Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Sunday, October 16, 2011

Lahoo jo Sarhad pe Beh Chuka hai ( Lyrics & Download )


Lahoo jo Sarhad pe Beh chuka hai
Lahoo jo Sarhad pe Beh raha hai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................
Yeh Khoon Sarmaya-e-Watan
Isi mai Shamil Rukh-e-Chaman hai
Yeh Khoon har Maa ke dil ki Dharkan
Yeh Khoon har Baap ka badan hai
Yeh Khoon hai Behno ke Sar ki Chadar
Yeh Khoon bhai ka baank pan hai
Yeh Khoon Dulhan ka Aab-e-Rangee'n 
Yeh Khoon Bachhon ka Bholpan hai
Yeh khoon Dehqan ka paseena
Yeh Khoon har Khet ki phaban hai
Yeh Khoon Sarmaya-e-Watan hai
Yeh Khoon Sarmaya-e-Watan hai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................
Yahi Alam hai Nishan-e-Haider
Isi mai Raaz-e-Shikast-e-Khybar
Isi mai Khoon-e-Hussain Shaamil
Yahi tha Tariq pe saya gustar
Yahi Alum hai Hamara wirsa 
Yahi Alum hai Hamara Rehbar
Yahi Alum hai Minaar-e-Mabad
Yahi Alum hai Hamara Mimbar
Isi mai Zarb-e-Kaleem shamil
Isi mai Noor-e-Khuda Munawwar
Yahi Alum hai Nishan-e-Haidar
Yahi Alum hai Nishan-e-Haider
Watan ke Baidaar Soormaaon 
Uthaao Apna Alum Uthao
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................
Hum is Lahoo ka Alum bana len
Sinan-o-Saif-o-Qalam bana len
Watan ko deke Maqam-e-Ka'aba
Isi ko Ahraam hum bana len
Yeh Khaak mathay pe mal ke niklain
Isay Nishan-e-Hasham bana len
Hum is Lahoo ka Alum bana len
Hum is Lahoo ka Alum bana len
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................
Jahan pe kar dain yeh Ashkara
Hamain Ghulami naheen Gawara
Koi idhar bhool kar na aye 
Yeh Des hai hum ko jaa'n se pyara
Jo Hum pe Yalghar kar karne aye
Aa na paye ga woh dubaara
Hisaar Khench dain gi yeh Chatanain
Barhay ga Ravi ka tez dhara
Woh aag barsay gi Aasma'n se
Jahan mai dozakh ka ho nazaara
Har aik Lalkar Soor hogi
Dhamaka hoga har aik nara
Woh Ran paray ga Woh Jang hogi
Ke Bhaagnay ka na ho yaara
Watan ke Baidaar Soormaon
Uthao Apna Alum Uthao
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Hum is Lahoo ka Khiraaj len gai
Khiraaj lain ge...........................

Singer      : Habib Wali Muhammad
Poet        : Himayat Ali Shaair
Released : 14th Sept 1965
Radio Pakistan Lahore

1 comment:

Anonymous said...

Great! JazakAllah Khair for this site where you have made this classic national treasure available.

Tariq
Dallas, TX