Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Friday, November 9, 2012

Great Patriotic Poem-Saqi Nama-Kalam-e-IQBAL ( Lyics & Download )

Huwa Khaimazan Karwan-E-Bahar
Iram Ban Gya Daman-E-Kohsar

Jahan Chup Gya Parda’ay Rang Mein
Lahoo Ki Hai Gardish Rag-E-Sang Mein

Faza Neeli Neeli, Hawa Mein Suroor
Thehar Nahin Aashiyan Mein Tayoor

Uchalti, Phisalti, Sanbhalti Huwi
Bare Paich Kha Kar Niklti Huwi

Zara Dekh Ae Saqi-E-Lalah Faam!
Sunati Hai Ye Zindagi Ka Payam

Woh Mai Jis Se Roshan Zameer-E-Hayat
Woh Mai Jis Se Hai Masti-E-Kainat

Woh Mai Jis Mein Hai Soz-O-Saaz-E-Azal
Woh Mai Jis Se Khulta Hai Raaz-E-Azal

Utha Saqiya Parda Iss Raaz Se
Lara De Mamoole Ko Shahbaz Se

Zamane Ke Andaz Badle Gye
Naya Raag Hai, Saaz Badle Gye

Purani Siasat Gari Khwaar
Zameen Mir-E-Sultan Se Baizar Hai

Gya Dour-E-Sarmaya Dari, Gya
Tamasha Dikha Kar Madari Gya

Garan Khawab Cheeni Sanbhalne Lage
Hamala Ke Chashme Ubalne Lage

Dil-E-Toor-E-Seena-O-Faran Do Neem
Tajalli Ka Phir Muntazir Hai Kaleem

Tamadan, Tasawwuf, Shariat, Kalam
Butan-E-Ajam Ke Poojari Tamam!

Haqiqat Khurafat Mein Kho Gyi
Ye Ummat Rawayat Mein Kho Gyi

Lubhata Hai Dil Ko Kalam-E-Khateeb
Magar Lazzat-E-Shauq Se Be-Naseeb!
Byan Iss Ka Mantaq Se Suljha Huwa
Lughat Ke Bakheron Mein Uljha Huwa

Woh Sufi K Tha Khidmat-E-Haq Mein Mard
Mohabbat Mein Yakta, Hamiyyat Mein Fard

Ajam Ke Khayalat Mein Kho Gya
Ye Salik Maqamat Mein Kho Gya

Bujhi Ishq Ki Aag, Andhair Hai
Musalman Nahin, Raakh Ka Dhair Hai

Sharab-E-Kuhan Phir Pila Saqiya
Wohi Jaam Gardish Mein La Saqiya!

Muhe Ishq Ke Par Laga Kar Ura
Meri Khaak Jugnu Bana Kar Ura

Khirad Ko Ghulami Se Azad Kar
Jawanon Ko Peeron Ka Ustad Kar

Har Shakh-E-Millat Tere Nam Se Hai
Nafs Iss Badan Mein Tere Dam Se Hai

Tarapne Pharakne Ki Toufeeq De
Dil-E-
Murtaza(R.A.), Souz-E-Siddique(R.A.) De

Jigar Se Wohi Teer Phir Paar Kar
Tammana Ko Seenon Mein Baidar Kar

Tere Asmanon Ke Taron Ki Khair
Zameenon Ke Shab Zinda Daron Ki Khai

Jawanon Ko Soz-E-Jigar Bakhs De
Mera Ishq, Meri Nazar Bakhs De

Meri Nao Girdaab Se Paar Kar
Ye Sabat Hai Tu Iss Ko Syyar Kar
Bata Mujh Ko Asrar-E-Marg-O-Hayat
K Teri Nigahon Mein Hai Kainat

Mere Didah-E-Tar Ki Be-Khawabiyan
Mere Dil Ki Poshida Be-Tabiyan

Mere Nala-E-Neem Shab Ka Niaz
Meri Khalwat-O-Anjuman Ka Gudaz

Umangain Meri, Arzoo’ain Meri
Umeedain Meri, Justujoo’ain Meri

Meri Fitrat Aayna-E-Rozgaar
Gazaalan-E-Afkaar Ka Marghzaar

Mera Dil, Meri Razm Gah-E-Hayat
Gamanon Ke Lashkar, Yaqeen Ka Sabaat
Yehi Kuch Hai Saqi Mataa-E-Faqeer
Issi Se Faqeeri Mein Hun Main Ameer

Mere Kafle Mein Luta De Isse
Luta De, Thikane Laga De Isse!

Damadam Rawan Hai Yam-E-Zindagi
Har Ek Shay Se Paida Ram-E-Zindagi
Garan Gharche Hai Sohbat Aab-O-Gil
Khush Ayi Isse Mehnat Aab-O-Gil

Ye Sabit Bhi Hai Aur Sayyar Bhi
Anasir Ke Phandon Se Baizar Bhi

Ye Wahdat Hai Kasrat Mein Har Dam Aseer
Magar Har Kahin Be Chugun, Benazir

Ye Alam, Ye Butkhana-E-Shas Jihaat
Issi Ne Tarasha Hai Ye Somnaat

Pasand Iss Ko Takrar Ki Khoo Nahin
K Tu Main Nahin, Aur Main Tu Nahin

Mann-O-Tu Se Hai Anjuman Afreen
Magar Ayn-E-Mehfil Mein Khalwat Nasheen

Chamak Iss Ki Bijli Mein, Tare Mein Hai
Ye Chandi Mein, Sone Mein, Paare Mein Hai
Issi Ke Bayabaan, Issi Ke Babool
Issi Ke Hain Kante, Issi Ke Hain Phool
Kahin Iss Ki Taqat Se Kohsaar Choor

Kahin Iss Ke Phande Mein Jibreel-O-Hoor
Kahin Jurrah Shaheen-E-Seemab Rang

Lahoo Se Chakoron Ke Aluda Chang

Kabutar Kahin Ashiyane Se Door
Pharakta Huwa Jaal Mein Na-Saboor

Faraib-E-Nazar Hai Sakoon-O-Sabaat
Tarapta Hai Har Zarra-E-Kainat

Theharta Nahin Karwaan-E-Wujood
Ke Har Lehza Hai Taza Shaan-E-Wujood
Samjhta Hai Tu Raaz Hai Zindagi
Faqat Zauq-E-Parwaaz Hai Zindagi
Bohat Iss Ne Dekhe Hain Past-O-Buland

Safar Iss Ko Manzil Se Barh Kar Pasand

Safar Zindagi Ke Liye Barg-O-Saaz
Safar Hai Haqiqat, Hazar Hai Majaaz

Ulajh Kar Sulajhne Mein Lazzat Isse
Tarapne Pharakne Mein Rahat Isse

Huwa Jab Isse Samna Mout Ka
Kathan Tha Bara Thaamna Mout Ka

Uter Kar Jahan-E-Makafat Mein
Rahi Zindagi Mout Ki Ghaat Mein 

Mazaq-E-Dooi Se Bani Zouj Zouj
Uthi Dast-O-Kohsaar Se Fouj Fouj

Gul Is Shakh Se Tootte Bhi Rahe
Issi Shakh Se Phootte Bhi Rahe

Samajhe Hain Nadan Issay Be-Sabaat
Ubharta Hai Mit Mit Ke Naqsh-E-Hayat

Ye Mouj-E-Nafs Kya Hai Talwar Hai
Khudi Kya Hai, Talwaar Ki Dhaar Hai

Khudi Kya Hai, Raaz-E-Daroon-E-Hayat
Khudi Kya Hai, Baidari-E-Kainat

Khudi Jalwa Badmast-O-Khilwat Pasand
Samundar Hai Ek Boond Pani Mein Band

Andhere Ujale Mein Hai Taabnaak
Mann-O-Tu Mein Paida, Mann-O-Tu Se Pak

Azal Iss Ke Peeche, Abad Samne
Na Had Iss Ke Peeche. Na Had Samne

Zamane Ke Darya Mein Behti Huwi
Sitam Iss Ki Moujon Ke Sehti Huwi

Tajasus Ki Rahain Badalti Huwi
Damadam Nigahain Badalti Huwi

Subak Iss Ke Hathon Mein Sang-E-Garan
Pahar Is Ski Zarbon Se Raig-E-Rawan
Safar Iss Ka Anjaam-O-Aghaz Hai
Yehi Iss Ki Taqweem Ka Raaz Hai
Kiran Chand Mein Hai, Sharr Sang Mein

Ye Berang Hai Doob Kar Rang Mein

Isse Wasta Kya Kam-O-Baish Se
Nashaib-O-Faraz-O-Pas-O-Paish Se

Azal Se Hai Ye Kashmakash Mein Aseer
Huwi Khaak-E-Adam Mein Soorat Pazeer

Khudi Ka Nasheman Tere Dil Mein Hai
Falak Jis Tarah Aankh Ke Til Mein Hai
Wohi Naa Hai Iss Ke Liye Arjumand
Rahe Jis Se Dunya Mein Gardan Buland

Firo Faal-E-Mehmood Se Darguzar
Khudi Ko Nigah Rakh, Ayazi Na Kar

Wohi Sajda Hai Laaeq-E-Ehtamam
Ke Ho Jis Se Har Sajda Tujh Par Haraam

Ye Alam, Ye Hangama-E-Rang-O-Soot
Ye Alam Ke Hai Zair-E-Farmaan-E-Mout

Ye Alam, Ye Butkhana-E-Chasm-O-Gosh
Jahan Zindagi Hai Faqat Khurad-O-Nosh
Khudi Ki Ye Hai Manzil-E-Awaleen
Musafir ! Ye Tera Nasheman Nahin
Teri Aag Iss Khaakdaan Se Nahin

Jahan Tujh Se Hai, Tu Jahan Se Nahin

Barhe Ja Ye Koh-E-Giran Torh Kar
Tilism-E-Zaman-O-Makan Torh Kar

Khudi Sher-E-Mola, Jahan Iss Ka Sayd
Zameen Iss Ki Sayd, Asman Is Ka Sayd

Jahan Aur Bhi Hain Abhi Be-Namood
K Khali Nahin Hai Zameer-E-Wujood
Har Ek Muntazir Teri Yalghaar Ka
Teri Shoukhi-E-Fikr-O-Kirdaar Ka
Ye Hai Maqsad-E-Gardish-E-Rozgaar

K Teri Khudi Tujh Pe Ho Ashkaar

Tu Hai Faateh-E-Alam-E-Khoob-O-Zisht
Tujhe Kya Bataon Teri Sarnawisht

Haqiqat Pe Hai Jama-E-Harf Tang
Haqiqat Hai Ayna, Guftaar Zang

Farozan Hai Sine Mein Shama-E-Nafs
Magar Taab-E-Guftaar Kehti Hai, Bas !

‘Agar Yak Sir-E-Muay Bartar Param
Farogh-E-Tajali Basozd Param’
  

Poet               : Hakim-ul-Ummat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer            : Ustad Barkat Ali
Released        : 15th August 1947 ( 1st Day Transmision )
Re-Sing         : Ustad Mashooq Ali
Re-Sing         : Ishrat Jehan
Released        : Sept 1965 ( During War )
Coupletes      : Yeh Mauj-e-Nafas kia hai Talwar hai
Re-Sing         : Junoon Group
Released        : 2000
Coupletes      : Zamanay ke Andaz Badle Gaye

Radio Pakistan Lahore

No comments: