macha De
Dhoom Macha De...................Dhoom
Koi Zameen ho Koi bhi Maidaa'n
Dhoom Macha De...................Dhoom
Mushkil koi bhi ho Ghabrana
Seekha Nahi Hum ne Dar Jana
Mushkil koi bhi ho Ghabrana
Seekha Nahi Hum ne Dar Jana
Rishat Mera Aisa hai Sarzamee'n se
Hota hai Jese ke Ghar ka Makee'n se
Hum hain Watan se
Hum se Watan hai
Is se hai Har Silsila..........................!!!
Dhoom Macha De Dhoom Macha De
Dhoom Macha De...................Dhoom
Koi Zameen ho Koi bhi Maidaa'n
Dhoom Macha De...................Dhoom
Dhoom Macha De Dhoom Macha De
Dhoom Macha De...................Dhoom
Kaam Koi Kar Jaayen Aisa
Duniya Jaaye Jhoom
Kaam koi Kar Jaayen Aisa
Duniya Jaaye Jhoom
Jeet ki Raahen 
Yaaro! Apne Qadmon ko len Choom
Dhoom Macha De Dhoom Macha De
Dhoom Macha De...................Dhoom
Koi Zameen ho Koi bhi Maidaa'n
Dhoom Macha De...................Dhoom

Singer               : Nadeem Jafri
Lyrics               : Sabir Zafar
Composed        : Frindge benefits
Released           : 1999 ( During World Cup )
Video                : In 2001 ISPR for Pak Army

Dhoom Macha De Dhoom by Nadeem Jafri-Pak Army Song (PEPSI World Cup Album 99) MP3 Free Download-Click Here


Friday, May 10, 2013

Hum Aik Hain.......Hum Pakistan Ke Betay Hain ( New Patriotic Song-Lyrics & Download )

Hum Aik hain................Hum Aik hain
                  Hum Aik Hain
Hum Sindhi Hum Balochi Hum Punjabi Pathan Nahi
Hum Pakistan ke Betay hain aur Koi Apna Naam Nahi

Hum Aik hain................Hum Aik hain
                  Hum Aik Hain
Iqbal ne Khwaab dikhaya tha
Quaid ne Usay Banaya tha
Hamain Apna Farz Nibhana hai
Hamain Mil ke Usay Sajana hai
Hum Pakstan ke Betay hain aur koi Apna Naam Nahi
Hum Aik hain................Hum Aik hain
                  Hum Aik Hain
Hum Aik hain................Hum Aik hain
                  Hum Aik Hain
Ab Bhool ke Sab Nafrat Jhagray
Aao Mil kar Hum Sab Sath Chalen
Phir Uglay gi Dharti Sona
Aur Mehkay ga Kona Kona
Jo Hath mai Daalay Hath Chalen
Hum Aik hain................Hum Aik hain
                  Hum Aik Hain
Hum Aik hain................Hum Aik hain
                  Hum Aik Hain
Hum Pakistan ke Betay hain aur Koi Apna Naam Nahi

Hum Aik hain................Hum Aik hain
                  Hum Aik Hain

Singer               : Muhammad Ali Shyhaki
Released          : 2012

Hum Aik Hain Hum Pakistan Ke betay hain by Muhammad Ali Shyhaki-New Patriotic Song-MP3 Free Download-Click Here






Tabdeeli Aa Gyee Hai Yaaro..!! New Patriotic Song ( Lyrics & Download )

Sun lo Saaro! Mere Pyaro!
Tabdeeli Aa gyee hai Yaaro!
Apni Qismat Aap Sunwaro
Tabdeeli Aa gyeehai Yaaro!
Buhat ho chuki be Imani
Buhat ho chuki Man Maani
Gas,bijli aur Paani ki Pareshani
Buhat ho chuki Mehngayee
Buhat ho chuki Ruswayee
Ab Aa gyee Rehnumayee
Ik Tufaani.............................
Apni Zimmedariyon ko Tum Jaan lo
Ghaur se In Luteron ko Tum Pehchan lo
In ko Kursi se Utaaro!
Tabdeeli Aa gyee hai Yaaro!
Watan ki Halat ko Sudhaaro!
Tabdeeli Aa gyee hai Yaaro!
Ab Ghareeb Na Roye ga
Insaf Na Khoye ga
Bhooka Na Soye ga
Kabhi Dooobara....................!!!!
Rozgaar bhi Mile ga
Sarmaya bhi Barhay ga
Taleem bhi Paaye ga
Sab se Aala............................!!!!
Tanzeem,Ittehad,Iman 
Ab Rug Rug mai Bahay
Sab se Agay Pakistan ka hi Naam Rahay
Koi Himmat Na Haaro!
Tabdeeli Aa gyee hai Yaaro!
Chahay Mushkilen Hazaaron
Tabdeeli Aa gyee hai Yaaro!

Sun lo Saaro! Mere Pyaro!
Tabdeeli Aa gyee hai Yaaro!
Apni Qismat Aap Sunwaro
Tabdeeli Aa gyeehai Yaaro!

Singer           : Waqas & Atif
Released       : 2012

Tabdeeli Aa Gyee Hai Yaaro!-New Patriotic Song by Atif &Waqas-MP3 Free Download

Tuesday, May 7, 2013

National Anthem of Pakistan-Rare Video of PTV


Pak Sarzameen Shadbad
Kishwar-e-Haseen Shadbad
Tu Nishan-e-Azm-e-Aali Shaan
Arz-e-Pakistan
Markaz-e-Yaqee'n Shadbad
Pak Sarzameen ka Nizam
Quwat-e-Akhuwat-e-Awam
Qaum,Mulk,Sultanat
Paainda Tabidabad
Shad Baad Manzil-e-Murad
Parcham-e-Sitara-o-Hilal
Rehbar-e-Taraqqi-o-Kamal
Turjuman-e-Maazi-Shan-e-Haal
Jaan-e-Istaqbaal
Saaya-e-Khuda-e-Zul Jalaal

Singers         : Ahmed Rushdi,Nehal Abdullah,Naseema Shaheen,Firdousi Begum,
                      Nazir Begum,Ghulam Dastagir,Zawwar Hussain & Others
Lyrics          : Abul Asar Hafeez Jalandhari
Compose     : Ahmed Karim G.Chhagla
Released     : 13th August 1954.

Zameen Jaagti Hai Aasman Janta Hai ( Pak Army Song by Atif Aslam-Lyrics & Download )

Raat Bhar Jaltay Sooraj ko jo diye Hum ne Kaandhay
Paaon mai Andheron ke jo Hum ne Jugnu Baandhay
Khudaya jo bhi Jalta Nazara raha
Hamaray Is Lahoo se Nikhara huwa
Zameen Jaagti hai Yeh Aasma'n Janta hai
Zameen Mangti hai jo Aasma'n mangta hai
Ragon mai jo Tehra Wohi Beh raha hai
Salam Us pe jo Is Zamee'n pe Mita hai
Khoon mai Nahaaye huwe Jismon se Poocho
Is Zameen pe jaa'n Lutanay ka Maza hai Kia
Nafraton ki Saans Phooli hai Aaj Kese
Raakh Jis ne Ghar kiya hai us ki Saza hai Kia
Andheray ki jo Inteha hai
Sawaray ki Woh Ibtada hai
Khudaya jo bhi Jalta Nazara raha
Hamaray Is Lahoo se Nikhra huwa
Zameen Jaagti hai Yeh Aasma'n Janta hai
Zameen Mangti hai jo Aasma'n mangta hai
Ragon mai jo Tehra Wohi Beh raha hai
Salam Us pe jo Is Zamee'n pe Mita hai
Mil ke Chalay to Manzil Khud Aa Mili hain
Sung Chalay to Ban gaya Woh Qaflaa hai kia
Hosla Ab Na Thakay Tum Yeh to Socho
Paaon bhar ka Rasta bhi Rasta hai kia
Dukhon ki Bus Yahi Saza hai
Kiya Khushi ko Ab Rehaa hai
Khudaya jo bhi Jalta Nazara raha
Hamaray Is Lahoo se Nikhara huwa
Zameen Jaagti hai Yeh Aasma'n Janta hai
Zameen Mangti hai jo Aasma'n mangta hai
Ragon mai jo Tehra Wohi Beh raha hai
Salam Us pe jo Is Zamee'n pe Mita hai

Singer                           : Atif Aslam
Music                           : Shiraz Uppal
Released                      : 2013 ( Yaum-e-Shuhada Pak Army )

Zameen Jagti Hai Yeh Asman Janta hai by Atif Aslam-Pak Army Song-2013-MP3 Free Download-Click Here

Wednesday, May 1, 2013

Pyare Watan Laaye Hum Jan-o-Dil Tere Liye ( Memorable Milli Naghma-Lyrics )

Pyare Watan Laaye Hum
Jaan-o-Dil Tere Liye
Pyare Watan Laaye Hum 
Jan-o-Dil Tere Liye
Jab bhi Kabhi Chahay ga Tu
Tujh pe Fida ho Jaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum
Jan-o-Dil Tere Liye
Sab se Bara hai Quaid Hamara
Jis ne Diya hai Yeh Mulk Hum ko
Hum ko Hamari Manzil Dikhayee
Rehbar Bana kar Shah-e-Umam(SaW) ko
Hum aur Hamari Aainda Naslen
Choomen gi Uske Naqsh-e-Qadam ko
Sab se Bara hai Quaid Hamara
Jis ne Diya hai Yeh Mulk Hum ko
Hum ko Hamari Manzil Dikhayee
Rehbar Bana kar Shah-e-Umam(SaW) ko
Hum aur Hamari Aainda Naslen
Choomen gi Uske Naqsh-e-Qadam ko
Apnaayen ge Uska Amal 
Hum Behr-o-Bar pe Chhaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum
Jaan-o-Dil Tere Liye
Hum hain Sajeelay Funkaar Tere
Hai Fun Hamara Inam Tera
Apna Qalam ho ya Saaz koi
Le ga Adab se Woh Naam Tera
Jitnay Hamaray hain Shahparay
Detay hain Saray Pegham Tera
Hum hain Sajeelay Funkaar Tere
Hai Fun Hamara Inam Tera
Apna Qalam ho ya Saaz koi
Le ga Adab se Woh Naam Tera
Jitnay Hamaray hain Shahparay
Detay hain Saray Pegham Tera
Hum ko Mili Chahat Teri
Tere hi Naghmay Gaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum 
Jan-o-Dil Tere Liye
Jab bhi Kabhi Chahay ga Tu
Tujh pe Fida ho Jaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum 
Jan-o-Dil Tere Liye


Singers              : Zarqa,Mehwish & Rustam Fateh Ali Khan
Alaap                 : Nusrat Fateh Ali Khan, Noor Jehan, Reshman & Arif Lohar
Poet                   : Ahmed Nadeem Qasmi
Released           : 1995
Pakistan Televiosn Production

Tum Se Apna Yeh Wada Hai Mere Watan ( Rahat Fateh Ali Khan's Patriotic Song-Lyric & Download )

Tum se Apna Yeh Wada hai Mere Watan
Tujh se Tere Andheray Mitaayen ge Hum
Tum se Apna Yeh Wada hai Mere Watan
Tujh se Tere Andheray Mitaayen ge Hum
Pak Khoon-e-Shaheedan ki Hum ko Qasam
Pak khoon-e-Shaheedan ki Hum ko Qasam
Phool Har Soo Amn ke Khilaayen ge Hum
Hum Jhukay Na Kabhi Zulm ke Saamnay
Hum hai Koh-e-Giraan Apna Maazi Gawah
Na kisi Haal mai Apna badla Chalna
Koh Hum pe hui Zulm ki Inteha
Apna Maazi Gawah
Phir huwa Shor Mulk Apna Khatray mai hai
Mulk Khatray mai to Bachaayen ge Hum
Tum se Apna Yeh Wada hai Mere Watan
Tujh se Tere Andheray Mitaayen ge Hum
Quaid-e-Azam ki Zer-e-Qayadat Chala
Na rukay ga Kabhi Apna Yeh Qafla
Aanch Anay Na den ge kabhi Tujh pe Hum
Jan Der kar bhi Len ge Tujhe Hum Bacha
Hai Yeh Sab ko Pata....................................
Teri Is Aan ki Teri Muskaan ki
Teri Is Aan ki Teri Muskaan ki
Jo bhi hogi Woh Qeemat Chukaayen ge Hum
Tum se Apna Yeh Wada hai Mere Watan
Tujh se Tere Andheray Mitaayen ge Hum
Apna Jo kuch bhi hai tujh se Mila
Har Khushi Zindagi ki hai Tujh se Ata
Tu Rahay Shad Abad Mere Watan
Sarbuland Tere Parcham ko Rakhay Khuda
Yeh hai Apni Dua
Apna Tan Man Yeh Dhun hai Amanat Teri
Waqt Aya to Tujh pe Lutaayen ge Hum

Tum se Apna Yeh Wada hai Mere Watan
Tujh se Tere Andheray Mitaayen ge Hum
Kaam Karne hain Hum ko Buhat hain Abhi
Hum ko Maloom hai Hum ko Ahsaas hai
Hum hai Bedaar,Azm-e-Nau pe Yaqee'n
Dil mai Apne Watan Basi Yeh Aas hai
Hum ko Ahsaas hai
Zarra Zarra Tera Dil se ho Zu-Fishaa'n
Aisa Khursheed bhi Dhoond Laayen ge Hum
Tum se Apna Yeh Wada hai Mere Watan
Tujh se Tere Andheray Mitaayen ge Hum


Singer              : Rahat Fateh Ali Khan

Music              : Rahat Fateh Ali Khan
Released         : 2013

Tum Se Apna Yeh Wada hai Mere Watan by Rahat Fateh Ali Khan-MP3 Download-Click Here

More Patriotic Songs of Rahat Fateh Ali Khan-1st Dedicated Album of Patriotic Songs by Rahat Fateh Ali Khan-Click Here