Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, November 17, 2011

Aye Quaid-e-Azam Tera Ahsan hai Ahsan ( Lyrics & Download )


Yun di hamain azadi k duniya hui hairan
Aye Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Tera ahsan hai, tera ahsan
Har Simt pe Musalmano pe chaye thi tabahi
Mulk apna tha aur ghairon k hathon main thi shahi
Aise main utha Deen e Muhammad ka Sipahi
Aur Naara e Takbeer say di tu ne gawahi
Islam ka jhanda liye aaya sar e maidan
Aye Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Tera ahsan hai, tera ahsan
Dekha tha jo Iqbal ne ik khawab suhana
Us khawab ko ik roz haqeqat hai banana
Ye socha jo tu ne to hansa tujh pe zamana
Har chaal say chaha tujhe dushman ne harana
Mara woh tu ne dao k dushman bhi gaye maan
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Larne ka dushmano say ajab dhang nikala
Na top na bandooq ka talwar na bhala
Sachai k anmol asoolon ko sambhala
Jinnah tere paigham main jadoo tha nirala
Iman wale chal pare sun ker tera farman
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Naqsha badal k rakh diya is muk ka tune
Saaya tha Muhammad ka Ali ka tere sir pe
Duniya say kaha tune koi humse na uljhe
Likha hai is zameen pe shaheedon ne lahoo say
Azad hain azad rahain ge ye Musalmaan
Aye Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Hai Aaj tak hamain woh Qayamat ki Ghari yaad
Mayyat pe Teri Cheekh ke Hum ne jo ki faryad
Boli yeh Teri Rooh na samjho isay Bedaar
Islam Zinda hota hai har Karbala ke bad
Gar Waqt paray mulk pe ho jaye Qurban
Aye Quaid-e-Azam Tera Ahsan hai Ahsan
Yun di hamain azadi k duniya hui hairan
Eh Quaid e Azam tera ahsan hai ahsan
Tera ahsan hai tera ahsan
Tera Ahsan hai Tera Ahsan



Singer       : Munawwar Sulatana
Poet          : Fayyaz Hashmi
Film          : Bedari
Remake    : Mehnaz
                          : Humera Channa
                 : Fareeha Parvez
                 : Syed Muhammad Iqbal

Audio MP3 Free Download-Aye Qauid-e-Azam Tera Ahsan hai by Munawwar Sultana

Audio Download MP3-Aye Quaid-e-Azam Tera Ahsan hai Ahsan by Mehnaz

Compelete Album of Tribute to Quaid-e-Azam(Ra)-MP3 Free Downlaod-Click Here 



8 comments:

Anonymous said...

thanx A lot Absar Sahab. we proud of you
Ambreen ( Toronto, Canada )

Ahmed Abbas said...

Hello Absar this post of your. Is the world best post for me. Thanks after visiting many sites i failed but then you i really got the song thanks.

Unknown said...

thanx the 1 who had posted this nazam because it seemed toooo helpful for me as i had to sing this nazam in my school in the memory of pakistan day

Unknown said...

thanx to the one who had posted this poem as i had to sing in my school in the memory of pakistan day

Unknown said...

thanx the 1 who had posted this nazam because it seemed toooo helpful for me as i had to sing this nazam in my school in the memory of pakistan day

Unknown said...

I love this song and I love Pakistan

Unknown said...

I love it����������������

Anonymous said...

Tanks a lot I could not find the original song at youtube but you are *great*