Khitta-e-Lahore tere jaan nisaron ko salam
shehriyon ko Ghaziyon ko Shahsawaron ko salam
khitta-e-Lahore tere Jaan nisaron ko salam
Khitta-e-Lahore kia rutba hai teri khaak ka
tu hai Stalin Grad is sar zameen-e-Pak ka
Arz-e-Shalamar Ravi ke kinaron ko salam
Khitta-e-Lahore tere jaan nisaron ko salam
Aik hi jhatkay mai dushman ki kalayee mor di
Tu ne dushman ki kamar zarb-e-giraan se tor di
Aye Shaheedon ke chaman teri baharon ko salam
Khitta-e-Lahore tere jaan nisaron ko salam
Rahmaten zinda dilaan-e-khitta-e-Lahore pr
Chaar janib goonjta hai nara-e-Fath-o-zafar
Apne yaaron ko daueen apne pyaron ko salam
Khitta-e-Lahore tere jaan nisaron ko salam
Zor-e-Bazu pr tere ahl-e-watan ko aitemad
Zinda-o-painda-o-tabinda-o-rakhshinda bad
shan-e-fath-e-kamrani ke nazaaron ko salam
Khitta-e-Lahore tere jaan nisaron ko salam
shehriyon ko Ghaziyon ko Shahsawaron ko salam
khitta-e-Lahore tere Jaan nisaron ko salam
Singer : Mehdi Hassan & Chorus
Poet : Raees Amrohawi
Compose : Natthu Khan
Release : 8th Sept 1965
Radio Pakistan Karachi
Khitta-e-Lahore Tere Jan Nisaron ko Salam by Mehdi Hassan-Tribute to Lahore 1965 War-MP3 Free Download-Click Here
No comments:
Post a Comment