پاکستانی قومی نغمات کی واحد ا ور مکمل ویب سائٹ
An Encyclopedia of Pak Patriotic Songs****
Largest Audio/Video Personal Collection of Pakistani Patriotic Songs
Owner:Absar Ahmed****
National Record Maker..!!
Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.
Showing posts with label Inayat Hussain Bhatti. Show all posts
Showing posts with label Inayat Hussain Bhatti. Show all posts
Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara ( 1st Time Original Track with Out Any Type of Jhankaar ) by Inayat Hussain Bhatti-MP3 Free Download - Click Here Allahu Akbar................................... Allahu Akbar Allahu Akbar................................... Allahu Akbar Allah ki Rehmat ka Saaya Tauheed ka Parcham Lehraya Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara Ab Waqt-e-Shahadat hai aya Allahu Akbar................................... Allahu Akbar Sar Rakh ke Hatheli par jana Hai Zulm se tujh ko Takrana Imaan ka hai Matwala Tu Islam ka hai Rakhwala Tu Imaan hai Tera Sarmaya Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara Ab Waqt-e-Shahadat hai aya Allahu Akbar................................... Allahu Akbar Baatil ki nazar lalchayee hai Insaan pe Tang Khudayee hai Sar Kufr ne Dekh ubhara hai Islam ko phir Lalkara hai Taqdeer nay yeh Din dikhlaya Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara Ab Waqt-e-Shahadat hai aya Allahu Akbar......................................... Allahu Akbar Tu Haath mai ab Talwaar utha Rakh Sar pe Kafan Maidaan mai Aa Takbeer Teri Tadbeer Teri Sab Dunia hai Jageer Teri Taareekh ne hai yeh Batlaya Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara Ab Waqt-e-Shahadat hai aya Allahu Akbar......................................... Allahu Akbar Ja'n jaati hai be Shak jaye Parcham na Tere Jhuknay paye Ghazi ko Maut se kia Dar hai Ja'n dena Jehad-e-Akbar hai Qur'an mai hai yeh Farmaya Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara Ab Waqt-e-Shahadat hai aya Allahu Akbar.......................................... Allahu Akbar Mehboob-e-Khuda ke Parwanay Dohra Ajdaad ke Afsanay Paigham-e-Akhuwwat dena hai Yeh Kaam Tujh hi se lena hai Phir Kufr Muqabil hai Aya Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara Ab Waqt-e-Shahadat hai aya Allahu Akbar........................................... Allahu Akbar Allahu Akbar........................................... Allahu Akbar Singer : Inayat Hussain Bhatti & chorus Poet : Tufail Hushyarpuri Released : 1958 Film : Chengez Khan It was first Song onaired After Ayub Khan's address on 6th Sept 1965.And it is official band song of Pak Army. Remake : Waris Baig ( in 1997 for STN ) Aye Mard-e-Mujahid Jaag Zara by Inayat Hussain Bhatti-Pak Army Song-MP3 Free Download Aye mard-e-Mujahid Jaag Zara by Waris Baig-Pak Army Song-MP3 Free Download-Click here
Qadam barhao sathiyo Qadam barhao Sathtiyo Qadam barhao................................................ Tum watan ke sher ho,sher ho diler ho Tum agar jhapat paro to aasman'n bhi zer ho Tumhare dum se hai watan Yeh Marghzaar yeh chaman Dehak uthay daman daman woh geet gaao sahiyo Woh geet gaao................................................... Qadam barhao sathiyo Qadam barhao Sathtiyo Qadam barhao................................................ Yeh zameen yeh makaa'n Yeh haseen khetiyan In ki shan tum se hai tum hi ho in ke pasban Bachao in ki aabro garaj ke chhao chaar soo Jo maut bhi ho ru ba ru to Muskurao sathiyo To muskurao.................................................... Qadam barhao sathiyo Qadam barhao Sathtiyo Qadam barhao................................................ Zulm ko pichhar ke maut ko lataar ke Dam ba Dam barhay chalo safon ko tor taar ke Ghari hai imtehan ki dikhao wo dilawari Dehak rahi ho aag bhi to kood jao sathiyo To kood jao.................................................... Qadam barhao sathiyo Qadam barhao Sathtiyo Qadam barhao................................................
Singer : Inayat Hussain Bhatti & Ieren parveen Poet : Sufi Ghulam Mustafa Tabassum(late) Film : Saltanat This was One of First Songs whos onair on Radio Pakistan during 1965 war.