Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Saturday, October 8, 2011

Yaad Karta hai Zamana Unhi Insanon ko (Lyrics & Download)

Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko 
Rok letay hain jo barhtay huwe Tufanon ko
Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko 
Aap hi apne tarapnay ka maza letay hain
Hans ke har Ghum ko woh seenay se laga letay hain
Ghum se dartay huwe dekha nahi deewano ko
Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko 
Muskurata hai koi bharta hai ahaain koi
Chal diya Pher ke Apnon se Nigahain koi
Reh gaya dil mai daba kar koi Armanon ko
Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko
Un ki Himmat pe Khushi Naz kia karti hai
Zindagi un ke qadam choom liya karti hai
Jo baharon se saja detay hain weeranon ko
Yaad karta hai Zamana Un hi Insanon ko 

Singer         : Masood Rana
Poet           : Muzaffar Warsi
Music         :G.A.Chishti
Film           : HamRaahi (1966)


No comments: