Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Monday, November 25, 2013

Sun Sakhiye....Laal Mere Ki Jawani-Yaum-e-Shuhada-Rahat Fateh Ali Khan ( Lyrics & Download )


Maan ke Pair hain ya Jannat ke Darwaya
In ke Paaon ko Chhoona Arsh ke Pair ko Chhoona hai
Sun Sakhiye........
Sun is Maan ki Kahani
Laal Mere ki Jawani
Rab ne Apne Paas Bulaya
Rab ke hukm pe Sar ko Jhukaya
Sun Sakhiye.......
Jan Jigar Dil Jani
Laal Mere ki Jawani
Jab us ki tasveer Uthaaon
Bus Us ko Mai Dekhti jaaon
Uski Hansti Ankhon mai Ankhen
Daal ke Mai Roti Jaaon
Sun Sakhiye...............
In Ankhon ka Paani
Neend ko Dhokay se Main Bulaaon
Khwabon mai Mai Uske So jaaon
Ankh Khule aur paas Nahi Woh
Khaali ghar ko Dekhti jaaon
Sun Sakhiye
Baat Nayee ke Purani
Sun Sakhiye........
Sun is Maan ki Kahani
Sun Sakhiye........
Laal Mere ki Jawani


Singer            : Rahat Fateh Ali Khan
Released        : 30th April 2014 (Yaum-e-Shuhada Pak Army )


Sun Sakhiye......Laal Mere ki Jawani New patriotic Song of Rahat Fateh Ali Khan 2014-MP3 Free Download-Click Here

Listen Here


  Sun Sakhiye....Laal Mere ki jawani-Patriotic Song by Rahat Fateh Ali Khan-MP3 Click Here


Related Post
Pak Patriotic Library Presents Complete Album of Patriotic Songs by Rahat Fateh Ali Khan-Click Here

19 comments:

Sumera Khan said...

Great Mr.Absar Ahmed, Immediate Upload , Thank U so much

Ch.Naved said...

wah ji wah mai yeh naghma kal se dhund raha tha ,tussi Geo Absar bhai

Saima Nawaaz said...

yeh naghma sun kar buht buht rona aya,aap ne foran upload kar dia warna to yeh mil nhi raha tah

Raheel Khan said...

wese yeh naghma acha hai mgr dil se poochen to yeh Pakistani Maan ki shan nahi, hamen fakhar tha ke hum India ki tarah buzdili par mubni Qaumi naghmay nhi banatay thay jese "sandese aatay hain hamen tar patay hain" etc hamare yahan to Yeh bnt thay"Tujhe Watan ne pukara hai Ja Mere Mehboob" mgr pata nhi kia hua ke hum ne bhi Dushman ki naqal mai aise jazbat ki akkasi kar dali warna 4 saal pehle jo yaum-e-Shuhada pe song aaya tha "mai ne Janma hai Tujh ko Watan ke liye" aaj bhi koi sunay to jazbat aur Hubb-ul-Watani barh jaati hai,Rahat ka Yeh naghma koi Marsia to ho sakta hai Hamare Qaumi Jazbat ki akkasi nhi, Music aur Shaairy se Mujhe koi ikhtalaf nhi jo buht achhi hai mgr yahi keh raha hoon k Hamare Qaumi Waqr aur Mayar ki nhi bs......

Maria said...

Long Life pakistan, Long Life Pakistan Army

Maria said...

Long Life Pakistan Long Life Pakistan Army

Maria said...

Pakistan Ideal Milne par buhat buht Mubarak Absar Bhai Aap Qaum ka fakhar hain

Ali said...

mein ye song kahan sun sakta ho plz zaror batana

Ali said...

mein ye song kaha sun sakta ho plz reply ker k batana

bilal said...

Why can't I download it ?

Absar Ahmed said...

Now u can Download & Listen easily from My SoundCloud, link and Track Available Here

Maham Khan said...

Great Absar Ahmed
I salute U & Pak Army

Unknown said...

1st of all thank you very much aur 2nd please koi bata sakta hai ke ye song kis album ka hai mujhe ye song mp3 320 kbps cbr/vbr main chahiye so plz agr kisi ko pata ho to album name bata dain..... Thank
*Best Wishes*
Yasir

Unknown said...

Aslam o Alaikum
1st of all thank you very much for this song and 2nd plz koi bata sakta hy k ye song kis album main release hua hy becuz mjhe ye song mp3 320kps vbr/cbr main chahiye so plz agr kisi ko pta ho to bata dain.... Thanks
*Best Wishes*
Yasir

Unknown said...

I'm agree with you bhai jaan mag is naghme ko sun ke agr hamare aur indian politics aur army is song ka dard agr feel kar saken aur ye samjh saken ke insan ki kiya value hai aur ye jung masly ka hal nai to kitni janain bach sakti hain kash ke dono countries mohabbat aur pyaar se aik dosry ke sath rahen......

Best Wishes
Yasir. London

Anonymous said...

Ye song sun k mje Rona Ata ha.. :'( bhttt sad ha ...pak army <3

Anonymous said...

Thx absar bhi,,, so great pak army and live long pakistani mothers. Those are sacrifying their LaaLs. To their pak home land,,, i solute pakistani Maa.

Absar Ahmed said...

Murree Sahb Yeh Naghma ISPR ne banaya tha is lioye kisi album mai nhi hai , 320 Kbs ke liye apna email address send kar dain

Unknown said...

I need this naghma plz this is my email