Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, October 6, 2011

Pakistan mai rehnay walo!

Pakistan mai rehne walo! kia tum ne yeh socha hai
Pakistan aur Tumhara aapas mai kia rishta hai
Jism ho tum aur Pakistan tumhari rooh ka hissa hai
Rooh nahi to jism sarasar mitti ka ik todaa hai
Lakhon janain de kar hum ne Pakistan banaya hai
Abhi bhi dil ke zakham haray hain Khoon abhi tak rasta hai
Aaj jo tum khushhaal hue ho arzaani hai daulat ki
jo kuch bhi hai paas tumharay Pakistan ka sadqah hai
Pakistan mai reh kr tum ne ilm ki daulat payee hai
Aaj usi taleem se tum ne jo chaha woh paya hai
Tum pr bhi ab laazim hai tum Pakistan ki nazr karo
Paas tumharay ilm-o-hunar ka jitna bhi sarmaya hai
Pakistan ne har maidan mai tum ko sarfaraz kia
Tum ne to barbaad kia hai kia tum ko andaza hai
Pakistan se pehle to tum haari aur ghulam hi thay
Ab yeh hukumat aur azaadi PPakistan ka tuhfa hai
Pakistan pe fakhar karo aur Pakistan ke kaam aao
Mehar ne dekho farz tumhara tum ko yaad dilaya hai
Pakistan mai rehne walo! kia tum ne yeh socha hai
Pakistan aur Tumhara aapas mai kia rishta hai




Lyrics: Mehar Widaani

No comments: