Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Is Des ki Shan Nirali hai
Phoolon se Ziyada Mehki hui
Is gulshan ki Haryaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Kirnon ka Tabassum Pinhaa'n hai
Zarron ki Hasee'n Peshani mai
Pighli hui Sachhi Chandi hai
Daryaon ke Behe Pani mai
Kheton mai Damakta Sona hai
Phoolon se ladi har Daali
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Is Des ki Shan Nirali hai
Phoolon se Ziyada Mehki hui
Is gulshan ki Haryaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Har Basti Jannat Khwaabon ki
Har Shehar hai Noor ki Mauj-e-Rawa'n
Kal Khaak Jahan par Urti thi
Hain roshniyon ke Shehar Wahan
Din ko bhi Jahan Taareeki thi
Raaton ko Wahan Ujyaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Is Des ki Shan Nirali hai
Phoolon se Ziyada Mehki hui
Is gulshan ki Haryaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Hai Khoon Usi ka Garm-e-Safar
Har Rah-e-Wafa ke Seene mai
Tasveer Usi ki Hansti hai
Is Bazm ke Har Aaainay mai
Tabeer ke Sanchay mai Jis ne
Har Khwaab ki Surat Dhaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Is Des ki Shan Nirali hai
Phoolon se Ziyada Mehki hui
Is gulshan ki Haryaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Singer : Nayyara Noor
Poet : Masroor Anwer
Music : Nisar Bazmi
Released : 1981
Pakistan Television Karachi Center.
Is Des ki Shan Nirali hai
Phoolon se Ziyada Mehki hui
Is gulshan ki Haryaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Kirnon ka Tabassum Pinhaa'n hai
Zarron ki Hasee'n Peshani mai
Pighli hui Sachhi Chandi hai
Daryaon ke Behe Pani mai
Kheton mai Damakta Sona hai
Phoolon se ladi har Daali
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Is Des ki Shan Nirali hai
Phoolon se Ziyada Mehki hui
Is gulshan ki Haryaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Har Basti Jannat Khwaabon ki
Har Shehar hai Noor ki Mauj-e-Rawa'n
Kal Khaak Jahan par Urti thi
Hain roshniyon ke Shehar Wahan
Din ko bhi Jahan Taareeki thi
Raaton ko Wahan Ujyaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Is Des ki Shan Nirali hai
Phoolon se Ziyada Mehki hui
Is gulshan ki Haryaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Hai Khoon Usi ka Garm-e-Safar
Har Rah-e-Wafa ke Seene mai
Tasveer Usi ki Hansti hai
Is Bazm ke Har Aaainay mai
Tabeer ke Sanchay mai Jis ne
Har Khwaab ki Surat Dhaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Is Des ki Shan Nirali hai
Phoolon se Ziyada Mehki hui
Is gulshan ki Haryaali hai
Hai Apna Watan Khushiyon ka Chaman
Singer : Nayyara Noor
Poet : Masroor Anwer
Music : Nisar Bazmi
Released : 1981
Pakistan Television Karachi Center.
No comments:
Post a Comment