Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Tuesday, May 8, 2012

Chaadar Hai Maa'n Ki Arz-e-Watan Yeh Na Bhoolna ( Milli Naghma-Lyrics & Download )

Chaadar hai Maa'n ki Arz-e-Watan 
Yeh Na Bhoolna
Aye Taza Waridaan-e-Chaman
Yeh Na Bhoolna
Kitni Crore Ankhon ne Dekha tha is ka Khwaab
Kitne Lahoo ki Aag se Likha gaya Yeh Baab
Kitne Pahar Kaatay to Nikli Yeh Mauj-e-Aab
Kia Kia Kiye thay Hum ne jatan 
Yeh Na Bhoolna
Chaadar hai Maa ki Arz-e-Watan
Yeh Na Bhoolna
Ik Falsafi(Ra) ki Fikr aur Shaair ka Walawalay
Qauid(Ra) ki Be Misaal Farasat se Jab Milay
Manzil thi Aik Sab Shaheedon ke Saamnay
Kesa tha Josh kesi Lagan
Yeh Na Bhoolna
Chaadar hai Maa'n ki Arz-e-Watan
Yeh na Bhoolna
Rangee'n Haamray Khoon se Yeh Dastaa'n hui
Millat Hamari Bheer se Ik Karwaa'n hui
Juraát ka Naqsh aur Azm,Amalka Nishaa'n hui
Chaaron Taraf thi Kesi Ghutan
Yeh Na Bhoolna
Chaadar hai Maa'n ki Arz-e-Watan
Yeh Na Bhoolna
Aye Taza Waridaan-e-Chaman
Yeh Na Bhoolna
Chaadar hai Maa'n ki Arz-e-Watan 
Yeh Na Bhoolna


Chaadar hai Maa'n ki Arz-e-Watan Yeh Na Bhoolna by Najam Sheraz- ISPR Pak Army Song - MP3 Free Download - Click Here

Singer           : Najam Shiraz
Poet             : Wasi Shah
Released      : 30th April 2012 ( Yaum-e-Shuhada )
ISPR Pak Army

Chaadar hai maa ki Arz-e-Watan by Najam Shiraz-MP3 Free Download=Click Here 

3 comments:

Zane said...

Nice beautiful

Unknown said...

THERE IS NO POWER ON EARTH 🌍 THAT CAN UNDO PAKISTAN , PAKISTAN ZINDABAAD, AFFAAJ E PAKISTAN ZINDABAD

Unknown said...

MashAllah very beautiful song. Long live Pakistan and long live Pakistan Armed Forces.