Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Sequencers. Show all posts
Showing posts with label Sequencers. Show all posts

Wednesday, September 26, 2012

Tu Hai Mera Pakistan ( Milli Naghma by Sequencers-Lyrics )

Meri Zameen Meri Jaa'n hai Tu
Teri Khushiyon mai Apni Jaa'n De doon
Yeh Zameen aur Aasmaa'n
Hum Sab ka hai Jan-e-Jahan
Is Zamee'n ki Azaadiyan Hum Sab ke liye hain
Na Jaayen ge Tujhe Chhor kar
Tu hi hai Hum Sab ka Ghar
Banayen ge Tujhe Khoob Tar
Meri Zamee'n.........................
Tu hai Mera Pakistan
Meri Zamee'n Meri Maa'n hai Tu
Gaud mai Teri Mujhe hai Bara Sukoo'n
Yeh Zameen ar Aasmaa'n
Hum Sab ka hai Jan-e-Jahan
Is Zamee'n ki Azaadiyan Hum Sab ke liye hain
Na Jaayen ge Tujhe Chhor kar
Tu hi hai Hum Sab ka Ghar
Banayen ge Tujhe Khoob Tar
Meri Zamee'n.........................
Tu hai Mera Pakistan
Na Jaayen ge Tujhe Chhor kar
Tu hi hai Hum Sab ka Ghar
Banayen ge Tujhe Khoob Tar
Meri Zamee'n.........................
Tu hai Mera Pakistan

Singer         : Sequencers
Music         : Sequencers
Released    : 1994
Album        : Sahara

Saturday, April 28, 2012

Nazaray Yeh Saray Sitaray Yeh Saray ( Lyrics )

Nazaray Yeh Saaray
Sitaray Yeh Saaray
Nazaray Yeh Saaray
Banain ge Ik Din Hamaray Tumharay
Sitaray yeh Saaray
Banain ge Ik Din Tumharay Hamaray
Yahi Apna Watan Yahi Kehna hai
Yeh hai Apna Chaman Yahi Kehna hai
Yaheen Jeena hai
Yaheen Marna hai
Is ke liye Kuch Karna hai
Nazaray Yeh Saaray
Sitaray yeh Saaray
Banain ge Ik Din Hamaray Tumharay
Yeh hai Dharti Hasee'n Yahi Kehna hai
Yeh hai Apni Zamee'n Yahi Kehna hai
Kabhi Dhoop mai Kabhi Chhaaon mai
Yahee'n Jeena hai Yahee'n Marna hai
Is ke liye Kuch Karna hai
Nazaray Yeh Saaray 
Sitaray yeh Saaray
Banain ge Ik Din Tumharaay Hamaray
Nazaray Yeh Saaray
Barhti hui Yeh Aandhiyaa'n
Tham jaain gi kuch Dair mai
Mil jai gi Wohi Roshni Wohi Zindagi
Wohi Qurbatain Wohi Chahatain
Yeh Saahil Kinaray
Samjho na Tum Yeh Ishaaray Hamaray
Dilon ke Saharay
Banain ge Ik Din Hamaray Tumharay
Nazaray yeh Saray
Banain ge Ik Din 
Hamaray Tumharay
Sitaray Yeh Saray
Nazaray yeh Saray


Singer                   : Sequencers ( musical Band )
Poet                     : Imran
Music                   : Sequencers
Released              : 1994 ( Pepsi Music Presentation's )
Album                  : Pepsi Independence Day Album

Monday, November 14, 2011

Khayal Rakhna ( Lyrics & Download )

naey dinon ki musaafaton ko ujaalna hai (ujaalna hai)
wafa se aasooda saaton ko sambhaalna hai (sambhaalna hai)
ummeed-e-subh-e-jamaal rakhna, khayal rakhna
khayaal rakhna, khayaal rakhna, khayaal rakhna (x2)


yeh dhoop is ki, yeh chaaon is ki, hamaari daulat (hamaari daulat)
yeh khaak-e-paak is ki apni izzat hai apni azmat (hai apni azmat)

naey dinon ki musaafaton ko ujaalna hai (ujaalna hai)
wafa se aasooda saaton ko sambhaalna hai (sambhaalna hai)
ummeed-e-subh-e-jamaal rakhna, khayal rakhna
khayaal rakhna, khayaal rakhna, khayaal rakhna (x2)


waqaar is ka kabhi na kam ho, kabhi na kam ho (kabhi na kam ho)
yeh sabz parcham tamaam aalam mein mohtaram ho (han mohtaram ho)

naey dinon ki musaafaton ko ujaalna hai (ujaalna hai)
wafa se aasooda saaton ko sambhaalna hai (sambhaalna hai)
ummeed-e-subh-e-jamaal rakhna, khayal rakhna
khayaal rakhna, khayaal rakhna, khayaal rakhna (x2)


watan se ham hain, watan hai ham se, khayaal rakhna (khayal rakhna)
chalo mila kar qadam qadam se, khayaal rakhna (khayal rakhna)

naey dinon ki musaafaton ko ujaalna hai (ujaalna hai)
wafa se aasooda saaton ko sambhaalna hai (sambhaalna hai)
ummeed-e-subh-e-jamaal rakhna, khayal rakhna
khayaal rakhna, khayaal rakhna, khayaal rakhna (x4)




Singer                  : Alamgir & Benjamin Sisters
poet                    : Tahir Parvez
Music                   : Nisar Bazmi
Released              : 1982 ( PTV Karachi Center )
Remake                : Milestones ( in 1993 for STN)
                           : Sequencers ( in 1997 for STN )
                           : Tehseen javed & Benjamin Sisters ( 1997 for Sonic Music )
                           : Siege ( 2011 )