Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Sunday, September 30, 2012

Uraan by Jal the Band ( Patriotic & Motivational Song-Lyrics & Downlad )

Lagan Aur Himmat Se Badlay Jahan
Zameen Per Utar Aaye Khud Aasman
Milenge Nayi Manziloun Ke Nishaan
Hamara Junoon Hai Hamari Uraan
Naya Hosla Hai Naya Apna Josh
Lahu Garm Hai Ishq Hai Sarfarosh
Rahenge Yunhi Apne Jazbay Jawan
Badal denge Kismet Lara Denge Jaan

Jo Aagay Barhenge Mile Gi Khushi
Nayi Zindagi Ki Nayi Roshni
Yakeen Main Badal Jayega Har Gumaan
Karenge Rakam Hum Nayi Daastaan

Ab Apni Dunya Ko Kyun Na Hum Jee Lein
Aur Jo Mann Main Hain Spane Kyun Na Unhe Jee Lein

Lagan Aur Himmat Se Badlay Jahan
Zameen Pe Utar Aaye Khud Aasman
Milenge Nayi Manziloun Ke Nishaan
Hamara Junoon Hai Hamari Uraan
Junoon Haii .. Uraan
Singer    : Jal the Band
Released  : 2011           

Tribute to Pakistani Cricket Team ( Patriotic Songs-Audio MP3Free Download )

Pak Patriotic Library Presents- Collection of Patriotic & Motivational Songs for Our Pakistani Cricket Team


Good Luck Pakistan for World Cup 2015
Now Easy Download with Our New Server
  عالمی کپ 2015ء کےنئے قومی نغمات کے ساتھ اب باآسانی ڈاؤن لوڈ کریں



New & Latest Patriotic Songs Tribute to Pakistani Cricket Team - ICC World Cup 2015















ہم کامیاب ہوں گے انشاء اللہ






Right Click & Save Link or Target as

The World is Coming Down                  
The flags are Up
Who Gonna Be Number One
Who's gonna take up the Cup
Who will it be
Who will be king
It's Once in a lifetime chance
Who'll rule the World
Gotta see Who Rule the World
Pakistan will rule World
InshaAllah Once again
We will rule the world


Aa Gaya hai Cricket World Cup by Faakhir Mehmood ( Latest )

Aye Pakistani Tu Khul ke Khel by Team Alpha ( Latest )

You My Nation Champions by Tariq & Timmy- ( Latest )

Josh Jaga De Saari Duniya ko Dikha De by Express ( Latest )

Phir se Game Utha De by Atif Aslam & Others ( Latest )

Cricket ki Duniya mai Sab se Agay hai Javed Miandad by Saleem Javed (Exclusive)









Lyrics 












 

  




پاک پیٹریاٹک لائبریری کے معززصارفین کو گذششتہ کئی ماہ سے ڈاؤن لوڈنگ میں پریشانی پیش آرہی تھی، جس کی وجہ ہمارے فور شیئرڈ سرور میں مذکورہ ویب سائٹ ہی کی جانب سے مسائل درپیش تھے،اس لیے اب ہم اپنے تمام نغمات ان ڈیٹا سیونگ ویب سائٹ پر اپ لوڈ کررہے ہیں جہاں اشتہارات یا دیگر مسائل نہ ہوں تاکہ ہمارے معزز صارفین باآسانی اپنے پسندیدہ قومی نغمات ڈاؤن لوڈ کرسکیں،ورلڈکپ 2015ء کے موقع پر سب سے پہلے پاکستانی ٹیم کو خراجِ تحسین پیش کرنے کے لیے کرکٹ پر بنائے گئے قومی نغمات ہی کو اپ ڈیٹ کیا گیا ہے،انشاء اللہ جلد پوری ویب سائٹ بھی اپ ڈیٹ کردی جائے گی، 



PEPSI World Cup Album 1999-Click Here       
              
Huge Collection of Pakistani Patriotic Songs-MP3 Free Download ( Click Here )

Saturday, September 29, 2012

Watan Kahani ( Lyrics & Download )

Logo! suno kahani
Haan meri zubani
Kabhi nahi kabhi nahi
Hogi jo purani
Sab duniya hai aani jani
Sada suhani watan kahani
Bana hi nahi tha jab Pakistan
Kisi ko nahi thi kisi ki bhi pehchan
Koi tha kahin pe khara koi tha kahin
Na tha apna watan apni zameen kuch bhi nahi
Bana to Watan Pehchan bana
Tareekh me ek Unwaan bana
Teri shaan bana
Meri shaan bana
Hum sab ka Pakistan bana
Logo suno Meri Sada
Aage Barho dat k zara
Watan chaman banjaye ga
Milkar rahain jo Hum yahaan
Bana hai to ab araam na kar
Dil ko dukhane wale kam na na  kar
Tujhe mili hai Charagh to Manzil bhi bana
Mahsoos jo kare wo Dil bhi bana
Apna to Dhang hi nahi hai koi
Kisi k bhi Sang hi nahi hai koi
Hai tera mera mera tera sab ka Watan
Hum tum Phool yeh sab ka chaman
Hame khilna hai Murjhana hai
Yeh chaman yaheen reh jaana hai
Logo suno meri sada
Aage barho dat k zara
Watan chaman ban jayega
Mil kar rahen jo hum yahaan
Hum ne banaya hai to sawarengay bhi hum
Apnay watan ko Nikharaingay bhi hum
Kabhi bhi irada,karen jo hum
Milkar waada,karen jo hum
Mushkil koi bhi na rahe mushkil
Haan jahan chahe wahan mile hame Manzil
Haan tera haan tera naam bane
Haan mera haan mera naam bane
Hame to hi sab ko yeh samjhana hai
Hame kaam Watan k aana hai
Logo sono meri sada
Aage barho dat k zara
Watan chaman ban jayega
Milkar rahain jo hum yahan X4

Singer      : Awaz Group
Poet         : Sabir Zafar
Released  : Aug.1992
Album      : Jadoo ka Chiragh


Watan Kahani by Awaz Group-MP3 Free Download-Click Here

Salam Pakistan-Saleem Javed ( Lyrics & Downlaod )

Lets Go
thats right
P-Town...
Yeh Dil tou Kya hai Jaan Mai nay Kardi Tere Naam
Yeh Dil tou Kya hai Jaan Mai nay Kardi Tere Naam
Bus hai yehi arman Jeevay Sonra Pakistan
Salam Salam Salam Pakistan
Salam Salam Salam Pakistan
Salam Salam Salam Pakistan
Salam Salam Salam Pakistan
Wohooooooooooo
Thats right
Salam Pakistan (Thats the greeting) Salam Pakistan

Yeaaa Thats the greeting we're Repeating
Salam Pakistan can you feel it
Strong Nation with a new generation
Wiping all the bads adding goods on the stack

Qurbanian de kay humai mila ik haseen yeh jahan
Qauid ki woh parchayaan le kay chala naujawan
Dekha dunya nay yeh ai qaim tera naam
Bus yeh arman jeevay sonra Pakistan

P-Town on the move bring it back yeahh

Salam Salam Salam Pakistan (Im proud of pakistan)
Salam Salam Salam Pakistan (my life for pakistan life for pakistan)
Salam Salam Salam Pakistan (my peace my day my night)
Salam Salam Salam Pakistan

Hold on to the flag don't you go zig zag
the founder gave ya message for the problems get strapped
in the world one nation people with big heart
got the youth on the guard with a mess to discard

there ain't no seperation we're like one unit
when we're outta harmony we just gotta tune it
I'm telling all ya folks we're in the move in the flow
Time to get up Shine on lets go

Uthay jo Haath sub aik sath, mangi dua woh rub say
Dekay humai yeh Pak Zameen Parcham Diya woh tubsay
Dekha Dunya nay hai Qaim tera naam
Bus yeh Arman jeevay Sonra Pakistan

P-Town on the move bring it back yeahh

Salam Salam Salam Pakistan
Salam Salam Salam Pakistan

yeh dil tou kya hai jaan mai nay kardi tere naam
yeh dil tou kya hai jaan mai nay kardi tere naam
Bus hai yehi arman jeevay sonra pakistan

Salam Salam Salam Pakistan
Salam Salam Salam Pakistan

Singer        : Saleem Javed & Jo-G
Released    : 2008

Friday, September 28, 2012

World Champion Hain Hum ( Motivational Song-Lyrics )

World Champion hain Hum
World Champion
World Champion hain Hum
World Champion
Hai Buland Hosla
Jeetain Har Muqablaah
Dil mai hai Lagan
World Champion hain Hum
World Champion
Is Watan ke Naam se Hamara Naam hai
Har Nazar mai Pyar hai Ehtiram hai
Kheltay hain Hum Watan ki Shaan ke liye
Har Qadam Hum Barhaayen Jeet ke Liye
Dil mai Lagan................
World Champion hain Hum
World Champion
Sath Apne Qaum ki bhi Duaeen hain
Har Taraf Jeet ki bhi Sadaaen hain
Apne Baazuwon ka Zor Aazmayen ge
Phir Waqar Is Watan ka Hum Barhaayen ge
Dil mai hai Lagan.................
World Champion hain Hum
World Champion
World Champion hain Hum
World Champion
Hai Buland Hosla
Jeetain Har Muqablaah
Dil mai hai Lagan
World Champion hain Hum
World Champion

Singer          : Naeem-ul-Hassan
Released      : Feb 1996 ( During World Cup 1996 )
Pakistan Television Karachi Center.

Naam Hai Is Ka Pakistan ( Milli Naghma-Lyrics )

Yeh Sarzamee'n Phoolon ki 
Yeh Sarzamee'n Baharon ki
Is Sarzamee'n ki Yahi Pehchan
Naam hai Is ka Pakistan
Naam hai Is ka Pakistan
Naam hai Is ka Pakistan
Is ka Dil hai Quaid(Ra) ka
Is ki Rooh Iqbal(Ra) ki
Is ka Dil Quaid(Ra) ka
Is ki Rooh Iqbal(Ra) ki
Islam hai Is ki Pehchaan
Naam hai Is ka Pakistan
Naam hai Is ka Pakistan
Naam hai Is ka Pakistan
Apne Hath Mila ke Sada
Karen Sarzamee'n ki Hifazat Sada
Anay Na Den Koi Aafat
De Den Hum Apni Yeh Jaa'n
Yeh Hamari hai Pehchaa'n
Is ki Barhaayen ge Hum Shaan
Naam hai Is ka Pakistan
Naam hai Is ka Pakistan
Naam hai Is ka Pakistan
Yeh Sarzamee'n Phoolon ki 
Yeh Sarzamee'n Baharon ki
Is Sarzamee'n ki Yahi Pehchan
Naam hai Is ka Pakistan
Naam hai Is ka Pakistan
Naam hai Is ka Pakistan

Singer           : Salman Usmani
Poet              : Salman Usmani
Released      : August 1993
Shalimar Television Network ( NTM/STN )

Wednesday, September 26, 2012

Aao Dilon Mai Phir Se ( National Song by Live Wires

Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar..................Jaga ke Dekhen
Bikhri...............In Raahon mai
Paas.................Aa ke Dekhen
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar.................Jaga ke Dekhen
Naye Hum Safar Naye Karavan
Inhen Sath Le ke Chalna hai
Inhi Raaston se Barhna hai
Aagay....................Aagay
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar..................Jaga ke Dekhen
Bikhri...............In Raahon mai
Paas.................Aa ke Dekhen
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar.................Jaga ke Dekhen
Inhi Geeton mai youn hi Dhal Jaayen
Yeh Subhen.........Yeh Shaamen
Inhi geeton mai hamen Mil Jaayen
Jinhen Bhoolay thay yeh Zamanay
Yeh Zamana Kehta hai
Inhe Sath le ke Chalna hai
Inhi Raaston mai Barhna hai
Aagay....................Aagay
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar..................Jaga ke Dekhen
Bikhri...............In Raahon mai
Paas.................Aa ke Dekhen
Jo Khye thay Inhi Raahon mai
Unhen Paana hai Unhen Kehna hai
Haathon mai le ke Haath
Ab Aagay hi Barhna hai
Youn hi Barhna hai
Naye Hum Safar Naye Karavan
Inhen Sath Le ke Chalna hai
Aagay....................Agay
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar..................Jaga ke Dekhen
Bikhri...............In Raahon mai
Paas.................Aa ke Dekhen
Aao..................Dilon mai Phir se
Pyar.................Jaga ke Dekhen
Naye Hum Safar Naye Karavan
Inhen Sath Le ke Chalna hai
Inhi Raaston se Barhna hai
Aagay....................Aagay
Agay......................Agay

Singer         : Live Wires & Sadaf
Poet           : Sarosh
Released    : 1989
Album        : Nayee Umangen

Tujh Sa Hoga Kahan by Devotion Band ( Milli Naghma-Lyrics & Download )

Chaand Taare Yeh Nazaare
Tujh sa Hoga Kahan
Watanon mai Tum sab se Pyare
Tujh sa Hoga Kahan
Dil mai Baste ho Hamare
Tujh sa Hoga Kahan
Chaan Taare Yeh Nazare
Tujh sa Ho ga Kahan
Watanon mai Tum Sab se Pyare
Tujh sa Ho ga Kahan
Mere Khuda ne Kiya hai 
Mujh pe Dekho na Ahsaan Aisa
Watan Diya Mujh ko Tujh sa Pyara 
Mere Dil Jaan Jesa
Dil mai Baste ho Hamare
Tujh sa Hoga Kahan
Meri Yeh Dil Jaan Jesa
Hai Yeh Dua Rab se Meri Tarah 
Watan se Koi youn Na Bichhray
Kese Duur huwe Apnon se Hum 
Rooh Badan se Bichhray
Dil mai Baste ho Hamare 
Tujh sa Hoga Kahan
Chaand Taare Yeh Nazaare
Tujh sa Hoga Kahan
Watanon mai Tum sab se Pyare
Tujh sa Hoga Kahan
Tujh sa Hoga Kahan

Singer            : Devotion Band
Released        : 2011

Tu Hai Mera Pakistan ( Milli Naghma by Sequencers-Lyrics )

Meri Zameen Meri Jaa'n hai Tu
Teri Khushiyon mai Apni Jaa'n De doon
Yeh Zameen aur Aasmaa'n
Hum Sab ka hai Jan-e-Jahan
Is Zamee'n ki Azaadiyan Hum Sab ke liye hain
Na Jaayen ge Tujhe Chhor kar
Tu hi hai Hum Sab ka Ghar
Banayen ge Tujhe Khoob Tar
Meri Zamee'n.........................
Tu hai Mera Pakistan
Meri Zamee'n Meri Maa'n hai Tu
Gaud mai Teri Mujhe hai Bara Sukoo'n
Yeh Zameen ar Aasmaa'n
Hum Sab ka hai Jan-e-Jahan
Is Zamee'n ki Azaadiyan Hum Sab ke liye hain
Na Jaayen ge Tujhe Chhor kar
Tu hi hai Hum Sab ka Ghar
Banayen ge Tujhe Khoob Tar
Meri Zamee'n.........................
Tu hai Mera Pakistan
Na Jaayen ge Tujhe Chhor kar
Tu hi hai Hum Sab ka Ghar
Banayen ge Tujhe Khoob Tar
Meri Zamee'n.........................
Tu hai Mera Pakistan

Singer         : Sequencers
Music         : Sequencers
Released    : 1994
Album        : Sahara

Yeh Zindagi Hai Is Mai Khushi Hai ( National Song-Lyrics & Download )

Dekho Aaj Kal Yeh kia ho raha hai
Jahan bhi Dekho Tufaa'n sa Utha hai
Mujhe to bus Ab Aik Dar sa Laga hai
Janay Kab Kis ko Yahan kia hojaye
Aao Hum Sab Mil Jaayen Aik Sath
Tor Daalen Nufrat ki Deewar
Yeh Zindagi hai
Is mai Khushi hai
Mil ke Sath Rahen Hum Sada
Sath hum Chalen ge aur Mil kar Rahen ge
To Koi Na hoga Juda
AgarHum Youn hi Aapas mai Laren ge
To Khud hi Socho ke kese Rahen ge
Ab Hum par Waqt Kuch Aisa Para hai
Ke Kuch Na Karna Yahi Khud Kushi hai
Aao Hum Sab Mil Jaayen Aik Sath
Tor Daalen Nufrat ki Deewar
Yeh Zindagi hai
Is mai Khushi hai
Mil ke Sath Rahen Hum Sada
Sath hum Chalen ge aur Mil kar Rahen ge
To Koi Na hoga Juda

Singer        : Barbarians
Poet          : Asad
Released   : 1993
Music Channel Chart
Remake    : Karavan 
Released   : 2002
Album       : Gardish
Asad of Karavan was in Barbarians with Keith 

Yeh Zindagi Hai by Karavan ( MP3 Download )


Tuesday, September 25, 2012

Hum Shaheen Hain-Pakistan Air Force Song ( Lyrics & Download )


Hum Shahee'n hain Aasman ke Maut se Takratay hain
Aandhi Tufa'n Hum na Dekhen Khatron se Khel Jatay hain
Shahee'n hain Hum Aasma'n ke Maut se Takratay hain
Hum Shahee'n hain.................................Hum Shahee'n hain
Hum Shahee'n hain.................................Hum Shahee'n hain
Cheer ke Kohsaron ke Seenay Hum to Guzar Jayen ge
Azm ki Khaatir Chalte huwe Darya mai Utar Jayen ge
Chalne Wale Manzil pe Khud hi Pohanch Jatay hain
Shahee'n hain Aasman ke Maut se Takratay hain
Aandhi Tufa'n Hum na Dekhen Khatron se Khel Jatay hain
Shahee'n hain Hum Aasma'n ke Maut se Takratay hain
Hum Shahee'n hain..................................Hum Shahee'n hain
Hum Shahee'n hain..................................Hum Shahee'n hain
Waqt hai Apne Hathon mai Is ko Na Janay Den ge
Josh hai Apne Jazbon mai Himmat se Kaam len ge
Jin ke iraday hain Pakkay Woh Kahan Ghabratay hain
Shahee'n hain Aasman ke Maut se Takratay hain
Aandhi Tufa'n Hum na Dekhen Khatron se Khel Jatay hain
Shahee'n hain Hum Aasma'n ke Maut se Takratay hain
Hum Shahee'n hain....................................Hum Shahee'n hain
Hum Shahee'n hain....................................Hum Shahee'n hain
Yad Kare Jis ko yeh Dunya Aisa kar Dikhlana hai
Mehnat se Taqdeer jo Badle Us ke Sath Zamana hai
Koshish Karne Wale Apne Naam ko Chamkatay hai
Hum Shahee'n hain Aasman ke Maut se Takratay hain
Aandhi Tufa'n Hum na Dekhen Khatron se Khel Jatay hain
Shahee'n hain Hum Aasma'n ke Maut se Takratay hain
Hum Shahee'n hain................................Hum Shahee'n hain
Hum Shahee'n hain................................Hum Shahee'n hain

Singer       : K.T.Khan
Music       : K.T.Khan
Released   : 2008
Album      : Freedom Top 10-2008( Sound Master )

 Hum Shaheen Hain by K.T.Khan ( MP3 Download )

Monday, September 24, 2012

Duniya ki Hukumran Pakistani Cricket Team ( Victory Song of World Cup 1992 )

Dunya ne Dekha hai Aaj
Parcham Apna
Hathon mai Apne Uthaya
Hum ne Aalmi Cup
Duniya ki Jaan
Cricket ki Shaan
Saari Dunya ko hai Jis pe Naz
Dunya ki Hukumran
Pakistani Cricket Team
Mard-e-Mujahid hai Imran Kaptan Apna
Herat mai Saari Dunya ko.....................
Sadiyon ke Pas Rahen ge Yaad
Inzamam. Wasim Akram Mushtaq
Sab ke hain Dil-o-Jan 
Pakistani Criket Team
Sharjah ka Hero Miandad
Kar diya Jis ne Sabit Man of the Crises 
Maaren Maidan...........Dekhe Jahan
Aisa koi Khilari Naheen
Ahl-e-Watan ki Sada 
Pakistani Cricket Team
Allan Border ne Liya Maan Yeh Khel Apna
Herat se Dekhen Hamen Martin Crowe bhi
Gooch ke Saath Di Sab ko Maat
Saaray Asia ka Kiya Ooncha Naam
Cricket ki Tarjuman Pakistani Cricket Team
Khuda ka Yeh hai Ahsaan jo Hum pe Huwa
Sab ki Duaaon ka Nateeja Yeh World Cup
Sar pe hai Aaj Izzat ka Taj Mila Pakistan ko Yeh Aizaz
Himmat ka hai Yeh Nishaan
Pakistani Cricket Team

Singer          : Saleem Javed
Music          : Saleem Javed
Music Style : Who'll Rule the World
Released     : 2nd April 1992 ( After Won the World Cup 1992 )

Watch here
http://www.dailymotion.com/video/xtzbwj_dunya-ki-hukumran-pakistani-cricket-team-saleem-javed-victory-song-1992_music





Dunya Se Agay Ho Sab Se Agay Pakistan by Axis ( Lyrics & Download )

Duniya se Aagay Kye Jahan hain
Ho Sab se Aagay Pakista'n
Na Janay Kitne hain Faslay
Manzil ko Paana  Apna Nishaa'n
Rasta hai Mushkil Iradon mai Dum
Dekhe gi Duniya jo Khelen ge Hum
Bijli Gira de Chhakkay Chura de Pakistan
Duniya se Aagay Kye Jahan hain
Ho Sab se Aaay Pakista'n
Roothay Dilon ko De dain Khushi
Khoyee Umeedon ko dain Zindagi
Agay hi Jana hai Sach Kar Dikhana hai
Sapna jo Sab ka Yahan
Duniya se Aagay Kye Jahan hai
Ho Sab se Aaay Pakista'n
Rasta hai Mushkil Iradon mai Dum
Dekhe gi Duniya jo Khelen ge Hum
Bijli Gira de Chhakkay Chura de Pakistan
Duniya se Aagay Kye Jahan hain
Ho Sab se Aagay Pakista'n
Duniya se Aagay Ho Sab se Agay
Duniya se Aagay Ho Sab se Agay
Duniya se Aagay Ho Sab se Agay
Duniya se Aagay Ho Sab se Agay
Pakistan..........................Pakistan
Pakistan..............................................

Singer         : Axis Band
Music         : Ata-ur-Rahman
Released    : 2012 ( T20 World Cup 2012 )

Dunya se Agay ho Sab se Agay Pakistan by Axis Band-T20 World Cup 2012 Song ( MP3 Download Click Here )

Mai Hoon Pakistan-Love Bugs Band ( Patriotic Song-Lyrics )

Jab se Mai ne Ankhen Kholeen
Mai ne Dekha Pakistan
Suna hai Sab ne Is ki Khatir
Dee'n hain Bari Qurbani
Pehchaa'n Meri Azadi ki hai
Bus Yeh Aik Nishani
Ke Mai Hoon Pakistani
Pakistani................Pakistani
Jab se Mai ne Ankhen Kholeen
Mai ne Dekha Pakistan
          Mujhe Kuch Yaad Nahi
          Bus Aik baat Yahi
          Mai to kaheen bhi gaya
          Yahi  Pehchaa'n Rahi
Sindhi ho ya ho Punjabi 
Balochi ho chahay Pathan
Yeh Sab Log Phoolon ke hain
Baagh to hai Pakistan
Bagh to hai Pakistan
Jab se Mai ne Ankhen Kholeen
Mai ne Dekha Pakistan
           Hain  Shikway Gilay aur kia
           Bus Pyar ki Ik Ada
           Kion na Bhula den Chalo
           Ab Tak Jo bhi Hua
Shikway to hotay hain
Apnon se Na ho Bad Gumaa'n
Ik Doojay mai Dhal jao
K Jeena ho Aasaa'n
Yeh jeena ho Aasaa'n
Jab se Mai ne Ankhen KholeenMai ne Dekha Pakistan
Suna hai Sab ne Is ki Khatir
Dee'n hain Bari Qurbani
Pehchaa'n Meri Azadi ki hai
Bus Yeh Aik Nishani
Ke Mai Hoon Pakistani
Pakistani................Pakistani
Jab se Mai ne Ankhen Kholeen
Mai ne Dekha Pakistan
Jab se Mai ne Aankhen Kholeen
Mai ne Dekha Pakistan

Singer        : Love Bugs Band ( Farooq Mohsin )
Lyrics        : Rauf Mohsin
Compose  : Love Bugs
Album       : Love Bugs
Released   : 1991
 

Sunday, September 23, 2012

Hai Hum Mai Azm.......Hai Hum Mai Yaqeen ( Motivational Patriotic Song-Lyrics & Download )

Naya Josh hai Nayee Manzilen 
Naya sa hai Yeh Karavan
Hai Himmat Jawaa'n Nayee Dastaa'n
Likhen ge HumYahan
Hai Hum mai Azm
Hai Hum mai Yaqee'n
Ruken ge Na Hum Kabhi
Hum Paa len ge Hum Chhoo len ge 
Aasmaa'n Aik Din Kaheen
Chaltay Jayen Barhtay Jayen
Zor Apna Azmatay Jayen
Rastay Kathhin hain magar
In ko bhi Hum Galay Lagayen
Jeetnay ki Pyas hai
Kuch kar Dikhanay ka Khwab hai
Jaa'n Luta doon ke Jeet Jaaon
Bus Yahi Ehsas hai.................
Hai Dushman Tere Samnay
Hai Himmat Tere Hath mai
Mukka Tu Laga....................
Duaen hain Sab ki Sath mai
Hai Jhanda Tere Hath mai
Pakistan ka..........................
Jeetnay ki Pyas hai
Kuch kar Dikhanay ka Khwab hai
Jaa'n Luta doon ke Jeet Jaaon
Bus Yahi Ehsas hai.................
Hai Hum mai Azm
Hai Hum mai Yaqee'n
Ruken ge Na Hum Kabhi
Hum Paa len ge Hum Chhoo len ge 
Aasmaa'n Aik Din Kaheen
Chaltay Jayen Barhtay Jayen

Singer    : Irzaan
Music     : Irzaan
Relesed  : Feb.2011 ( During ICC World Cup 2011 )
Azm by Irzaan ( Hai Hum Mai Azm ) Free MP3 Download-Click Here