Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, August 9, 2012

Yeh Ghaziyon Ka Qafla Rawan Dawan Rahe ( Pak Army-Lyrics )

Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahay
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Watan ka Pasbaa'n Rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa' Rawaa'n Rahe
Barhe Chalo Barhe Chalo 
Hatheliyon pe Sar liye
Kafan ko Sar se Baandh kar 
Kafan mai Apna Sar liye
Barhe Chalo Pay-e-Jehad 
Apna Ghar ka Apna Ghar Liye
Hassan(Rza) ka Hosla Liye
Hussain(Rza) ka Jigar Liye
Paray Qadam jehan jehan 
Wahan Wahan Amaa'n rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaan Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Rasool(SaW) ki Hadees hai
Nabi(SaW) ke Moo'n ki Baat hai
Salam us Khuda ka hai 
Ke Jis ki Kaainat hai
Ali(Rza) ke Laal Sheh-e-Karbala ki Raat hai
Shaheed ki jo Maut hai Woh Qaum ki Hayat hai
Woh Qaum ki Hayat hai.................................
Hayat Qaum ka Nishaa'n 
Sada Sada Jawaa'n Rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Watan ko Dil se Pyar kar ke Yeh bhi Ik Namaz hai
Watan ki Naao Paar kar k Yeh bhi ik Namaz hai
Watan Pe Jaa'n Nisar kar k Yek bhi Ik Namaz hai
Bus Apna Intezaar kar ke Yeh bhi Ik Namaz hai
Yeh Parcham-e-Sitara-o-Hilal 
Sada Kamraa'n Rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahay
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Rawaa'n Dawaa'n Rawaa'n Rahe
Watan ka Pasbaa'n Rahe
Yeh Ghaziyon ka Qafla 
Rawaa'n Dawaa' Rawaa'n Rahe

Singer       : Masood Rana & Chorus
Poet           : Wali Sahab
Music       : Nazir Jafari
Released   : 1966
Radio Pakistan Karachi.
Film         : Kashmir ki Kali

No comments: