Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Monday, March 25, 2013

Watan Ki Sarzameen Ko Rashk-e-Aasman Banaayen ge ( Watan Ka Naghma-Lyrics )

Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Hum Har Tarah Waqar-o-Azmat-e-Watan Barhaayen ge

Buland Parcham-e-Watan Karen ge Hum Buland Tar
Kare gi Naz Khak-e-Pak Apne Ittehad par
Hamesha Aik ho ke Hum Watan ke Get Gaayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Jiyen ge Azm-e-Nau liye Buland Hoslon se Hum
Diye khuloos-e-Pyar ke Jalaayen ge Qadam Qadam
Wafa ki Roshni se Hum Watan ko Jagmagayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Misaal-e-Mehar hoga Zarra Zarra Arz-e-Pak ka
Nazar Nazar Barhay ga Aur Rutba Arz-e-Pak ka
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Hum Har Tarah Waqar-o-Azmat-e-Watan Barhaayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge
Watan ki Sarzamee'n ko Rashk-e-Aasma'n Banayen ge

Singer           : Tarannum Naz Laila
Poet             : Qateel Shifayee
Music           : ?
Radio Pakistan Karachi.

No comments: