Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, November 8, 2012

Zamana-Jo Tha Nahi Hai-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics )

Jo Tha Nahin Hai, Jo Hai Na Ho Ga, Yahi Hai Ek Harf-e-Mehrmana
Qareeb Tar Hai Namood Jis Ki Usi Ka Mushtaq Hai Zamana
Meri Soorahi Se Qatra Qatra Naye Hawadis Tapak Rahe Hain
Main Apni Tasbeeh-e-Roz-o-Shab Ka Shumar Karta Hon Dana Dana
Har Aik Se Ashna Hun, Lekin Juda Juda Rasme-o-Rah Meri
Kisi Ka Raakib, Kisi Ka Markab, Kisi Ko  Ibrat Ka Taziyana
Na Tha Agar Tu Shareek-e-Mehfil, Qasoor Mera Hai Ya Ke Tera
Mera Tareeka Nahin Ke Rakh Loon Kisi Ki Khatar Mai’ay Shabana
Mere Kham-o-Paich Ko Najoomi Ki Ankh Pehchanti Nahin Hai
Hadaf Se Baigana Teer Uss Ka, Nazar Nahin Jis Ki Arfana
Shafaq Nahin Maghrabi Ufaq Par, Ye Jooye Khoon Hai, Ye Jooye Khoon Hai!
Tulu-e-Farda Ka Muntazir Reh Ke Dosh-o-Amroz Hai Fasana
Woh Fikar-e-Ghustakh Ji Ne Uryaan Kiya Hai Fitrat Ki Taqaton Ko
Usi Ki Betab Bijliyon Se Khatr Mein Hai Us Ka Ashiyana
Hawaen Un Ki, Fazaen Un Ki, Sumundar Un Ke, Jahaz Un Ke
Girah Bhanwar Ki Khule To Kyunkar, Bhanwar Hai Taqeer Ka Bahana
Jahan-e-Nau Ho Raha Hai Paida, Woh Alam-e-Peer Mar Raha Hai
Jise Farangi Muqamiron Ne Bana Diya Hai Qimar Khana
Hawa Hai Go Tund-o-Taiz Lekin Charagh Apna Jala Raha Hai
Woh Mard-e-Darvesh Jis Ko Haq Ne Diye Hain Andaz-e-Khusarwana

Poet             : Hakim-ul-Ummat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer          : Gulbahar Bano
Radio Pakistan.
Re-Sing       : Fida Hussain
Released     : 1984
Pakistan Television Karachi Center.

No comments: