Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Wednesday, January 11, 2012

Yeh Faisla hai Watan ko saja ke Dam len gai ( Lyrics )

Yeh Faisla hai Watan ko Saja ke Dam len gai
Nai Diye Nayee Shamain jala ke Dam len gai
Yeh Faisla hai..............................................
Jahan-e-Taaza ka Suraj Charha to Raah Mili
Mili hai Raah to Manzil pe Jakay Dam len gai
Yeh Faisla hai Watan ko Saja ke Dam len gai
Yeh Faisla hai...............................................
Nayee Sahar ka Naya Aftab hain Hum log
Amal ka Daur hai Mehnat ka Baab hai Hum log
Yeh Inqalaab hai aur Inqalaab hain Hum log
Jo aye raah mai Deewar dhaa ke Dum len gai
Yeh Faisla hai Watan ko Saja ke Dam len gai
Yeh Faisla hai...............................................
Yeh Faisla hai ke Ujray huwe baseron ko
Hazzar saal se Chhaay huwe Andheron ko
Jo dagh dagh thay Sadyon se un saweron ko
Har aik Naqsh-e-Gham ko Mita ke Dam len gai
Yeh Faisla hai Watan ko Saja ke Dam len gai
Yeh Faisla hai...............................................
Qadam uthay hain to Agay hi barhtay jaain gai
Yeh Reg zaar naye Aab-o-Rang paain gai
Jo ab ke ayen hain Badal baras ke jaain gai
Nayee bahar ka Muxda suna ke Dam len gai
Yeh Faisla hai Watan ko Saja ke Dam len gai
Yeh Faisla hai...............................................


Singer                  : Mehdi Hassan
Poet                     : Saleem Gilani
Released              : 1972
Radio Pakistan Karachi.
Available             : Roshni ke Geet ( LP by EMI )


No comments: