Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Saturday, September 29, 2012

Watan Kahani ( Lyrics & Download )

Logo! suno kahani
Haan meri zubani
Kabhi nahi kabhi nahi
Hogi jo purani
Sab duniya hai aani jani
Sada suhani watan kahani
Bana hi nahi tha jab Pakistan
Kisi ko nahi thi kisi ki bhi pehchan
Koi tha kahin pe khara koi tha kahin
Na tha apna watan apni zameen kuch bhi nahi
Bana to Watan Pehchan bana
Tareekh me ek Unwaan bana
Teri shaan bana
Meri shaan bana
Hum sab ka Pakistan bana
Logo suno Meri Sada
Aage Barho dat k zara
Watan chaman banjaye ga
Milkar rahain jo Hum yahaan
Bana hai to ab araam na kar
Dil ko dukhane wale kam na na  kar
Tujhe mili hai Charagh to Manzil bhi bana
Mahsoos jo kare wo Dil bhi bana
Apna to Dhang hi nahi hai koi
Kisi k bhi Sang hi nahi hai koi
Hai tera mera mera tera sab ka Watan
Hum tum Phool yeh sab ka chaman
Hame khilna hai Murjhana hai
Yeh chaman yaheen reh jaana hai
Logo suno meri sada
Aage barho dat k zara
Watan chaman ban jayega
Mil kar rahen jo hum yahaan
Hum ne banaya hai to sawarengay bhi hum
Apnay watan ko Nikharaingay bhi hum
Kabhi bhi irada,karen jo hum
Milkar waada,karen jo hum
Mushkil koi bhi na rahe mushkil
Haan jahan chahe wahan mile hame Manzil
Haan tera haan tera naam bane
Haan mera haan mera naam bane
Hame to hi sab ko yeh samjhana hai
Hame kaam Watan k aana hai
Logo sono meri sada
Aage barho dat k zara
Watan chaman ban jayega
Milkar rahain jo hum yahan X4

Singer      : Awaz Group
Poet         : Sabir Zafar
Released  : Aug.1992
Album      : Jadoo ka Chiragh


Watan Kahani by Awaz Group-MP3 Free Download-Click Here

No comments: