Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Akhter Qureshi. Show all posts
Showing posts with label Akhter Qureshi. Show all posts

Saturday, December 31, 2011

Hum Masoom Sipahee

Hum Masoom Sipahee
Hum Masoom Sipahee
Aao Watan ki Shan Barhaain Mil kar Sab Hum Rahi
Hum Masoom Sipahee
Apnain ge Hum Quaid-e-Azam ke Anmol Usoolon ko 
Hum na Kabhi Murjhaanay dain ge Is Gulzaar ke Phoolon ko
Pyar ki Shama Jalain ge Aur Karain ge Duur Siyahee
Hum Masoom Sipahee
Hum Masoom Sipahee
Silhat se le kar Khyber tak Hum mai Koi Gher naheen
Kare ga jo Nafrat ki Batain Samjho Us ki Kher Naheen
Hum rahay hain aik deti hai Tareekh Gawahee
Hum Masoom Sipahee
Hum Masoom Sipahee
Aao Watan ki Shan Barhaain Mil kar Sab Hum Rahi
Hum Masoom Sipahee


Singer           : Akhter Qureshi & Chorus
Poet             : Masroor Anwer
Released      : Sept 1965 ( Durin War )
Available      : Khitta-e-Lahore Tere Shehar vol 6 Disco Music Company ( With Jhankar )
                    : Qaumi Rehnumaon ki Yaad mai Vol 4 Disco Music Company ( Original track )
                    : & Milli Taranay by  Pak Patriotic Music Vol 2

Wednesday, November 30, 2011

Mai Chhota sa Ik Larka Hoon ( Lyrics & Download )

Mai Chhota sa Ik Larka hoon
Par Kaam Karoon ga Baray Baray
Mai Chhota sa Ik Larka hoon
Jitnay Bhi Laraka Larkay hain
Mai sab ko Naik Banaon ga
Bikhray Huwe jo Hum joli hain
Un Sab ko Aik Banaon ga
Sab Aapas mai Mil Jaain gai
Jo Rehtah hain Ab Larah Laray
Mai Chhota sa Ik Larka hoon
Par Kaam Karoon ga Baray Baray
Mai Chhota sa Ik Larka hoon
Yeh Ilm ki hain jo Roshniyan
Mai Ghar Ghar mai le jaaon ga
Taleem ka Parcham Lehra kar
Mai Sir Syed Ban jaaon ga
Bekaar Guzaaroon Kion Umur Bhala
Yoon Apne Ghar mai Paray Paray
Mai Chhota sa Ik Larka hoon
Par Kaam Karoon ga Baray Baray
Mai Chhota sa Ik Larka hoon
Mai Chaar Taraf Le Jaaon ga
Iqbal ne jo Pegham Diya
Mai hi Woh Parinda hoon
Jis ko Us ne Shahbaz ka Naam diya
Ab Mere Paron se Chamkain gai
Sab Heeray Moti Jaray Jaray
Mai Chhota sa Ik Larka hoon
Par Kaam Karoon ga Baray Baray
Mai Chhota sa Ik Larka hoon



Singer                : Akhtar Qureshi
Poet                   ; Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Released            : Oct 1965
Film                    : ?
Radio Pakistan Karachi