Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Zarqa. Show all posts
Showing posts with label Zarqa. Show all posts

Wednesday, May 1, 2013

Pyare Watan Laaye Hum Jan-o-Dil Tere Liye ( Memorable Milli Naghma-Lyrics )

Pyare Watan Laaye Hum
Jaan-o-Dil Tere Liye
Pyare Watan Laaye Hum 
Jan-o-Dil Tere Liye
Jab bhi Kabhi Chahay ga Tu
Tujh pe Fida ho Jaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum
Jan-o-Dil Tere Liye
Sab se Bara hai Quaid Hamara
Jis ne Diya hai Yeh Mulk Hum ko
Hum ko Hamari Manzil Dikhayee
Rehbar Bana kar Shah-e-Umam(SaW) ko
Hum aur Hamari Aainda Naslen
Choomen gi Uske Naqsh-e-Qadam ko
Sab se Bara hai Quaid Hamara
Jis ne Diya hai Yeh Mulk Hum ko
Hum ko Hamari Manzil Dikhayee
Rehbar Bana kar Shah-e-Umam(SaW) ko
Hum aur Hamari Aainda Naslen
Choomen gi Uske Naqsh-e-Qadam ko
Apnaayen ge Uska Amal 
Hum Behr-o-Bar pe Chhaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum
Jaan-o-Dil Tere Liye
Hum hain Sajeelay Funkaar Tere
Hai Fun Hamara Inam Tera
Apna Qalam ho ya Saaz koi
Le ga Adab se Woh Naam Tera
Jitnay Hamaray hain Shahparay
Detay hain Saray Pegham Tera
Hum hain Sajeelay Funkaar Tere
Hai Fun Hamara Inam Tera
Apna Qalam ho ya Saaz koi
Le ga Adab se Woh Naam Tera
Jitnay Hamaray hain Shahparay
Detay hain Saray Pegham Tera
Hum ko Mili Chahat Teri
Tere hi Naghmay Gaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum 
Jan-o-Dil Tere Liye
Jab bhi Kabhi Chahay ga Tu
Tujh pe Fida ho Jaayen ge
Pyare Watan Laaye Hum 
Jan-o-Dil Tere Liye


Singers              : Zarqa,Mehwish & Rustam Fateh Ali Khan
Alaap                 : Nusrat Fateh Ali Khan, Noor Jehan, Reshman & Arif Lohar
Poet                   : Ahmed Nadeem Qasmi
Released           : 1995
Pakistan Televiosn Production

Monday, October 29, 2012

Aao Karen Hum Pyar Watan Se ( Qaumi Naghma-Lyrics )

Aao Karen Hum Pyar Watan se
Aao Karen Hum Pyar Watan se
Phool hain Hum Is Pak Chaman ke
Aao Karen Hum Pyar Watan se
Nafrat ka Har Naqsh Mita kar
Pyar se Pyar ka Deep Jala kar
Man ke Khwab Saja kar Man se
Aao Karen Hum Pyar Watan se
Aao Karen Hum Pyar Watan se
Apne Watan ki Har Phulwari
Zarb-e-Junoo'n ki hai Gulkaari
Suntay hain Yeh Mast Pawan se
Aao Karen Hum Pyar Watan se
Aao Karen Hum Pyar Watan se
Parcham Chand Sitare Wala
Jagmag Jagmag karta Rahe ga
Yuk Jehti ki Aik Kiran se
Aao Karen Hum Pyar Watan se
Aao Karen Hum Pyar Watan se
Phool hain Hum Is Pak Chaman ke
Aao Karen Hum Pyar Watan se

Singer          : Zarqa
Poet            : Bashir Farooq
Released     : 1990
Pakistan Television Islamabad Center.

Sabz Parcham Watan Chand tara Watan ( Milli Naghma-Lyrics )

Sabz Parcham Watan Chand Tara Watan
Sabz Parcham Watan Chand Tara Watan
Dil ki Qindeel Ankhon ka Tara Watan
Hum ko Mehboob hai Apna Sara Watan
Rooh ka Jagmagata Watan
Sabz Parcham Watan Chand Tara Watan
Is ke Akash Taaron se Mamoor hain
Is ke Gulshan Baharon se Bharpoor hain
Is ki Taqdeer hai Aisa Pyara Watan
Sabz Parcham Watan Chand Tara Watan
Yeh Zameen hai Zameenon ka Noor-e-Jabee'n
Is ke Kohsar Sunder hain Chashmay Hasee'n
Yeh Hamara Watan hai Hamara Watan
Sabz Parcham Watan Chand Tara Watan
Sabz Parcham Watan Chand Tara Watan
Dil ki Qindeel Ankhon ka Tara Watan
Hum ko Mehboob hai Apna Sara Watan
Rooh ka Jagmagata Watan
Sabz Parcham Watan Chand Tara Watan

Singer           : Zarqa & Mahwish
Poet             : Ahmed Nadeem Qasmi
Released      : 1989
Pakistan Television Islamabad.

Wednesday, October 26, 2011

First National Song of Pakistan..!!! (Chand Roshan Chamkta Sitara Rahay) Lyrics & Download



Chand Roshan Chamakta Sitara Rahay
Sab se Ooncha yeh Jhanda Hamara rahay
Is Jhanday pe Ab Qaum ki Laaj hai
Is Jhanday pe Sab ki Nazar Aaj hai
Jaan se kion na Hum ko yeh Pyara rahay
Chand Roshan Chamakta Sitara Rahay
Sab se Ooncha yeh Jhanda Hamara rahay
Apni Izzat ka Gherat ka hai yeh Nisha'n
Yeh Hamara hai Hum is ke hain Pasba'n
Himmaton ke liye yeh Sahara Rahay
Chand Roshan Chamakta Sitara Rahay
Sab se Ooncha yeh Jhanda Hamara rahay
Jab talak Dam mai Dam hai yeh Lehraye ga
Dekh lena yeh Duniya pe Chhaa jai ga
Chand Izzat ka is ki Khudara Rahay
Chand Roshan Chamakta Sitara Rahay
Sab se Ooncha yeh Jhanda Hamara rahay

Singer                     : Munawwar Sultana & Chorus
Poet                        : Shaukat Thanvi ( Thanks for Renowned Encyclopediast  Aqeel Abbas Jafri )
Released                 : Mid Night of Freedom 14th & 15th Aug 1947
Radio Pakistan Lahore
It is First National Song of Pakistan...!! from Radio Pakistan Lahore.
Remake                  : Zarqa & Mahwish ( in 1990 for PTV )
                               : Shafqat Amanat Ali ( in 1999 for World Cup event for PTV )
                              : Sarah Raza ( in 2011 for PTV)
Original & Shafqat Amanat's Tracks are rare
Zarqa & Mahwish Track is available in Milli Naghmat Vol 2 by PMC Audio Company.

Chand Roshan Chamakta Sitara Rahay by Zarqa & Mehwish-MP3 Free Download


چاند روشن چمکتا ستارہ رہے
سب سے اونچا یہ جھنڈا ہمارا رہے
چاند روشن چمکتا ستارہ رہے
سب سے اونچا یہ جھنڈا ہمارا رہے
اس جھنڈے پہ اب قوم کی لاج ہے
اس جھنڈے پہ سب کی نظر آج ہے
جان سے کیوں نہ ہم کو یہ پیارا رہے
چاند روشن چمکتا ستارہ رہے
سب سے اونچا یہ جھنڈا ہمارا رہے
اپنی عزت کا غیرت کا ہے یہ نشان
یہ ہمارا ہے ہم اس کے ہیں پاسباں
ہمتوں کے لیے یہ سہارا رہے
چاند روشن چمکتا ستارہ رہے
سب سے اونچا یہ جھنڈا ہمارا رہے
جب تلک دم میں دم ہے یہ لہرائے گا
دیکھ لینا یہ دنیا پہ چھا جائے گا
جان عزت کا اس کی خدارا رہے
چاند روشن چمکتا ستارہ رہے
سب سے اونچا یہ جھنڈا ہمارا رہے

I have All Tracks....!!