Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Tuesday, January 17, 2012

Aaj Bhi Manzilon Par Lagi Hai Nazar ( Lyrics )

Aaj bhi Manzilon pe Lagi hai Nazar
Dil mai Rakhtay hain Zauq-e-Safar Aaj bhi
Dil Shikasta na Samjhay Zamana hamain
Apni Himmat hai Seena Sapar Aaj bhi
Aaj bhi Manzilon par Lagi hai Nazar
Aaj bhi............................................................
Laakh Dushwar Zeest ke Marhalay
Kab Rukay hain Tamannaon ke Qaflay
Kal bhi Roshan thay Seenon mai jo Walwalay
Dain ge Manzil ki Hum ko Khabar Aaj bhi
Aaj bhi Manzilon par Lagi hai Nazar
Aaj bhi.............................................................
Naqsh-e-Paa Hum ne Choray hain Sehraaon mai
Kion Rukain phir Kisi Pair ki Chhaaon mai
Baireyaan Gham ki Daal dain jo Paaon mai
Kaat dalain gai Hum woh Shajar Aaj bhi
Aaj bhi Manzilon par Lagi hai Nazar
Aaj bhi..............................................................
Roshni se Munawwar tha Saraa Jahaa'n
Kal bhi Aisa hi Dekha Tha Hum ne Samaa'n
Dasht-o-Kohsaar mai Ghaziyon ki Azaa'n
De Rahi hain Payam-e-Sahar Aaj bhi
Aaj bhi Manzilon par Lagi hai Nazar
Dil mai Rakhtay hain Zauq-e-Safar Aaj bhi

Dil Shikasta na Samjhay Zamana hamain
Apni Himmat hai Seena Sapar Aaj bhi
Aaj bhi Manzilon par Lagi hai Nazar
Aaj bhi............................................................


Singer                  : Pervaiz Mehdi
Released              : 1971 ( After War )
Radio Pakistan Karachi



No comments: