Mere Watan ke Bahadur Jawaan
Chu lain Hawaon ko choomain Aasman
Likhen Lahoo se Wafa ki Dastaan
Dil mai Jawanon ke Yahi hain Armaan
Uthnay Lagi jo Dushman ki Nazar
Barhnay laga Ayyar ka Dar
Waheen Lutaye Shaheedon ne Sar
Nara Laga Allahu Akbar.............
Jazbay Jawaa'n Hoslay bhi Jawaa'n
Apni Baharon ke Yahi Pasban
Likhen Lahoo se Wafa ki Dastaan
Dil mai Jawanon ke Yahi hain Armaan
Tor ke Rakh diye Dushman ke Khwaab
Barh ke Diya ik Aisa Jawab
Mit'tay Rahay par na Peechay hatay
Khoon se Apne Khilaaye Gulaab
Yahi hain Meri Sarhadon ke Nigehbaan
Ghazi yahi Manzilon ke Nishan
Likhen Lahoo se Wafa ki Dastaan
Dil mai Jawanon ke Yahi hain Armaan
Maaon ki Behnon ki Aik Pukaar
Yeh hain kari Talwaar ki Dhaar
Mera yeh Geet Aur Mera Yeh pyar
In ki Shuja'at pe hai Yeh Nisar
Himmat Walay Watan ke Pasba'n
Apni Wafaon ke yahi Saaibaa'n
Likhen Lahoo se Wafa ki Dastaan
Dil mai Jawanon ke Yahi hain Armaan
Mere Watan ke Bahadur Jawaan
Chu lain Hawaon ko choomain Aasman
Likhen Lahoo se Wafa ki Dastaan
Dil mai Jawanon ke Yahi hain Armaan
Singer : Aamir Saleem
Released : 1997
Album : Muhabbat
No comments:
Post a Comment