Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, November 8, 2012

Tulu-e-Islam-Sarashk-e-Chashm-e-Muslim Mai Hai-Kalam-e-IQBAL ( Lyrics )

Sar Shak-e-Chashm-e-Muslim Mein Hai Neesan Ka Asar Paida
Khalil-Allah (A.S.) Ke Darya Mein Hon Ge Phir Guhar Paida
Kitab-e-Millat-e-Baiza Ki Phir Sheeraza Bandi Hai
Ye Shakh-e-Hashmi Karne Ko Hai Phir Barg-e-Bar Paida
Rubood Aa'n Turk Sheerazi Dil-e-Tabraiz-o-Kabil Ra
Saba Karti Hai Buay Gul Se Apna Hamsafar Paida
Agar Usmaniyon Par Koh-e-Gham Toota To Kya Gham Hai
Ke Khoon-E-Sad Hazar Anjum Se Hoti Hai Sahar Paida
Jahan Baani Se Hai Dushwar Tar Kar-e-Jahan Beeni
Jigar Khoon Ho To Chashm-e-Dil Mein Hoti Hai Nazar Paida
Hazaron Saal Nargis Apni Benoori Pe Roti Hai
Bari Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Didahwar Paida
Nawa Pera Ho Ae Bulbul Ke Ho Tere Taranum Se
Kabootar Ke Tan-e-Nazuk Mein Shaheen Ka Jigar Paida
Tere Seene Mein Hai Poshida Raaz-e-Zindagi Keh De
Musalman Se Hadees-e-Soz-o-Saaz-e-Zindagi Keh De

Poet               : Dr.Allama Muhammad Iqbal(Ra)

Singer            : Mehdi Hassan
Released        : 1977
Radio Pakistan Karachi.
Re-Sing          : A.Nayyar
Released        : 1986
Pakistan Television Karachi.

No comments: