Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Friday, November 11, 2011

Tariq ki Dua ( Yeh Ghazi yeh Tere Pur Asraar Banday-Lyrics & Download)


Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Israar Banday
Jinhain Tu ne Bakhsha hai Zauq-e-Khudai
Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Asraar Banday....
Do Neem in ki Thokar se Sehra-o-Darya
Simat kar Pahar in ki Haibat se Raayee
Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Asrar Banday
Do Alam se Karti hai Begaana Dil ko
Ajab Cheez hai Lazzat-e-Ashnayee
Shahadat hai Maqsood-o-Matoob-e-Momin
Na Maal-e-Ghanimat na kishwar kushayee
Kiya Tu ne Sehra Nasheenon ko Yakta
Khabar mai Nazar mai Azaan-e-Sahar mai
Talab jis ki Sadyon se thi Zindagi ko
Woh Soz Us ne paya in hi ke jigar mai
Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Israar Banday
Jinhain Tu ne Bakhsha hai Zauq-e-Khudai
Kushad-e-Dar-e-Dil samajhtay hain usko
Halakat nahi maut in ki Nazar mai
Dil-e-Mard-e-Momin mai phir Zinda kar dai
Woh Bijli thi ke Nara-e-La Tazar mai
Azaaim ko Seenon mai Bedaar kar dai
Nigah-e-Musalma'n ko Talwar kar dai
Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Israar Banday
Jinhain Tu ne Bakhsha hai Zauq-e-Khudai


Poet                     : Hazrat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer                   : Taj Multani
Music                   : Lal Muhammad
Released               : 9th Nov 1965 (Radio Pakistan Karachi)
Remake                : Shaukat Ali ( in 1977 Radio Pakistan Lahore)
                             : Aijaz Qaiser
                             : Iqbal Ali
                             : Junaid Jamshed
                             : Amanat Ali ( 2011 Yaum-e-Shuhada Pak Army)


Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Asraar Banday-MP3 Free Download-Click Here

Yeh Ghazi Yeh Tere Pur Asraar Banday by Raheel Fayyaz ( Almost Rare )



No comments: