Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, November 8, 2012

Tulu-e-Islam-Ghulami Mai Na Kaam Ati Hain Shamsheeren-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics )

Ghulami mai Na Kaam Ati hain Shamsheeren Na Tadbeeren
Jo ho Zauq-e-Yaqee'n Paida to Kat Jati hain Zanjeeren
Koi Andaza Kar sakta hai Us ke Zor-e-Baazu ka
Nigah-e-Mard-e-Momin se Badal Jaati hain Taqdeeren
Wilayat, Padshahi, Ilm-e-Ashiya ki Jahangiri
Yeh Sab Kia hain? Faqat Ik Nukta-e-Imaa'n ki Tafseeren
Baraheemi(A.S) Nazar Paida Magar Mushkil Se Hoti Hai
Hawis Chup Chup Ke Seenon Mein Bana Leti Hai Tasweeren

Tameez-e-Banda-o-Aaqa Fasad-e-Admiyat Hai
Hazar Ae Cheerah Dastaa'n!Sakht Hain Fitrat Ki Taaziren

Haqiqat Aik Hai Har Shay Ki, Khaki Ho Ke Noori Ho
Lahoo Khursheed Ka Tapake Agar Zarre Ka Dil Cheeren
Yaqeen Mohkam, Amal Peham, Mohabbat Faateh-e-Alam
Jahad-e-Zindagani Main Hain Ye Mardon Ki Shamsheeren
Cha Bayad Mard Ra Tabaa-e-Bulanday, Mashrab-e-Naabay
Dil-e-Garmee, Nigah-e-Pak Beenay, Jaan-e-Betabay

Poet              : Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer           : Mehnaz
Released       : 1988
Pakistan Television Karachi Center.

No comments: