Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Jawwad Ahmed. Show all posts
Showing posts with label Jawwad Ahmed. Show all posts

Wednesday, August 14, 2013

Tum Hi Pakistan Ho ( Latest Patriotic Song 2013-Ufone )


Pak Patriotic Library 1stly Presented MP3 & Lyrics of this Song   


Sindhi ho Baloch ho
Punjabi ho Pathan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Sindhi ho Baloch ho
Punjabi ho Pathan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Bhool ke Qaumen Bhool ke Zaaten
Karni hain hamen Pyar ki Baaten
Hum Sab ko Ab Sach karni hain
Qurbani ki Sa'at ki Baaten
Muhajir ho Pahari
Sunii ho Shiyaan ho
Han tum hi Pakistan ho
Han tum hi Pakistan ho
Jis ka Naveed-e-Woh Din Janay
Anay hain Gher Hamen Samjhanay
Hum Sab ke jo Maslay hain yeh
Hum sab ne hain Suljhanay
Shehri ho Dehati ho
Mazdoor ho Kisaan ho
Han Tum hi Pakistan ho 
Han Tum hi Pakistan ho
Kon se Shikway Kesi Larayee
Hum Sab to hain Bhai Bhai
Ik Doojay ko Manaain Barabar
Har ik ka Haq ho KhushHaali
Tum Kuch bhi ho Tum jo Kuch ho
Akhir ko Insan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Sindhi ho Baloch ho
Punjabi ho Pathan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Han Tum hi Pakistan ho
Han Tum hi Pakistan ho


Singer        : Jawad Ahmed
Released    : 14th August 2013
Presented by UFone

Han tum Hi Pakistan ho by Jawad Ahmed-Ufone Latest Patriotic Song-2013-MP3 Free Download-Click here


Sunday, January 6, 2013

Woh Hai Tera Khuda Kare Jeet Haar Ka Wohi Faisla ( Lyrics & Download )

Teri Himmat Teri Justuju
Teri Taqat teri Aarzoo             
Tere Jazbon ko Mera Salam
Par Rakh Yaad Chahay
Tu Kuch bhi Kare
Aik Patta bhi Hil Nahi Sakta
Agar Woh Na Chahay to                        
Kuch Aise bhi  hain Log 
Haar ke jo Haartay Nahi
Kehte hain ke Yeh to hai
Marzi Khuda ki Woh jo Chahay
Gar Jeetain Woh to 
Sar ko Jhuka dete hain                           
Kia Tum hi ho                                    
Kia Tum hi ho
Jeet kar jo Sar Jhukaayen
Haar ke jo Muskuraayen
Jin ko Pyara bus Usi ka Faisla hai
Jis ka Mehnat aur Dua Par hi yaqee'n
hai  
Magnatay hain Woh Usi se jo Khuda hai
Woh hai Tera Khuda
Tera Khuda...............................
Woh hai Mera Khuda
Mera khuda..............................                     
Kare jeet Haar ka Wohi Faisla
Woh hai Tera Khuda
Tera Khuda...............................
Woh hai Mera Khuda
Mera khuda..............................
Kare jeet Haar ka Wohi Faisla
Girtay hain Phir Sambhate hain
Woh to Har Haal mai aise Lartay hain  
Jese Naazon se Paalay huwe 
Sher Ran mai Utarte hain
Kia Tum hi ho
Kia Tum hi ho
Jeet kar jo Sar Jhukaayen
Haar ke jo Muskuraayen                             
Jin ko Pyara bus Usi ka Faisla hai
Jis ka Mehnat aur Dua par hi yaqee'n hai
Magnatay hain Woh Usi se jo Khuda hai
Woh hai Tera Khuda
Tera Khuda...............................
Woh hai Mera Khuda
Mera khuda..............................
Kare Jeet Haar ka Wohi Faisla
Woh hai Tera Khuda
Tera Khuda...............................
Woh hai Mera Khuda
Mera khuda..............................
Kare Jeet Haar ka Wohi Faisla
Tum sa Koi bhi Kahan hoga
Tere Jazbon ka Imtehan hai Yeh
Jo ke Taskheer hona hai 
Tum se hi Aisa Jahan hai Yeh
Kia Tum hi ho
Kia Tum hi ho
Jeet kar jo Sar Jhukaayen
Haar ke jo Muskuraayen
Jin ko Pyara bus Usi ka Faisla hai
Jis ka Mehnat aur Dua par hi yaqee'n hai
Magnatay hain Woh Usi se jo Khuda hai
Woh hai Tera Khuda
Tera Khuda...............................         
Woh hai Mera Khuda
Mera khuda..............................
Kare jeet Haar ka Wohi Faisla
Woh hai Tera Khuda
Tera Khuda...............................
Woh hai Mera Khuda
Mera khuda..............................
Kare jeet Haar ka Wohi Faisla
Woh hai Tera Khuda
Tera Khuda...............................
Woh hai Mera Khuda
Mera khuda..............................
Kare jeet Haar ka Wohi Faisla
Ho Allah Badshah
Tera Mera Khuda
Kare Jeet Haar ka Wohi Faisla

Singer             : Jawwad Ahmed
Lyrics             : Jawwad Ahmed
Album            : Uchiyan Majajani
Released        : 1999 ( During ICC World Cup 1999 )
Woh hai Tera Khuda by Jawwad Ahmed-Cricket Song MP3 Download-Click here

Friday, January 4, 2013

Rakho Jeet Ki Lagan-Pakistani Cricket Song ( Lyrics & Download )

Rakho Jeet ki Lagan
Rakho Jeet ki Lagan       
Jeet ki Lagan 
Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan Tum
Jeet ki Lagan 
Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan Tum
Jeet ki Lagan Jeet ki Lagan Tum        
Tere Hoslon mai Na Shikan Aaye
Himmaton mai Na Thakan Aaye
Tere Har Qadam pe hain 
Laakhon Duaaen Umang
Rakho Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan 
Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan Tum
Jeet ki Lagan 
Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan Tum
Yeh Baazi Aakhri Bazi Nahi
Abhi Aur Buhat se Maidaa'n hain
Tere Baazuwon ki Taqat mai Chhupay       
Yeh Zamanay ko Yaqee'n ho jaye
Himmaton mai Na Thakan Aaye
Tere Har Qadam pe hain 
Laakhon Duaaen Umang  
Rakho Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan 
Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan Tum
Jeet ki Lagan                                             
Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan Tum
 Teri Dhoom hai Sare Jug mai Machi
Tu Jeetay Chahay Na Jeet Sakay
Hamain Tum hai Maan hai Har Haal mai
Teri Mehnat Rukay Na Jurat Jhukay
Chahay Aandhi bhi Tum se Takraye
Himmaton mai Na Thakan Aaye
Tere Har Qadam pe hain                  
Laakhon Duaaen Umang  
Rakho Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan 
Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan Tum
Jeet ki Lagan 
Jeet ki Lagan
Jeet ki Lagan Tum

Singer           : Jawwad Ahmed
Released       : 2012
Pakistan Television Sports Channel. 

Rakho Jeet Ki Lagan by Jawwad Ahmed-PTV Sports Song-MP3 Free Download 

Team Pakistan....Tu Agay Chal ( Lyrics & Download )

Dekh Raha hai Tujh ko Aik Jahan
Dekh Raha hai Tujh ko Aik Jahan
Pyare Pakista'n.........................                    
Tu Agay Chal .....Tu Agay Chal
Tu Agay Chal .....Tu Agay Chal
Agay Agay Sab se Agay
Agay Aagay Sab se Agay
Sab se Agay Sab se Agay
Team Pakistan
Tu Agay Chal Tu Agay Chal
Tu Agay Chal Tu Agay Chal
Suraj se Agay Hamain Jana hai
Sonay ko Sona Mumwana hai
Suraj se Agay Humain Jana hai       
Sonay ko Sona Munwana hai
Aisa Hum Jam Ke Khelain
Har Mushkil Catch le lain
Aisa Hum Khel Khelen
Chokay pe Lage Chakka
Ho Khel Aisa Pakka 
Tu Agay Chal Tu Agay Chal
Tu Agay Chal Tu Agay Chal
Yaaron se Apna Yarana hai                 
Gheron ko Apna Banana hai
Yaaron se Apna Yarana hai
Gheron ko Apna Banana hai
Amn Muhabbat Nara
Sun le Zamana Sara
Hum Sab se Pyar Karen ge
Khel mai Dil len ge
Agay Aagay Sab se Agay                  
Sab se Agay Sab se Agay
Team Pakistan                           
Tu Agay Chal Tu Agay Chal
Tu Agay Chal Tu Agay Chal

Singer           : Jawwad Ahmed
Lyrics           : Riaz-ur-Rehman Sagahr
Music           : Naved Ali,Wajid Ali
Released      : 2012 

Sab Se Agay Team Pakistan Tu Agay Chal Tu Agay Chal by Jawwad Ahmed-MP3 Free Download-Click Here

Saturday, December 1, 2012

Aasman Se Ooncha Hum Urain ( Patriotic Song-Lyrics & Download )

Dil mai hai Aag Jese
Sanson mai hai Tufa'n
Josh-e-Jawani Bhare
Tan mai hain Bijliyan
Lamhon mai Jeete hain
Pal mai Hum De dain Jaa'n
Hum hain Deewane  
Janay Sara Yeh Jahan 
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Dil jo Apna Chahe Hum Karen
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Dil jo Apna Chahe Hum Karen
Aaj Aisa Josh hai
Kuch Khabar hai Na hi Hosh hai
Yeh Umang Yeh Hosla
Yeh Qayamat Samaa
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Dil jo Apna Chahe Hum Karen
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Dil jo Apna Chahe Hum Karen
Mushkilon se Hum Khelen
Aag mai bhi Kabhi Hum Saans Le len
Urte Phirte Badlon mai
Jese Panchhi Akele
Aaj Sab Yeh Jaan lo
Jo Kaha hai Maan lo
Hum Chale..............................................
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Dil jo Apna Chahe Hum Karen
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Dil jo Apna Chahe Hum Karen
Yeh Samaa Yeh Be Khudi
Char Pal ki hai Yeh Zindagi
Yeh Samaa Yeh Be Khudi
Char Pal ki hai Yeh Zindagi
Yad Rakhe Yeh Jahan
Kuch Hum Aisa Karen
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Dil jo Apna Chahe Hum Karen
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Dil jo Apna Chahe Hum Karen
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Hum jo Chahen Duniya Badal den
Aasma'n se Ooncha Hum Urain
Hum jo Chahen Duniya Badal den
Is Dharti ki jo Qadr Kare
Yeh Dharti Us par Fakhr Kare
Yeh Dharti Us par Fakhr Kare
Fakhr Kare...........Fakhr Kare   
 
Singer                  : Jawwad Ahmed
Lyrics                  : Jawwad Ahmed
Released              : 2006

Aasman se Ooncha Hum Urain by Jawwad Ahmed-Free MP3 Download-Click Here 
  

Thursday, November 8, 2012

Tu Abhi Reh Guzar Mai Hai-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics & Download )

Tu Abhi Reh Guzar mai hai Qaid-e-Maqam se Guzar
Misr-o-Hijaz se Guzar Paras-o-Sham se Guzar
Jis ka Amal hai Be Gharaz Us ki Jaza Kuch Aur hai
Hoor-o-Khayam se Guzar Bada-o-Jaam se Guzar
Garcha Hai Dilkusha Bohat Husn-e-Farang Ki Bahar
Taeerik-e-Buland Baal, Dana-o-Daam Se Guzar
Koh Shigaaf Teri Zarb, Tujh Se Kushaad-e-Sharq-o-Gharb
Taigh-e-Hilal Ki Tarah Aesh-e-Niyam Se Guzar

Tera Imam Be Huzoor, Teri Namaz Be Suroor
Aesi Namaz Se Guzr, Aese Imam Se Guzar


Poet             : Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer          : Jawwad Ahmed
Released     : 2006
Pakistan Television Islamabad.
 


Tu Abhi reh guzar mai hai by Jawwad Ahmed-Kalam-e-IQBAL-MP3 Free Download-Click here


Khol Ankh Zameen Dekh Falak Dekh Fiza Dekh-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics & Download )

Khol Ankh, Zameen Dekh, Falak Dekh, Faza Dekh
Mashriq Se Ubharte Huwe Suraj Ko Zara Dekh
Iss Jalwa-e-Beparda Ko Pardon Mein Chupa Dekh
Ayyam-e-Judai Ke Sitam Dekh, Jafa Dekh
Betab Na Ho Maarika-e-Beem-o-Rija Dekh!
Hain Tere Tassaruf Mein Ye Badal, Ye Ghataen
Ye Gunbad-e-Aflak, Ye Khamosh Fazaen
Ye Koh Ye Sehra, Ye Sumandar Ye Hawaen
Theen Paish-e-Nazar Kal To Farishton Ki Adaen
Aaeena-e-Ayyam Mein Aaj Apni Ada Dekh

Samjhe Ga Zamana Teri Ankhon Ke Ishare
Dekhain Ge Tujhe Door Se Gardoon Ke Sitare
Na-Paid Tere Behar-e-Takhiyyul Ke Kinare
Pohanche Ge Falak Tak Teri Aahon Ke Shirare
Tameer-e-Khudi Kar, Asar-e-Aah-e-Rasa Dekh
Khurshid-e-Jahan Taab Ki Zou Tere Sharar Mein
Abad Hai Ek Taza Jahan Tere Hunar Mein
Jachte Nahin Bakhshe Huwe Firdous Nazar Mein
Jannat Teri Pinhan Hai Tere Khoon-e-Jigar Mein
Ae Paikar-e-Gil Koshish-e-Peham Ki Jaza Dekh
Nalinda Tere Uood Ka Har Taar Azal Se
Tu Jinse-e-Mohabbat Ka Khireedar Azal se

Tu Peer-e-Sanam Khana-e-Asrar Azal Se
Mehnat Kash-o-Khoon Raiz-o-Kam Azaar Azal Se
Hai Rakab-e-Taqdeer-e-Jahan Teri Raza, Dekh


Poet            : Hazrat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer        : Zamarrud Bano & Taj Multani
Released    : 1964
Radio Pakistan Lahore
Re-Sing      : Ghulam Ali
Released    : 1977
Re-Sing      : Chorus
Released    : 1981
Re-Sing      : Jawwad Ahmed
Released    : 2007

Khol Ankh Zameen Dekh falak Dekh Faza Dekh by Jawwad Ahmed-MP3 Free Download-Click here 

Khol Aankh Zameen Dekh Falak Dekh by Ghulam Ali-Kalam-e-Iqbal-MP3 Free Download-Click here 


Thursday, November 17, 2011

Dosti-Pak Army Song ( Lyrics & Download )

Pak Sarzameen Shaadbaad
Kishwar-e-Haseen Shaadbaad
Tu Nishaan-e-Azm-e-Aalishaan
Arz-e-Pakistan
Markaz-e-Yaqeen Shaadbaad


Rahe na rahe yeh jeevan kabhi
bani yeh rahe dosti
hai teri qasam, O yaara mere
juda ham na honge kabhi
hamesha rahe tu saathi mera
yeh bandhan rahe youn sada
yeh taaqat teri, yeh quwwat teri
barhe yeh meri hai duaa

O mere yaar, tu mera pyaar, sada rahe tu salaamat
teri meri yeh dosti yunhi rahe taa-qayaamat


dil ke hai andar tera hi pyaar
tujh pe hai yeh jaan nisaar
tera jo gham hai woh mera hai gham
teri khushi hai bahaar
hai teri jo jeet, meri woh jeet
teri haar mein meri haar

O mere yaar, tu mera pyaar, sada rahe tu salaamat
teri meri yeh dosti yunhi rahe taa-qayaamat


mil ke bitaaeyn jo pal ham kabhi
fizaaeyn yeh khil si uthain
jawaan mard-e-himmat se hai zindagi
hawaeyn yeh kehne lagain
haseen yeh samaan, jhoome jahaan
gaeyn zameen aasmaan

O mere yaar, tu mera pyaar, sada rahe tu salaamat
teri meri yeh dosti yunhi rahe taa-qayaamat

jab yeh ho ke...

aasmaan na rahe, yeh zameen na rahe
chaahe marzi Khuda ki ho, kuch na rahe
par rahe dosti aur mohabbat sada
duniya mein sirf pyaar zinda rahe
[repeat x2]

O mere yaar, tu mera pyaar, sada rahe tu salaamat
teri meri yeh dosti yunhi rahe taa-qayaamat



Singer: Jawad Ahmed
Album: Uchayyan Majajan Aali
Director: Ahsan Raheem
Year: 2001

MP3 Audio Download Here " Dosti " by Jawwad Ahmed 


Tu hi Dildar Hai ( Lyrics & Download )

Pak Sarzameen Shaadbaad
Pak Sarzameen Shaadbaad

tu badan, tu hi rooh hai
tu hi dil, tu hi jaan hai
tu hi heer, tu hai laila
tu hi meri saahiba hai
tu hi chaandi, sona
tu hi dilbar mera

tu hi dildaar hai
tu hi mera pyaar hai
mera sab kuch sajan
tujh pe nisaar hai
tu hi dildaar hai


tu hi ishq mera
tu hi meri duaa hai
tere saath jeena
marna meri wafa hai
is kaainaat mein hai
tu hi ghar mera

tu hi dildaar hai
tu hi mera pyaar hai
mera sab kuch sajan
tujh pe nisaar hai
tu hi dildaar hai


tu jeeve watan
qurbaan tujh pe tan
mera man mere dhan
[repeat x3]

main jahaan bhi hun, tera rahunga
tu jeeve, main har dam kahunga
tu na ho to main kya rahunga

tu jeeve watan
qurbaan tujh pe tan
mera man mere dhan
[repeat x6]
Pak Sarzameen Shaadbaad
Pak Sarzameen Shaadbaad


mera khoon paani jo ban jaey
aur zubaan bhi meri jo gun jaey
phir bhi zarra zarra mera kahe yeh sadaa

tu hi dildaar hai
tu hi mera pyaar hai
mera sab kuch sajan
tujh pe nisaar hai
tu hi dildaar hai



Singer: Jawad Ahmed
Album: Bol Tujhay Kya Chahiye & Azadi Hits ( BMN )
Year   :1999


Tuesday, November 15, 2011

Mera Dil hai Pakista'n by Jupiters Band ( Lyrics )

Mera Dil Hai Pakistan
Meri Jan hai Pakistan
Mera Dil hai Pakistan
Meri Jan hai Pakistan
Apna Sapnon ka hai Yeh Jahan
Khushyon ka jese koi Karwa'n
Is ki Zamee'n hai jese Chand
Is ki Aan hai Meri Shan
Phoolon jesi Yeh Zamee'n
Behtay Jharnay hain Jahan
Mera Dil Hai Pakistan
Meri Jan hai Pakistan
Mera Dil hai Pakistan
Meri Jan hai Pakistan
Manzil yahi hai Apna Jahan
Hum na rahain, Rahain ge pr Yeh Nisha'n
Taaron jese Log hai
Har Chehray pe Nikhar hai
Apne Des ki Mitti ke
Har Zarray pe Bahar hai.....................
Mera Dil Hai Pakistan
Meri Jan hai Pakistan
Mera Dil hai Pakistan
Meri Jan hai Pakistan
Apna Sapnon ka hai Yeh Jahan
Khushyon ka jese koi Karwa'n
Is ki Zamee'n hai jese Chand
Is ki Aan hai Meri Shan
Phoolon jesi Yeh Zamee'n
Behtay Jharnay hain Jahan
Mera Dil Hai Pakistan
Meri Jan hai Pakistan
Mera Dil hai Pakistan
Meri Jan hai Pakistan



Singer          : Jupiters
Poet             : Manzar Ayubi
Released      : 1990 ( PTV )
Remake        : Jawwad Ahmed ( 1997 for Motion Music )



Saturday, October 8, 2011

Hum Matwalay Dharti ke Rakhwalay ( Pak Army Song-Lyrics & Download )


Allahu Akbar...........................Allahu Akbar
Aik jan Apna Imaan 
Us Rab ka Naam Hum lene walay
Hum Matwalay .................... Dharti ke Rakhwalay
Aik Khuda ke Aagay Jhukne walay
Waday na Torain gai Hum pyar ke
Rakh dain gai Tujh pe Jind waar ke
Hum ko Awaz de Tu
Phir Chahay jaan le Tu
Tujh pe hi Mit jaain gai
 ......................Tujh pe hi Mit Jaain gai
Youn pyar kartay hain Tujh se 
Hum jeetay martay hain Tujh pe
Mil ke rahain yeh qadam jo qadam se
Mil ke jeetain gai har Baazi Qasam se
Waday na Torain gai Hum pyar ke
Rakh dain gai Tujh pe Jind waar ke
Hum ko Awaz de Tu
Phir Chahay jaan le Tu
Tujh pe hi Mit jaain gai
Tujh pe hi Mit Jaain gai
Aik jan Apna Imaan 
Us Rab ka Naam Hum lene walay
Aik jan Apna Imaan 
Us Rab ka Naam Hum lene walay
Allahu Akbar ................................Allahu Akbar
Allahu Akbar.................................Allahu Akbar
Apna yahi Emaan hai 
Tere liye hi jaan hai
Le ke Alum Tere Naam ka 
Jab chal diye jis rah pe
Jab chal diye to har Jagah 
Goonjay ga yeh Naara
Allahu Akbar ................................Allahu Akbar
Allahu Akbar.................................Allahu Akbar
Yeh Himmatain yeh Chahatian
Tere naam hain sab Rahatain
Tu hi sanam Dildar bhi
Tu Ishq hai tu Pyar bhi
Tu hi Aan hai Tu Shaan bhi
Tere Naam hai yeh Zindagi
Jo Tujh pe Marain gai to Zinda rahain gai Sada
Hum ko Awaz de Tu 
Phir Chahay jaan le Tu
Tujh pe hi Mit jaain gai
Tujh pe hi Mit Jaain gai



Singer          : Jawwad Ahmed
Released      : 2007
Re-Call        : Athar Sani ( 2009)
An ISPR Productions

Hum Matwalay Dharti ke Rakhwalay-Hum ko Awaz de Tu-Pak Army Song by Jawwad Ahmed-MP3 Free Download-Click Here


Friday, October 7, 2011

Kamyab Raho Har Qadam.....Qaum ki Izzat ho Tum

Dunya ko dikhana hai sab se agay jana hai
Tumhai larna hai Agay barhna hai
Kamyab raho har qadam Qaum ki Izzat ho tum
Kamyab raho har qadam Qaum ki Izzat ho tum
Iraday hain talwarain
Aye koi Lalkarain
Apne watan ki maan ki khatir 
Dikhana hai tumhay jeet kar
Tumhai larna hai Agay barhna hai
Kamyab raho har qadam Qaum ki Izzat ho tum
Kamyab raho har qadam Qaum ki Izzat ho tum
Jazbon ka hai imtehan
Tum sa koi hai kahan 
Jo hai muqabil us ko jhuka do
Behtar tumhi ho bata do
Tumhai larna hai Agay barhna hai
Kamyab raho har qadam Qaum ki Izzat ho tum
Kamyab raho har qadam Qaum ki Izzat ho tum
Jo azm hai chhootay na
Jo Umeedain hain tootain na
Ban ke sitaray tum jagmagao
Kuch aisa kar ke dikhao
Tumhai larna hai Agay barhna hai
Kamyab raho har qadam Qaum ki Izzat ho tum
Kamyab raho har qadam Qaum ki Izzat ho tum

Singer   : Jupiters Production
Release : 1996 ( on Wills World Cup )
Available : Hum jeetain gai (Album of National & Cricket Songs by Lips Records )

Friday, September 23, 2011

Aye Hawa Ke Rahiyo.....Badlon ke sathiyo ( PAF Song-Lyrics & Download )

Aye hawa ke Rahiyo
Badlon ke Sathiyo
Par fasha'n Mujahido
        Tum watan ki laaj ho Pak sarzameen ki        Apni ja'n pe khel kr tum banay salamti
Aye hawa ke Rahiyo
Badlon ke Sathiyo
Par fasha'n Mujahido
        Tum fiza ka husn ho Asma'n ka naaz ho
        Tum dilon mai phelti roshni ka raaz ho
Aye hawa ke Rahiyo
Badlon ke Sathiyo
Par fasha'n Mujahido
        Gar ho quwat-e-yaqeen yeh hawa yeh faslay
        Aasma'n ki wusatain aik aik hech hain
Aye hawa ke Rahiyo
Badlon ke Sathiyo
Par fasha'n Mujahido
        Dushmanon ke baal-o-par kitni jaldi kat gaye
        Shahar shahar khof ke saye thay jo chhat gaye
Aye hawa ke Rahiyo
Badlon ke Sathiyo
Par fasha'n Mujahido
       Ur raha hai duur tak chand taray ka alum
       Amn hai nagar nagar aafiyat qada qadam
Aye hawa ke Rahiyo
Badlon ke Sathiyo
Par fasha'n Mujahido


Listen & watch this Song
Singer       :  Saleem Raza 
Poet          : Mehmood Sham
Release     : 14 Sept 1965
Remake    : Jawad Ahmed with Jupiters Band( In 1995 )
Radio Pakistan Lahore


Aye Hawa ke Rahiyo by Jawad Ahmed-Pak Air Force Song-MP3 Download-Click Here