Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Saturday, October 22, 2011

Pakistani Baray Larayya jin ki Sahi na Jaai Maar

Pakistani Baray Larayya jin ki sahi na jaai Maar
Pakistani Baray Larayya jin ki sahi na jaai Maar
Baray Siyanay baray hi chokus un ki Faujain hain Hushyaar
Dekhat dekhat kayee Thikaanay Maar Maar kar diye bekaar
Pathankot Halwara Marain Jam nagar kar diyo masmaar
Bharat ki kia baat karat ho Bhayya................................
Bhaarat ki kia baat karat ho we chahain le lain sansaar
Pakistani Baray Larayya jin ki sahi na jaai Maar
Taak taak gin gin ke marain win ka nishana chkat naa
Saray uran khatola tumray samajh kabootar maar giray
Srinagar Jammu tak bejain Ambala Ludhyana dhaay
Aeso na ho zid hi zid mai apna des bhi ho chinwaye
Pakistani Baray Larayya jin ki sahi na jaai Maar
Fauj Hawai Pakistani jis ke jawan jiyalay hain
Apne dhokay mai mat rahiyyo Afsar un ke niralay hain
Saro jag janat hai win kojag dile ujyalay hain
Maar maar ke dher laga dain aise kas bal walay hain
Pakistani Baray Larayya jin ki sahi na jaai Maar
Aray Pak Bahria dekhi tum ne kese chup ho bolo nay
Tumri Dharti pe dekhain to Shahar Dwarka teo dhay
Tum ne un se chair nikali Tumra baira Gharaq kar aye
Aray doobat doobat ik dusray ke beech Samundur kehto jaai
Pakistani Baray Larayya jin ki sahi na jaai Maar
Jo bhi baat kahi thi mai ne tum ne na suni Maharaj
Tumri to bus wohi masal hai Andher nagri chopat raaj
Hukum tumharo Sena ke le jese hue koorh mai khaaj
Saanchi baat to akiye bhaiyya kal na suni to sun lo aaj
Pakistani Baray Larayya jin ki sahi na jaai Maar
Pakistani Baray Larayya jin ki sahi na jaai Maar
Ho Pakistani.....................Baray Larayya ho


Singer                    : Nihal Abdullah
Poet                       : Nafees Faridi
Released               : 20 Sept 1965
Radio Pakistan Karachi

No comments: