Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Friday, January 13, 2012

Hum Amn Pasondon ko Nahi Jang Gawara ( Lyrics )


Hum Amn Pasandon ko Na thi Jang Gawara
Ab Than hi gyee hai to Saho Waar Hamara
To Saho Waar Hamara
Be Wajah Chamakti Rahi Talwaar Tumhari
Uthay gi bataon kahan tak Lalkaar Tumhari
Tum ne hi to Sheron ke Ghazab ko hai Pukara
Ab Thhan hi gyee hai to Saho Waar Hamara
To Saho Waar Hamara
Kafir ke liye Khud Ajal Ijad hai Momin
Razm-e-Haq-o-Baatil ho to Faulad hai Momin
Iqbal ki Awaz ka Samjhay na Ishara
Ab Thhan hi Gyee hai to Saho Waar Hamara
To Saho Waar Hamara
Hum Tum ko Jala Dalain ge Khashaak ki Surat
Mitti mai Mila Dain Tumhain Khaak ki Surat
Hum Shola Figan Barq-e-Ajal ka Hain Sharara
Ab Thhan hi gyee hai to Saho Waar Hamara
To Saho Waar Hamara
Allah ke Sheron ko Kaheen Tok ke Dekho
Himmat hai to ab Aao hamain Rok ke Dekho
Hum Khoon ka Tufaan hain Hum Aag ka Dhaara
Ab Thhan hi gyee hai to Saho Waar Hamara
To Saho Waar Hamara
Hum Amn Pasandon ko Na thi Jang Gawara
Ab Than hi gyee hai to Saho Waar Hamara
To Saho Waar Hamara

Singer         : Mehdi Hassan & Chorus
Poet           : Raees Amrohawi
Released    : Sept.1965 ( During War )

No comments: