Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, November 8, 2012

Masjid-e-Qurtaba-Great Patriotic Poem-Kalam-e-IQBAL-( Lyrics )

Silsalah-E-Roz-o-Shab, Naqsh Gar-e-Hadsaat
Silsalah-e-Roz-o-Shab, Asal-e-Hayat-o-Mamaat
Silsalah-e-Roz-o-Shab, Taar-e-Hareer-E-Do Rang
Jis Se Banati Hai Zaat Apni Qaba-e-Sifat
Silsalah-e-Roz-o-Shab, Saaz-e-Azal Ki Faghan
Jis Se Dikhati Hai Zaat Zair-o-Bam-e-Mumkinaat
Tujh Ko Parakhta Hai Ye, Mujh Ko Parakhta Hai Ye
Silsalah-E-Roz-O-Shab, Sayr Fi Kainat
Tere Shab-O-Roz Ki Aur Haqiqat Hai Kya
Aik Zamane Ki Ro Jis Mein Na Din Hai Na Raat
Aani –O-Fani Tamam Mojazaat  Haye Gunar
Kaar-E-Jahan Be-Sabaat, Kaar-E-Jahan Be-Sabaat!
Awwal-O-Akhir Fana, Batin-O-Zahir Fana
Naqsh-E-Kuhan Ho Ke Nau, Manzil-E-Akhir Fana
Hai Magar Iss Naqsh Mein Rang-E-Sabaat-E-Dawam
Jis Ko Kiya Ho Kisi Mard-E-Khuda Ne Tamam
Mard-E-Khuda Ka Amal Ishq Se Sahib Firogh
Ishq Hai Asal-E-Hayat, Mout Hai Iss Par Haraam
Tund-O-Subak Sair Hai Gharcha Zamane Ki Ro
Ishq Khud Ek Sayl Hai, Sayl Ko Leta Hai Thaam
Ishq Ki Taqweem Mein Asar-E-Rawan Ke Sawa
Aur Zamane Bhi Hain Jin Ka Nahin Koi Naam
Ishq Dam-E-Jibreel, Ishq Dam-E-Mustafa (S.A.W.).
Ishq Khuda Ka Rasool, Ishq Khuda Ka Kalaam

Ishq Ki Masti Se Hai Paikar-E-Gil Taabnaak
Ishq Hai  Sehba’ay Khaam, Ishq Hai Kaas-Ul-Kiraam
Ishq Faqeeh-E-Haram, Ishq Ameer Junood
Ishq Hai Ibn-Ul-Sabeel, Iss Ke Hazaron Maqam
Ishq Ke Mizraab Se Naghma’ay Taar-E-Hayat
Ishq Se Noor-E-Hayat, Ishq Se Naar-E-Hayat

Ae Haram-E-Qurtuba! Ishq Se Tera Wujood
Ishq Sarapa Dawam, Jis Mein Nahin Raft-o-Bood
Rang Ho Ya Khisht-o-Sang, Chang Ho Ya Harf-o-Soot
Moajaza-E-Fan Ki Hai Khoon-E-Jigar Se Namood
Qatra-e-Khoon-e-Jigar Sil Ko Banata Hai Dil
Khoon-e-Jigar Se Sada Souz-o-Suroor-o-Surood
Teri Fiza Dil Faroz , Meri Nawa Sina Soz
Tujh Se Dilon Ka Huzoor, Mujh Se Dilon Ki Kushood

Pekar-E-Noori Ko Hai Sajda Meyasir To Kya
Iss Ko Meyasir Nahin Soz-O-Gudaaz-E-Sujood
Kafir-e-Hindi Hun Main, Dekh Mera Zauq-O-Shauq
Dil Mein Salat-O-Durood, Lab Pe Salat-O-Durood
Shauq Meri Le Main Hai, Shauq Meri Ne Mein Hai
Naghma’ay ‘ALLAH HOO’ Mere Rag-E-Pe Mein Hai
Tera Jalal-O-Jamal, Mard-E-Khuda Ki Daleel
Woh Bhi Jaleel-O-Jameel, Tu Bhi Jaleel-O-Jameel
Teri Bina Paidar, Tere Sutoon Be-Shumar
Sham Ke Sehra Mein Ho Jaise Hujoom-E-Nakheel
Tere Dar-O-Baam Par Wadi-E-Ayman Ka Noor
Tera Minaar-E-Buland Jalwagah-E-Jibreel
Mit Nahin Sakta Kabhi Mard-E-Musalman Ke Hai
Iss Ki Azanon Se Fash Sir-E-Kaleem(A.S.)-O-Khalil(A.S.)
Iss Ki Zameen Behadood, Is Ka Ufaq Be Sooghoor
Iss Ke Samundar Ki Mouj, Dajla-O-Danyob-O-Neel
Iss Ke Zamane Ajeeb, Iss Ke Fasane Ghareeb
Ehad-E-Kuhan Ko Diya Iss Ne Payam-E-Raheel
Saqi Arbab-E-Zauq, Faris-E-Maidan-E-Shauq
Badah Hai Iss Ka Raheeq, Taeg Hai Iss Ki Aseel
Mard-E-Sipahi Hai Woh, Iski Zirah ‘LA ILAHA’
Saya-E-Shamsheer Mein Is Ski Panah ‘LA ILAHA’
Hath Hai ALLAH Ka Banda-E-Momin Ka Hath
Ghalib-O-Kaar Afreen, Kaar Kusha, Kaar Saaz
Uss Ki Umeedain Qaleel, Uss Ke Maqasid Jaleel
Uss Ki Ada Dil Faraib, Iss Ki Nigah Dil Nawaz
Naram Dam-E-Guftugoo, Garam Dam-E-Justujoo
Razm Ho Ya Bazm Ho, Pak Dil-O-Pak Baz
Nukta’ay Parkar-E-Haq, Mard-E-Khuda Ka Yaqeen
Aur Ye Alam Tamam Weham-O-Tilism-O-Mijaz
Aqal Ki Manzil Hai Woh, Ishq Ka Hasil Hai Woh
Halqa-e-Afaq Mein Garmi-E-Mehfil Hai Woh

Poet            : Hakim-ul-Ummat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer         : Various Artists
Released    : 1977
Re-Sing      : Tahira Syed & Her Mother Malika Pukhraj
Pakistan Television Islamabad.
Re-Sing     : Ghulam Ali. 

2 comments:

zahir said...

Tremendous,.. How beautiful this poem is, I really love this,..
Salute to Allama Muhammad Iqbal, may his soul rest in peace.

zahir said...

Tremendous,.. How beautiful this poem is, I really love this,..
Salute to Allama Muhammad Iqbal, may his soul rest in peace.