Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Habib Wali Muhammad. Show all posts
Showing posts with label Habib Wali Muhammad. Show all posts

Saturday, April 28, 2012

Aye Sipahan-e-Watan Haideri Shamsheer ho tum ( Lyrics )

Aik Shaair ke Hasee'n Khwaab ki Taabeer ho Tum 
Aye Sipahan-e-Watan Haideri(Rza) Shamsheer ho Tum
Aye Sipahan-e-Watan........................................
Rah-e-Haq mai jo Milay Woh Shahadat Hai Maqbool
Ghaziyo! Tum pe Khuda Karta rahay rehmat ka Nuzool
Tum se Islam hai Islam ki Jaageer ho Tum
Aye Sipahaan-e-Watan Haideri(Rza) Shamsheer ho Tum
Aye Sipahan-e-Watan........................................
Aye Sipahan-e-Watan........................................
Azm hi Jis ka Muqabil ko Mita deta hai
Nara-e-Haq jo Pahaaron ko Hila deta hai
Naz Taqdeer pe hai jis ko Woh Taqdeer ho Tum
Naz Taqdeer pe hai jis ko Woh Taqdeer ho Tum
Aye Sipahan-e-Watan Haideri(Rza) Shamsheer ho Tum
Aye Sipahan-e-Watan Haideri(Rza) Shamsheer ho Tum
Aye Sipahan-e-Watan.......................................
Aye Sipahan-e-Watan........................................


Singer     : Habib Wali Muhammad
Poet        : Brig.Zameer Ahmed Jafari
Released  : 1966
Radio Pakistan Karachi

Monday, January 2, 2012

Sohni Dharti Allah Rakhay ( Lyrics & Download )

Hum hain Pakistan ke Dam se Hum se Pakistan
Sab Aik hi Jazba hai Aur Sab ka Aik Armaan................
Sohni Dharti Allah Rakhay Qadam Qadam Abad Tujhe
Qadam Qadam Abad.............Qadam Qadam Abad Tujhe
Tera Har Ik Zarra Hum ko Apni Jan se Pyara
Tere Dam se Shan Hamari Tujh se Naam Hamara
Jab tak hai yeh Duniya Baqi Hum dekhain Azad 
Hum Dekhain Azad Tujhe
Sohni Dharti Allah Rakhay Qadam Qadam Abad Tujhe
Qadam Qadam Abad
Teri pyari saj dhaj ki Hum itni Shan Barhain
Aanay Wali Naslain Teri Azmat ke Gun gaain
Jab tak hai yeh Duniya Baqi Hum dekhain Azad 
Hum Dekhain Azad Tujhe
Sohni Dharti Allah Rakhay Qadam Qadam Abad Tujhe
Qadam Qadam Abad
Aik hain Hum aur Aik rahain ge Yeh hai Azm hamara
Apne Pyare Des mai Hum Phelain Amn ka Ujyara
Jab tak hai yeh Duniya Baqi Hum dekhain Azad 
Hum Dekhain Azad Tujhe
Sohni Dharti Allah Rakhay Qadam Qadam Abad Tujhe
Qadam Qadam Abad
Dharkan Dharkan pyar hai Tera Qadam Qadam pe Meet re
Basti Basti Tera charcha Nagar nagar hai reet re
Jab tak hai yeh Duniya Baqi Hum dekhain Azad 
Hum Dekhain Azad Tujhe
Sohni Dharti Allah Rakhay Qadam Qadam Abad Tujhe
Qadam Qadam Abad
Chandi jesa Tera Pani amn ke Geet gaye
Sohni Dharti Tera Parcham Sada yon hi Lehraye
Jab tak hai yeh Duniya Baqi Hum dekhain Azad 
Hum Dekhain Azad Tujhe
Sohni Dharti Allah Rakhay Qadam Qadam Abad Tujhe
Qadam Qadam Abad

Singer         : Noor Jehan & Masood Rana
Lyrics         : Masroor Anwer
Music         : Sohail Rana
Released     : 1972
Film            : Khushyan ( 1973 sung By Noor Jehan & Masood Rana )
Others        : Farida Khanum, Shehnaz Begum. Fareeha Parvez, Samreen Moona, Sabeeha Khanum,Habil Wali Muhammad, Mehdi Hassan
PTV Version   : Shehnaz Begum ( 1974 )

Audio MP3 Download Sohni Dharti by Shahnaz Begum 
Audio MP3 Download Sohni Dharti by Habib Wali Muhammad
Audio MP3 Download Sohni Dharti by Uroosa Aziz  




Wednesday, November 16, 2011

Aye Nigar-e-Watan Tu Salamat Rahay ( Qaumi Naghma-Lyrics & Download )

Aye Nigar-e-Watan Tu Salamat Rahay
Tu Salamat Rahay..............................
Maang Teri Sitaaron se Bhar dain gai Hum
Tu Salamat Rahay Tu Salamat Rahay
Aye Nigar-e-Watan..................................
Ho saki Tere Rukh pe Na Qurba'n agar
Aur kis Kaam Aye gi Yeh Zindagi
Apne Khoo'n se barhatay rahain gai sada
Tere Gul Rang chehray ki Tabindagi
Jab bhi Teri Nazar ka Ishaara mila
Jab bhi Teri Nazar ka Ishaara mila
Tuhfa-e-Nafs-e-Ja'n pesh kar dain gai ge Hum
Tu Salamat Rahay Tu Salamat Rahay
Aye Nigar-e-Watan..................................
Sabz Parcham Tera Chand Taray Tere
Teri Bazm-e-Nigari ke Unwan hain
Teri Galiyan Tere Shehar Tere Chaman 
Tere Honton ki Junbish pe Qurban hain
Jab Tujhe Roshni ki Zaroorat Pari
Jab Tujhe Roshni ki Zaroorat pari
Apni Mehfil ke Shams-o-Qamar dain gai Hum 
Tu Salamat Rahay Tu Salamat Rahay
Aye Nigar-e-Watan..................................
 Aye Nigar-e-Watan Tu Salamat Rahay
Tu Salamat Rahay..............................                             
                           


Singer                    : Habib Wali Muhammad
Poet                       : Masroor Anwer                       
Released               : Sept 1965 
Radio Pakistan Lahore
Remake                : Zeeshan Farrukh ( 1998 for Sound Master )
                             : Hamid Ali Khan ( 2011 for ISPR )

Aye Nigar-e-Watan Tu Salamat Rahay by Habib Wali Muhammad-MP3 Free Download-Click Here 
                   

Sunday, October 16, 2011

Lahoo jo Sarhad pe Beh Chuka hai ( Lyrics & Download )


Lahoo jo Sarhad pe Beh chuka hai
Lahoo jo Sarhad pe Beh raha hai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................
Yeh Khoon Sarmaya-e-Watan
Isi mai Shamil Rukh-e-Chaman hai
Yeh Khoon har Maa ke dil ki Dharkan
Yeh Khoon har Baap ka badan hai
Yeh Khoon hai Behno ke Sar ki Chadar
Yeh Khoon bhai ka baank pan hai
Yeh Khoon Dulhan ka Aab-e-Rangee'n 
Yeh Khoon Bachhon ka Bholpan hai
Yeh khoon Dehqan ka paseena
Yeh Khoon har Khet ki phaban hai
Yeh Khoon Sarmaya-e-Watan hai
Yeh Khoon Sarmaya-e-Watan hai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................
Yahi Alam hai Nishan-e-Haider
Isi mai Raaz-e-Shikast-e-Khybar
Isi mai Khoon-e-Hussain Shaamil
Yahi tha Tariq pe saya gustar
Yahi Alum hai Hamara wirsa 
Yahi Alum hai Hamara Rehbar
Yahi Alum hai Minaar-e-Mabad
Yahi Alum hai Hamara Mimbar
Isi mai Zarb-e-Kaleem shamil
Isi mai Noor-e-Khuda Munawwar
Yahi Alum hai Nishan-e-Haidar
Yahi Alum hai Nishan-e-Haider
Watan ke Baidaar Soormaaon 
Uthaao Apna Alum Uthao
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................
Hum is Lahoo ka Alum bana len
Sinan-o-Saif-o-Qalam bana len
Watan ko deke Maqam-e-Ka'aba
Isi ko Ahraam hum bana len
Yeh Khaak mathay pe mal ke niklain
Isay Nishan-e-Hasham bana len
Hum is Lahoo ka Alum bana len
Hum is Lahoo ka Alum bana len
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................
Jahan pe kar dain yeh Ashkara
Hamain Ghulami naheen Gawara
Koi idhar bhool kar na aye 
Yeh Des hai hum ko jaa'n se pyara
Jo Hum pe Yalghar kar karne aye
Aa na paye ga woh dubaara
Hisaar Khench dain gi yeh Chatanain
Barhay ga Ravi ka tez dhara
Woh aag barsay gi Aasma'n se
Jahan mai dozakh ka ho nazaara
Har aik Lalkar Soor hogi
Dhamaka hoga har aik nara
Woh Ran paray ga Woh Jang hogi
Ke Bhaagnay ka na ho yaara
Watan ke Baidaar Soormaon
Uthao Apna Alum Uthao
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................

Singer      : Habib Wali Muhammad
Poet        : Himayat Ali Shaair
Released : 14th Sept 1965
Radio Pakistan Lahore