Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Aavish. Show all posts
Showing posts with label Aavish. Show all posts

Tuesday, August 7, 2012

Yeh Pakistan Hamari Jaan Sab Se Pehle ( Lyrics & Download )

Yeh Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle hai Pakistan
Yeh Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle hai Pakistan
Jazbon ka Tufaan Dilon mai
Hai Sacha Imaan Dilon mai
Hum ne to Seekha hai Jeena
Kohsaaron ka Chher ke Seena
Gherat Izzat aur Shujaat 
Hai Apni Pehchan
Yeh Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle hai Pakistan
Yeh Tasbeeh Hum Daanay hain
Yeh Shama Hum Parwanay hain
Yeh Chanda Hum Is ke Taaray
Taareeki mai Noor ke Dhaaray
Aisa Roshan Isay karen ge
Dunia wale Rashk Karen ge
Apne Amal se kar den ge 
Hum Duniya ko Heraan
Yeh Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle hai Pakistan
Duniya ko Dikhlaya hai
Apna Loha Manwaya hai
Phir bhi Safar buhat hai Baaqi
Allah Sohna Apna Saathi
Jab tak Hum Sab Saath rahen ge
Haathon mai Yeh Haath rahen ge
Sachay Jazbay kar den ge 
Har Ik Manzil Aasaan
Yeh Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle hai Pakistan
Yeh Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle hai Pakistan

Singer            : Aavish & Saraab
Music            : Sarab
Released       : 2002
Album          : Sab Se Pehle Pakistan

Pakistan Hamari Jaan ( Milli Naghma-Lyric & Download )

Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle hai Pakistan 
Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle Pakistan
Aik Dil hon Aik Jaan
Zinda Qaumon ki Pehchan
Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle Pakistan
Pichhli Naslon ki Qurbani
Azaadi ki Khaatir thi
Aik Watan ho Aisa 
Jis mai Jeenay ki Aasani thi
Himmat aur Jazbay ne ki thi
Har mushkil Aasaan
Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle Pakistan
Aaj Watan ki Hurmat ne
Phir Hum Sab ko Lalkara hai
Qaumi Yak Jehti ki Jaanib
Waqt ka Yeh Ishaara hai
Aise mai Hum Yaad rakhen
Tanzeem, Ittehaad, Imaan
Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle hai Pakistan 
Pakistan Hamari Jaan
Sab se Pehle Pakistan

Singer              : Aavish Rabbani
Music              : Aavish 
Released         : 2001
Album            : Sab se Pehle Pakistan

Friday, May 4, 2012

Dharkan Mai Josh Hai ( Pak Air Force Tarana-Lyrics & Download )

Dharkan mai Josh hai 
Sochon mai hai Tufaa'n
Ghar hai Fazaaon mai
Haathon mai Aasmaa'n
Hum se jo Takraye ga
Woh Naheen Bach Paaye ga
Jaan hai Naam-e-Khuda
Hai Kafan Sar pe Saja
Dharkan mai Josh hai
Sooraj ki Kirnon se
Seena Chamakna hai
Agay hi Barha hai 
Apna Palatna hai
Hum Raahi Amber ke 
Oonchi Parwazain hain
Dushman pe Toot Parain
Dil ki Awaazain hain
Hum hain Jiyalay Hamain Dar naheen hai
Hum Chahen Kaheen hon
Dil kaheen hai
Dharkan mai Josh hai.............
Niklain Jab Ghar se Hum
Laakhon Duaen bhi
Ahl-e-Nasheman ki
Hum pe Nigahain bhi
Sab Rishtay Naaton se
Barh kar Watan Apna
Ho jain Mar ke Amr
Har Dil ka hai Sapna
Aisa hi Hum Kuch kar Dikhaayen
Apne Safar mai Ruk na Paayen
Dharkan mai Josh hai
Sochon mai hai Tufaa'n
Ghar hai Fazaaon mai
Haathon mai Aasmaa'n
Hum se Jo Takraaye ga
Woh naheen Bach Paaye ga
Jaan hai Naam-e-Khuda
Sar par Saya mustafa(SaW)
Dharkan mai Josh hai


Singer             : Aavish Rabbani
Released         : 2003
ISPR Pakistan Air Force