Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Showing posts with label Tarannum Naz. Show all posts
Showing posts with label Tarannum Naz. Show all posts

Monday, March 25, 2013

Watan Ki Sarzameen Ko Rashk-e-Aasman Banaayen ge ( Watan Ka Naghma-Lyrics )

Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Hum Har Tarah Waqar-o-Azmat-e-Watan Barhaayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Buland Parcham-e-Watan Karen ge Hum Buland Tar
Kare gi Naz Khak-e-Pak Apne Ittehad par
Hamesha Aik ho ke Hum Watan ke Get Gaayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Jiyen ge Azm-e-Nau liye Buland Hoslon se Hum
Diye khuloos-e-Pyar ke Jalaayen ge Qadam Qadam
Wafa ki Roshni se Hum Watan ko Jagmagayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Misaal-e-Mehar hoga Zarra Zarra Arz-e-Pak ka
Nazar Nazar Barhay ga Aur Rutba Arz-e-Pak ka
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Hum Har Tarah Waqar-o-Azmat-e-Watan Barhaayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge


Singer           : Tarannum Naz Laila
Poet             : Qateel Shifayee
Music           : ?
Radio Pakistan Karachi.

Thursday, November 8, 2012

Aijaz Hai Kisi Ka Ya Gardish-e-Zamana-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics )

Aijaz Hai Kisi Ka Ya Gardish-e-Zamana
Toota Hai Asia Mein Seher-e-Farangiyana
Tameer-e-Ashiyan Se Main Ne Ye Raaz Paya
Ahl-e-Nawa Ke Haq Mein Bijli Hai Ashiyana
Ye Bandagi Khudai, Woh Bandagi Gadai
Ya Banda-e-Khuda Ban Ya Banda-e-Zamana
Ghafil Na Ho Khudi Se, Kar Apni Pasbani
Shaid Kisi Haram Ka Tub Hi Hai Astana
Ae LA ILAH Ke Waris! Baqi Nahin Hai Tujh Mein
Guftar-e-Dilbarana, Kirdar-e-Qaharana
Teri Nigah Se Dil Seenon Mein Kanpte The
Khoya Gya Hai Tera Jazb-e-Qalandarana
Raaz-e-Haram Se Shaid Iqbal Ba-Khabar Hai
Hain Iss Ki Guftugu Ke Andaz Mehramana

Poet              : Hazrat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer           : Tarannum Naz
Music           : Khalil Ahmed
Released      : 1986
Pakistan Television Karachi Center.

Saturday, October 6, 2012

Chamak Teri Ayaan Bijli Mai-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics & Download )

Chamak Teri Ayaa'n Bijli mai Aatish mai Shararay mai
Jhalak Teri Haveeda Chand mai Suraj mai Taray Mai
Bulandi Aasmanon mai Zameenon mai teri Pasti
Rawani Behar mai Uftaadgi Teri Kinaray mai
Jo hai Bedaar Insaa'n mai Woh Gehri Neend Sota hai
Shajar mai Phool mai Hevaa'n mai Pathhar mai Sitaray mai        
Tujhe Phoonka hai Soz-e-Qatra-e-Ashk-e-Muhabbat ne
Ghazab ki Aag thi Pani ke Chhotay se Shararay mai
Sukoon Na Aashna Isay Saman-e-Hasti hai
Tarap kis Dil ki Ya Rab Chhup ke Aa Bethi hai Paaray mai
Chamak Teri Ayaa'n Bijli mai Aatish mai Shararay mai
Jhalak Teri Haveeda Chand mai Suraj mai Taray Mai

Poet        : Hazrat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer     : Tarannum Naz
Released : 1981
Pakistan Television Islamabad 
Chamak Teri Ayan Bijli mai Aatish mai by Tarannum Naz ( Kalam-e-Iqbal MP3 Download ) 

Thursday, March 15, 2012

Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo! ( Download & Lyrics )

Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo!
Wafaa ki Tasveero!
Tumhen Watan ki Hawain 
Salam Kehti hain
Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo!
Laganay Aag jo aye thay Ashyanay ko
Woh Sholay Apne Lahoo se Bhuja diye Tum ne
Bacha liya hai Yateemi se kitne Phoolon ko
Suhaag kitni Baharon ke Rakh liye Tumne
Tumhain Chaman ki Fazaain 
Salam kehti hain
Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo!
Chalay jo hogay Shahadat ka Jaam Pi kar Tum
Rasool-e-Pak(SaW) ne Banhon mai le liya hoga
Ali(Rza) Tumhari Shuja'at pe Jhoomtay hon ge
Hussain-e-Pak(Rza) ne Irshad yeh kiya hoga
Tumhe Khuda ki Razaain Salam kehti hain
Aye Rah-e-Haq ek Shaheedo!
Janab-e-Fatimah(AS) Zikr-e-Rasool(SaW) ke agay
Shaheed ho ke kiya Maa'n ko Surkh roo Tum ne
Janab-e-Hazrat-e-Zainab(Rza) Gawahi deti hain
Shaheed ho ke rakhi Behnon ki Aabroo Tum ne
Watan ki Betiyan Maain Salam kehti hain
Aye Rah-e-Haq ke Shaheedo!

Singer      : Naseem Begum

Poet         : Mushir Kazmi
Music      : Saleem Iqbal
Film         : Madr-e-Watan ( 1966 )
Remake   : Tarannum Naz ( 1993 for STN )
                : Mehnaz ( 1996 for STN )
                : Sana Munir ( 1997 for Sound Master )
                : Naeem Abbas Rufi ( 2001 )
Radio Version Released in Oct 1965 
PTV Version Released in Sept 1966

Aye Rah-e-Haq ke Shaheedon by mehnaz-MP3 Free Download-Click Here








Wednesday, November 30, 2011

Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad ( Lyrics & Download )

Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Jab Tak Qaaim Rahay gi Dunya hoooo hooo
Jab tak qaaim rahay gi Dunya
Rahay ga Tu Abad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Teri Zamee'n ke Sab Rakhwalay
 Tufanon ke Palay hain
Teri Faza mai Urnay walay 
Maut se Khelne walay hain
Tere jawan beton ki
 azmat himmat hai faulad 
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Hum Sab ko Ehsas dilanay 
Aaj ka din yeh Aya hai
Ghaur karen mil kr hum sochain
 kia Khoya kia Paya hai
Hum se kia kia bhool hui hai
Karen hum sab ko yaad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Aik se Aik milen to Giyara 
Aik Akela Kuch bhi nahi
Pyar jahan pe dilon mai ho
Jannat banti hai woh Zameen
Tere saaye mai aaye
Aur hogaye sab Azad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad

Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Jab Tak Qaaim Rahay gi Dunya hoooo hooo
Jab tak qaaim rahay gi Dunya
Rahay ga Tu Abad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad
Zindabad Pakistan Pakistan Zindabad


Singers         : Masood Rana, Shaukat Ali, Naheed Akhter,Akhlaq Ahmed, Mehnaz, Tarannum Naz, Ghulam Abbas, Rajab Ali,Mehjabeen,A.Nayyar,Amjad pervaiz etc
Poet             : Qateel Shifayee
Released      : Aug 1985
Pakistan Television Islamabad Center