Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Sunday, April 22, 2012

Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda ( Lyrics & Download )

Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda...........
Jahan se Phool toota tha Waheen pe 
Kali si Ik Numayan Horahi hai
Jahan Bijli giri thi Ab Wahi Shaakh
Naye Pattay Pehan ke Tan Rahi hai
Khizaa'n se kab ruka hai Mausam-e-Gul!
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda...........
Khandar se Kal jo Bikhray paray thay
Waheen se Aaj awaa'n uth rahay hain
Jahan Kal Zindagi Mabhoot si thi
Waheen pe Aaj Naghmay Goonjtay hain
yeh Sannatay si lay ki Simt ki Hijrat
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda...........
Naheen Yak Dastagi ka Khauf Jab tak
Shuaae'n Barf par Larzaa'n rahain gi
Ándheray Jam naheen Payen ge Jab tak
Chiraghon ki Lawain Raqsaa'n rahain gi
Bashar ki Apni hi Taqdeer se Jang!
Yahi Asl-o-Usool-e-Zindagi hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda
To Phir kis Cheez ki Hum mai Kami hai
Agar hai Jazba-e-Tameer Zinda...........


Singer       :      Tahira Syed
Poet          :      Ahmed Nadeem Qasmi
Released   :  1972
Pakistan Television Islamabad Center


                 


No comments: