Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, November 8, 2012

Dua-Masjid-e-Qurtaba Mai Likhi Gyee-Yahi Meri Namaz Hai-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics )

Hai Yehi Meri Namaz, Hai Yehi Mera Wazu
Meri Nawaon Mein Hai Mere Jigar Ka Lahoo
Sohbat-e-Ahl-e-Safa, Noor-o-Huzoor-o-Suroor
Sur Khush-o-Pursouz Hai Lala Lab-e-Abjoo
Rah-e-Mohabbat Mein Hai Kon Kisi Ka Rafeeq
Sath Mere Reh Gyi Aik Meri Arzoo
Mera Nasheeman Nahin Dargah-e-Meer-o-Wazeer
Mera Nasheman  Bhi Tu, Shakh-e-Nasheman Bhi Tu
Tujh Se Greban Mera Matla-e-Subah-e-Nashoor
Tujh Se Mere Seene Mein Atish-e-‘Allah Hoo'

Tujh Se Meri Zindagi Souz-o-Tab-o-Dard-o-Dagh
Tu Hi Meri Arzoo, Tu Hi Meri Justujoo
Phir Woh Sharab-e-Kuhan Mujh Ko Ata Kar Ke Main
Dhoond Raha Hun Usse, Torh Ke Jaam-o-Saboo
Teri Khudai Se Hai Mere Junoon Ko Gilla
Apne Liye La-Makan, Mere Liye Char Soo!
Falsafa-o-Shair Ki Aur Haqiqat Hai Kya
Harf-e-Tamana, Jise Keh Na Sakain Roo-Ba-Roo

Poet         : Hakim-ul-Ummat Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer      : Shehnaz Begum
Released  : 1972
Re-Sing    : Tahira Syed
Released  : 1988
Pakistan Television Lahore Center.

No comments: