Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Saturday, October 8, 2011

Arz-e-Pak ki Hawai Fauj ke Uqaab ( PAF Song Lyrics & Download )

Hum Arz-e-Pak ki Hawai Fauj ke 
Uqaab hain .....................Uqaab hain
Yaqeen be Misal hain 
Wafa mai La Jawab hain
Hum Arz-e-Pak ki Hawai Fauj ke 
Uqaab hain .....................Uqaab hain
Hum Apne Aasman par 
Muhabatton ki Kehkashan
Hamaray Shahparon ke Saye hain Hamare Aashiyan
Hum Apne Shehar Shehar mai 
Wafa ki Lehar Lehar mai
Misal Naghma-e-Azaa'n
Sada-e-Shola Taab hain
Hum Arz-e-Pak ki Hawai Fauj ke 
Uqaab hain .....................Uqaab hain
Garaj Garaj ke Jhoomna 
Ajal ke Gird Ghoomna
Hamara Farz Dushmanon ke Lashkaron pe Tootna
Adu se Jang Jang mai,
Lahoo ki Har Tarang mai
Karakti Jese Bijliyan
Hum Aag hain Azaab hain
 Hum Arz-e-Pak ki Hawai Fauj ke 
Uqaab hain .....................Uqaab hain
Watan Hamari zindagi
Watan Hamari Aabroo
Watan naheen to Kuch nahi
Na dusht-o-dar na Khaak-o-Khu
Kaheen yeh Sar Na hon gai Kham 
Har ik Shaheed ki Qasam
Hum Apne har Shaheed ke 
Kafan ki Aab-o-Taab hain
Hum Arz-e-Pak ki Hawai Fauj ke 
Uqaab hain .....................Uqaab hain

Hum Arz-e-Pak ki Hawai Fauj ke Uqaab hain by Muhammad Ali Shyhaki-MP3 Free Download-Click Here 

Singer      : Muhammad Ali Shyhaki & chorus
Poet        : Sehba Akhtar
Music      : Nisar Bazmi
Release   : Sept 1993
ISPR Pakistan Air Force

5 comments:

Muhammad Zakir said...

bhai khak o khun ya kakh o ku?

Absar Ahmed said...

خاک و خو ، خاک و خون الگ ہے اگر آپ تھوڑا شعری ذوق یا شعور رکھتے تو آبرو کا قافیہ ہی دیکھ لیتے تو آپ کو اندازہ ہوجاتا ، خیر آپ نے پوچھا تو بتادیا ، خاک در خو ۔ خاک و خو ، خاک مع خو یہ سب الفاظ اپنے لاحقوں کے ساتھ پڑھیں ہوں گے

Anonymous said...

خاک و خو ہے ناکہ خاک و خون

Unknown said...

I am really happy to see this amazing song from ispr today on PAF chanel , with little edited video including J10.

It was old but well love this song and truly reflecting our... Armed forces emotions.
Bravo..

Unknown said...

The Great Great and the Greatest Powerful Masculine male voice of Muhammad Ali Shyhaki Sir.Pakistan Zindabad Muhammad Ali Shyhaki Zindabad