Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, November 8, 2012

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics )

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asma'n Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahan Ke Liye
Ye Aqal-o-Dil Hain Sharar Shola-e-Mohabbat Ke
Woh Khaar-o-Khs Ke Liye Hai, Ye Neeta'n Ke Liye
Maqam-e-Parwarish-e-Aah-o-Nala Hai Ye Chaman
Na Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Ashiya'n Ke Liye
Rahe Ga Ravi-o-Neel-o-Firat Mein Kab Tak
Tera Safina Ke Hai Behar-e-Bekara'n Ke Liye

Nishan-e-Rah Dikhate The Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi Mard-e-Rah Daa'n Ke Liye
Nigah Buland, Sukhan Dil Nawaz, Jaan Pursouz
Yehi Hai Rakht-e-Safar Mir-e-Karwa'n Ke Liye
Zara Si Baat Thi, Andaisha-e-Ajam Ne Isse
Barha Diya Hai Faqat Zaib-e-Dasta'n Ke Liye
Mere Gulu Mein Hai Ek Naghma Jibreel Ashob
Sanbhal Kar Jise Rakha Hai La-Maka'n Ke Liye

Poet        : Poet of the East Dr.Allama Muhammad Iqbal(Ra)
Singer     : Masood Rana
Releases : 1967
Radio Pakistan Lahore.

No comments: