Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Wednesday, October 24, 2012

Hai Zindagi Ka Maqsad Auron Ke Kaam Aana ( Qaumi Naghma-Lyrics )

Apne liye to Sab hi Jeete hain Is Jehan mai
Apne liye to Sab hi Jeete hain Is Jehan mai
Hai Zindagi ka Maqsad Auron ke Kaam Ana
Apne Liye to Sab hi Jeete hain.......................
Sab se Bari Ibadat Insa'n se Pyar karna
Apna Lahoo Baha kar Dunya ki Maan bharna
Dunya ki Maang Bharna.................................
Apni Khushi Samajh ke Gheron ke Dukh Uthana
Hai Zindagi ka Maqsad Auron ke Kaam Ana
Apne Liye to Sab hi Jeete hain.......................
Karta hai Jese Maali Apne Chaman ki Khidmat
Karna Usi Tarah se Tum bhi Watan ki Khidmat
Tum bhi Watan ki Khitmat....................................
Mehnat se Zindagi mai Har giz Na Jee Churana
Apne liye to Sab hi Jeete hain Is Jehan mai
Hai Zindagi ka Maqsad Auron ke Kaam Ana
Apne Liye to Sab hi Jeete hain.......................
Aaye jo koi Mushkil Himmat se Kaam Lena
Girne lage jo koi Tum Barh ke Thaam Lena
Tum Bhar ke Thaam Lena...............................
Insa'n Wohi Bara hai jis ne Yeh Raz Jana
Apne liye to Sab hi Jeete hain Is Jehan mai
Hai Zindagi ka Maqsad Auron ke Kaam Ana
Apne Liye to Sab hi Jeete hain.......................

Singer             : Mehnaz
Poet                :Kaleem Usmani
Music              : M.Ashraf 
Released         : 1976
Film                : Daagh
Inspiration     : Saleem Javed
Remake          : Syed Muhammad Iqbal

Apne liye to Sab hi Jeete hain Is Jahan mai by Mehnaz-MP3 Free Download-Click Here



2 comments:

Unknown said...

May Allah bless you for this noble cause for Pakistan & humanity

Anonymous said...

Nice❤💙