Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Live Wires. Show all posts
Showing posts with label Live Wires. Show all posts

Wednesday, February 13, 2013

Sara Jahan Hai Hamare Liye ( Patriotic Song of Live Wires-Lyrics )

Sara Jahan hai Hamare Liye
Ghum hai Khushi hai Hamare Liye
Sara Jahan hai Hamare Liye
Ghum hai Khushi hai Hamare Liye
Chalte Jaayen Barhte Jaayen
Holay holay Hamare Qadam
Sara Jahan hai Hamare Liye
Ghum hai Khushi hai Hamare Liye
Dil mai Busi hai Yahi Umang Ab
Tootay Kabhi Na Bharam
Naye Rastay Naye Iraday
Bhatkay Kabhi Na Qadam
In Nayee Rahon pe
Le ke Chalen Hum
Naye Iraday Naye Azm
Sara Jahan hai Hamare Liye
Ghum hai Khushi hai Hamare Liye
Sara Jahan hai Hamare Liye
Ghum hai Khushi hai Hamare Liye
Chalte Jaayen Barhte Jaayen
Holay holay Hamare Qadam
Pyar se Guzre Ab Yeh Jeewan
Har Dil ki hai Yeh Dua
Tufa'n se Larkay Paya hai jo Kuch
Rahe Youn hi Ab Sada
Mit'te Jaayen Bhartay Jaayen
Raahon mai Khaayen hai jo bhi Zakham
Sara Jahan hai Hamare Liye
Ghum hai Khushi hai Hamare Liye
Hai Pakistan jo Hamare Liye
Ho Sara jahan hai Hamare Liye
Sara Jahan hai Hamare Liye
Ghum hai Khushi hai Hamare Liye
Sara Jahan hai Hamare Liye
Ghum hai Khushi hai Hamare Liye
Chalte Jaayen Barhte Jaayen
Holay holay Hamare Qadam
Hai Pakistan jo Hamare Liye
Hai Pakistan jo Hamare Liye

Singer           : Live Wires Band ( It was NED University Band in 90's )
Lyrics           : Muhammad Nasir
Composed   : Sarosh ( Live Wires )
Released      : 1994
Album          : Shaam Aayee ( Released by Shalimar Music Company )

Wednesday, September 26, 2012

Aao Dilon Mai Phir Se ( National Song by Live Wires

Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar..................Jaga ke Dekhen
Bikhri...............In Raahon mai
Paas.................Aa ke Dekhen
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar.................Jaga ke Dekhen
Naye Hum Safar Naye Karavan
Inhen Sath Le ke Chalna hai
Inhi Raaston se Barhna hai
Aagay....................Aagay
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar..................Jaga ke Dekhen
Bikhri...............In Raahon mai
Paas.................Aa ke Dekhen
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar.................Jaga ke Dekhen
Inhi Geeton mai youn hi Dhal Jaayen
Yeh Subhen.........Yeh Shaamen
Inhi geeton mai hamen Mil Jaayen
Jinhen Bhoolay thay yeh Zamanay
Yeh Zamana Kehta hai
Inhe Sath le ke Chalna hai
Inhi Raaston mai Barhna hai
Aagay....................Aagay
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar..................Jaga ke Dekhen
Bikhri...............In Raahon mai
Paas.................Aa ke Dekhen
Jo Khye thay Inhi Raahon mai
Unhen Paana hai Unhen Kehna hai
Haathon mai le ke Haath
Ab Aagay hi Barhna hai
Youn hi Barhna hai
Naye Hum Safar Naye Karavan
Inhen Sath Le ke Chalna hai
Aagay....................Agay
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar..................Jaga ke Dekhen
Bikhri...............In Raahon mai
Paas.................Aa ke Dekhen
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar.................Jaga ke Dekhen
Naye Hum Safar Naye Karavan
Inhen Sath Le ke Chalna hai
Inhi Raaston se Barhna hai
Aagay....................Aagay
Agay......................Agay

Singer         : Live Wires & Sadaf
Poet           : Sarosh
Released    : 1989
Album        : Nayee Umangen

Thursday, December 1, 2011

Nai Umangain Jaga Ke To Dekho ( National Song-Lyrics & Download )

Nayee Umangain Jaga ke to Dekho
Nayee Umangain Jaga ke to Dekho
Soch se Pehra Utha ke to Dekho
Soch se Pehra Utha ke to Dekho
Nayee Umangain Jaga ke to Dekho
Ankhon mai Nafraton ki har Parchhayee
Dil se Zakhmom Karb Sab Mit Jayen
Sanson mai Sawan ki khushbu basa ke
Titli ke Rangon se holi Khila ke
Behtay Yeh Aansu bhi Moti Bana do
Rooh ko Apni Jaga ke to Dekho
Nayee Umangen Jaga to Dekho
Soch se Pehra Utha ke to Dekho
Roshan ho Tum Roshni se Daro na
Dunia Ho Tum Zindagi se Daro na
Har Dil mai Umeed ki Subhain Jaga ke
Jharnon ki Awaz ko Saathi Bana ke
Jeewan ke Har Pal ko Kundan Bana Do
Dhoop Se Saye mai Akay to Dekho
Dhoop Se Saye mai Akay to Dekho
Nayee Umangain Jaga ke to Dekho
Soch se Pehra Utha ke to Dekho
Nayee Umangain Jaga ke to Dekho
Khwaaabon mai Kho gaye hain Kitne Iraday
Kion Behtay Paaniyon pe Band Bandhay
Jhootay Fasaano mai kion Kho gaye ho
Rasmon ke Bandhan mai kion Bandh gaye ho
Bikhray huwon ko Mila ke to Dekho
Log hain Apne Bana ke to Dekho
Log hain Apne Bana ke to Dekho
Nayee Umangain Jaga ke to Dekho
Nayee Umangain Jaga ke to Dekho
Soch se Pehra Utha ke to Dekho
Soch se Pehra Utha ke to Dekho
Nayee Umangain Jaga ke to Dekho


Singer               : Live Wires
Poet                  : Rizwan Shamsi
Albums             : Live Wires 1 Title Song ,Live Wires 2
Released           : 1988
Remake            : Best of Live Wires
Pakistan Television Karachi Center
Nai Umangen Jaga ke to Dekho by Live Wires Band-MP3 Free Download ( Click Here )



Dosti ke Geet, Hum ne Aaj Dyar-e-Wafa mai ( Lyrics & Download )

Aasma'n ki Rangee'n Ankhon se
Toota Aik Sapna
Kehkasha'n ke Chamaktay Taaron se
Goonja yeh Hamara Aik Naghma
Hathon mai Hath Mil kar Rehna hai
Zindagi ki Aisi Raahon mai
Hum Sab ko Dosti ke Geet Gaana hai
Sab ko Dosti ke Geet Gaana hai
In Baharon ko Apna Bana ke
Naghma-e-Gul Faza ko Suna ke
Hum ne Aaj Dyar-e-Wafa mai
Apne Jazbon ko Zinda Kiya hai
Aasma'n ki Rangee'n Ankhon se 
Toota Aik Sapna
Mish'al-e-Ja'n Hum ne Jala ke
Pyar ko Apne Dil mai Jaga ke
Shaakh-e-Gul ko Naved-e-Saba di
Zakhm-e-Dil ko Bharna hai
Hum Sab ko Dosti ke Geet Gaana hai
Sab ko Dosti ke Geet Gaana hai

Aasma'n ki Rangee'n Ankhon se
Toota Aik Sapna
Kehkasha'n ke Chamaktay Taaron se
Goonja yeh Hamara Aik Naghma


Singer             : Live Wires Musical Group
Poet                : Sabir Zafar
Album             : Live Wires 2
Released         : 1991