Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Saturday, April 28, 2012

Na Maloom Sipahee ( Lyrics )

In Khuli Fazaaon mai Bethay huwe
Aaj Sochoon Mai Yaadon mai Khoyee hui
Dekhi Apni Jab Zamee'n
Mai ne Jana Yeh tab hi
Duniya hui hai Meri Nayee
SarSabz Lehlahati hui Dharti
Aur Chandni mai Nahaye huwe Darya
Khushbuwon mai Basi Muskurati huwee Fazaain
Pakistan Azaadi ka naam 
Pakistan teri Meri Pehchan
Pakistan hai Jab tak Yeh Jahaa'n
Pakistan hai Jab tak Aasmaa'n
Abhi Yaad hain Mujhe Azeem Maqsad ke liye 
Jaan dene walay...!!
Na Maloom Sipahee
Paharon se bhi Sar Buland
Meri Zindagi mai Yeh Log
Yad Atay hain Mujhe
Aaj bhi Mehsoos kar sakta hoon inhain
Apne Watan ke Goshay Goshay mai
Sargoshiyaa'n Sunoon Un ki Mai In Hawaaon mai
Pakistan Azaadi ka Naam 
Pakistan Teri Meri Pehchan
Pakistan hai Jab tak Yeh Jahaa'n
Pakistan hai Jab tak Aasmaa'n
Mere Jaa'nbaazon Suno!
Sunheray Khwaabon mai
Tum Ab tak Sath ho!
Sath ho Mere
Tum hi to ho Jin se 
Khizaa'n ke Mausam mai
Meri Zindagi mai Phool hai Khilay
Ya Phir Baarish ki Boondon ki Maanind
Dastak deti hain Zehan pe Mere
Bhool sakta nahi Un jiyalon ki Wafaayen
Pakistan Azaadi ka Naam
Pakistan Teri Meri Pehchaan
Pakistan hai Jab tak yeh Jahaa'n
Pakistan hai Jab tak Aasmaa'n

Singer        : Keynotes ( Music Band )
Released    : 1994 ( Pepsi Music )
Album       : Independence Day Album Pepsi Present's


No comments: