Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Friday, September 23, 2011

Watan ko Hum Azeem se Azeem tar banaain gai,

Watan ko Hum Azeem se Azeem tar banain gai
Hum apne Mulk ka Waqar Roz-o-Shab barhaain gai
Watan ko hum Azeem se Azeem tar banain gai
         Rachi hai har nigah mai Basi hai har khayal mai
         Imroz ki hai roshni Sitara-o-Hilal mai
         Usi ke noor se har ik chiragh hum jalain gai
Watan ko Hum Azeem se Azeem tar banain gai
Hum apne Mulk ka Waqar Roz-o-Shab barhaain gai
Watan ko hum Azeem se Azeem tar banain gai
        Muhabaton ki rah mai bus Ittehad chahye
        Hazar mushkilen sahi bus Aitemad chahye
        Hamaray Zarb-e- Azm se pahar toot jaain gai
Watan ko Hum Azeem se Azeem tar banain gai
Hum apne Mulk ka Waqar Roz-o-Shab barhaain gai
Watan ko hum Azeem se Azeem tar banain gai
       Mah-o-Najoom ki safain qareeb hon gi aik din
       Khalaaon ki bulandiyan naseeb hon gi aik din
Hamaray rastay mai bhi Sitaray jag magaain gai
Watan ko Hum Azeem se Azeem tar banain gai
Hum apne Mulk ka Waqar Roz-o-Shab barhaain gai
Watan ko hum Azeem se Azeem tar banain gai


Singer         :   Ghulam Abbas & Chorus
Poet            :    Sehba Akhter
Music          :    Saleem Gilani
Released     : 1974
Radio Pakistan Lahore

5 comments:

Anonymous said...

Sir, i need this song in Mp3. Plz... if u have then upload on youtube or on daily motion.

Anonymous said...

sir i need this song on mp3. plz upload on you tube or daily motion.

Anonymous said...

Its like that the lyrics say humari zarb e azm se pahar toot jayen gay.

Unknown said...

Great renowned poet Sehba Akhtar wrote this national song and many more please give writer due credit.

Anonymous said...

Plz audio bhi upload krain