Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Shamim Bano. Show all posts
Showing posts with label Shamim Bano. Show all posts

Friday, November 9, 2012

Yeh Payam De Gyee Hai Mujhe Bad-e-Subh Gahi-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics )

Ye Payam De Gyee Hai Mujhe Bad-e-Subahgahi
Ke Khudi Ke Arifon Ka Hai Maqam Padshahi

Teri Zindagi Issi Se, Teri Aabru Issi Se
Jo Rahi Khudi To Shahi, Na Rahi To Roosiyahi

Na Diya Nishan-e-Manzil Mujhe Ae Hakeem Tu Ne
Mujhe Kya Gila Ho Tujh Se, Tu Na Reh Nasheen Na Rahi

Mere Halqa-e-Sukhan Mein Abhi Zair-e-Tarbiat Hain
Woh Gada Ke Jante Hain Rah-o-Rasm-e-Kajkalahi

Ye Maamle Hain Nazuk, Jo Teri Raza Ho Tu Kar
Ke Mujhe To Khush Na Aya Ye Tareeq-e-Khanqahi

Tu Huma Ka Hai Shikari, Abhi Ibtada Hai Teri
Nahin Muslihat Se Khali Ye Jahan-e-Murg-o-Mahi

Tu Arab Ho Ya Ajam Ho, Tera ‘LA ILAHA ILLAH’
Lughat-e-Ghareeb, Jab Tak Tera Dil Na De Gawahi


Poet           : Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer       : Mashooq Ali
Released   : 1962
Radio Pakistan Lahore.
Re-Sing    : Shafqat Amanat Ali 
Released  : 2010
Pakistan Television Lahore Center. 

Yeh Payam de gyee hai Mujhe Bad-e-Subh gaahi by Shafqat Amanat Ali-MP3 Download-Click Here