Search Patriotic Song,Singer,Poet in This Blog.

Thursday, December 13, 2012

Jo Paisa Hum Bachatay Hain Watan Ke Kaam Ata Hai ( Lyrics )

Jo Paisa Hum Bachatay hain Watan ke Kaam Aata hai
Hamara Khoon-e-Dil Jese Badan ke Kaam ata hai
Jo Paisa Hum Bachatay hain Watan ke Kaam ata hai
Yeh Paisa hi to hai jo Daanay Daanay mai Numayan hai
Safeer-e-Zindagi ban kar Rag-o-Pai mai Khuramaa'n hai
Isi ke Noor se Roshan, Ciragh-e-Ilm-o-Irfa'n hai
Chiraghon ka Ujaala Anjuman ke Kaam Ata hai
Jo Paisa Hum Bachatay hain Watan ke Kaam Aata hai
Hamara Khoon-e-Dil Jese Badan ke Kaam ata hai
Yeh Paisa Jama ho to, Khwaab-e-Farda ka Khazana hai
Kaheen Ghar Kaheen Maktab Kaheen Yeh Kaarkhana
Kabhi Roshan Haqiqat hai Kabhi Rangee'n Fasana hai
Yeh Woh Tesha hai jo Har Koh Kun ke Kaam ata hai
Jo Paisa Hum Bachatay hain Watan ke Kaam Aata hai
Hamara Khoon-e-Dil Jese Badan ke Kaam ata hai
Yeh Paisa Apne Haathon mai Khuda ki Ik Amanat hai
Ke Sarf-e-Be Zaroorat hi Amanat mai Khayanat hai
Yeh Paisa Mulk-o-Millat ke Tahaffuz ki Zamanat hai
Zar-e-Gul jis Tarah Saare Chaman ke Kaam Ata hai
Jo Paisa Hum Bachatay hain Watan ke Kaam Aata hai
Hamara Khoon-e-Dil Jese Badan ke Kaam ata hai

Singer            : Mehnaz
Poet              : Himayat Ali Shaayer
Music            : Khalil Ahmed
National Saving Scheme Song.



Sathiyo! Sabz Parcham Uraatay Chalo ( Milli Naghma-Lyrics )

Sathiyo! Sabz Parcham Uraatay Chalo
Zindagi ke Taranay Sunatay Chalo
Sathiyo! Sabz Parcham Uraatay Chalo
Zindagi ke Taranay Sunatay Chalo
Shaukh Perahanon mai Lehakti huwi, 
Zar Bakaf Khetiyan
Nannhay Bachhon ki Manind Hansti huwi, 
Gehoon ki Baaliyan
Apni Dhun mai Magan Raqs karti huwi, 
Doodh si Nadiyan
Ik Nayee Zindagi ki Taraf hain Rawaa'n
Sathiyo! Sabz Parcham Uraatay Chalo
Zindagi ke Taranay Sunatay Chalo
Shahrahon ke Itraaf Phelay huwe
Oonchay Neechay Makaa'n
Karkhanay, Dafaatir, Madarasay
Zindagi ke Nishaa'n
Apne Rangee'n Khwaabon mai Khoye huwe
Tifl-o-Peer-Jawaa'n
Kamra'n Kamra'n Shadma'n Shadma'm
Sathiyo! Sabz Parcham Uraatay Chalo
Zindagi ke Taranay Sunatay Chalo
Apni Dharti mai Lal-o-Jawahir Nehaa'n
Aasma'n Zar Afshaa'n
Apne Dasht-o-Daman Gulista'n Gulista'n
Rashk-e-Baagh-e-Jinaa'n
Apne Mehar-o-Maa-o-Anjum-o-Kehkasha'n
Hum Sukhan Hum Zubaa'n
Apne Hamrah hain Sab ke Sab Naghma Khwaa'n
Sathiyo! Sabz Parcham Uraatay Chalo
Zindagi ke Taranay Sunatay Chalo
Sathiyo! Sabz Parcham Uraatay Chalo
Zindagi ke Taranay Sunatay Chalo

Singer             : Saleem Raza & Chorus
Poet               : Himayat Ali Shaayer
Radio Pakistan Lahore

Wednesday, December 12, 2012

Ja Re Ja Mere Dhol Sipahee ( Qaumi Geet-Lyrics )

Barhay Chalo..............Barhay Chalo
Ja re Ja Mere Dhol Sipahee
Tera Allah Nigehba'n ho
Tera Allah Nigehba'n ho
Rahon ke Sadqay Yeh Ghum ki Maari
Meri Khushi Teri Khushiyon pe Waari
Teri balayen Mujhe Lag Jaayen Saari
Meri Duaen Tere Sath hain Rahi
Tera Allah Nigehba'n ho
Tera Allah Nigehba'n ho
Barhay Chalo..............Barhay Chalo
Ja re Ja Mere Dhol Sipahee
Tera Allah Nigehba'n ho
Tera Allah Nigehba'n ho
Seenay se Tera Pyar Lagaye
Bethi Rahoon gi yun hi Nain Bichhaye
Lot ke jab tak Tu na ajaaye
Pal Pal de ga Mere Ghum ki Gawahi
Tera Allah Nigehba'n ho
Tera Allah Nigehba'n ho
Barhay Chalo..............Barhay Chalo
Ja re Ja Mere Dhol Sipahee
Tera Allah Nigehba'n ho
Tera Allah Nigehba'n ho

Singer                  : Naseema Shaheen
Poet                     : Himayat Ali Shaayer
Music                  : Khalil Ahmed
Film                     : Khamosh Raho

Tuesday, December 4, 2012

Goonja Hai Sara Yeh Jahan-Takbeer ( Pak Army Song-Lyrics & Download )

Goonja hai Sara Yeh Jahan
Lalkar hai har Aik Zuba'n
Ho Jaayen Dushman Be Nisha'n
Ke Apna hai Allah pe Imaa'n
Kaamil hai Apna Yaqeen
Mushkil Na hogi Kaheen
Takbeer hai Zor-e-Deen
Bolen to Larzay Zamee'n
Allah...................................
Karte hain Hum jo Thaan len
Ayen Muqabil Jo bhi Jaan len
Nara Apna to Jehad
Kisi ki Quwwat Kese Maan len
Goonja hai Sara Yeh Jahan
Ke Apna hai Allah pe Imaa'n
Shola hain Tufaan hain
Ik Dil hain Ik Jaan hain
Sath Apne Khuda aur Qaum ki hai Dua
Allah......................Allah
Allah......................Allah 
Allah......................Allah
Allah......................Allah
Allahu Akbar
Allahu Akbar
Allah......................Allah
Allah......................Allah
Allah......................Allah
Allah......................Allah

Singer             : Ali Sher
Lyrics             : Ali Sher
Music             : Ali Sher
Released        : 2001
Album            : Yaadon Mai
Goonja Hai Sara Yeh Jahan by Ali Sher-Pak Army Song-MP3 Download-Click Here  


   

Apne Watan Se Apni Kahani Hai ( Patriotic Song-Lyrics & Download )

Apne Watan se Apni Kahani hai
Is ke Liye Zindagaani hai
Hathon mai Yeh Sabz Parcham hai
Seenay mai Apne Dil Yeh Jawan hain
Yeh Sarzamee'n Apne Khwabon ki Manzil
 Yeh hi to Apni Duniya hai
Apne Watan se Pehchan Hai Apni
Hai Josh Apna Wafaayen hain
Is ke Liye hi Apni Hasti hai
Aur Apni Duaen hain
Apne Watan se Apni Kahani hai
Is ke Liye Zindagaani hai
Dil ka Dharakna Is ke hi Dum se hai
Apne Lahoo ki Rawani hai
Khushbu jo hai Apni Mitti  mai
Woh Kaheen bhi Nahi Is Jahan mai
Youn hi Lehraye Yeh Chand aur Sitara
Yeh hai Sadaain Har Dil-o-Jan mai
Jaan se bhi Ziyada Hum Is ko Chahen ge
Yeh Zamee'n Apni Jannat hai
Youn hi Salamat Youn hi Rahe Qaayem
Apni Yahi to Muhabbat hai
Apne Watan se Apni Kahani hai
Is ke Liye Zindagaani hai
Dil ka Dharakna Is ke hi Dum se hai
Apne Lahoo ki Rawani hai
Apne Watan se Apni Kahani hai
Is ke Liye Zindagaani hai
Dil ka Dharakna Is ke hi Dum se hai
Apne Lahoo ki Rawani hai

Singer                 : Ali Sher
Lyrics                 : Ali Sher
Released            : 2004
Album                : Beetay Pal
Apne Watan se Apni Kahani by Ali Sher-Patriotic Song MP3 Download  

Monday, December 3, 2012

Imtehan Hai Imtehan ( Pak Army Song-Lyrics )

Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Hont jalte rahe, tha samandar yahaan
Aag pe paniyon se likha hai dhuwaan
Jal gai khaak pe ug rahi hai zameen
Uth gaey haath ki jhuk rahi hai jabeen
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Mar gai zindagi, jee raha hai koi
Aur koi yahaan mout hai jee raha
Koi le kar chala ik kiran mehrbaan
Koi sooraj ki aankhen yahan see raha
Raat ko apni khoi shama mil gai
Jo lutaai woh saari jama mil gai
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Ab to sehmi hawa lafz ummed sunne sunaane lagi
Aik nannhi kiran apna sooraj naya phir banaane lagi
Jism chalte rahe paaon se khuwab ke
Band oonche kiye aankh mein aap ke
Gheyr li sach ne chaaron taraf se badi
Mere sir se nahi thi ye mushkil bari
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Mit sakhe kyia kabhi jo k mitti se hain
Aur zameen-zaad wo apni mitti k hain
Ishq aisa kiya ke gawaah hai Khuda
Aaj kitne wo bete ke mitti mein hain
Aey Khuda bakhsh de tu zameen wo haseen
Aik hi jaan thi wo bhi hans ke di
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Imtihaan hai imtihaan (imtihaan)
Singer          : Rahat Fateh Ali & Shafqat Amanat
Poet            : Imran Raza
Music           : Saahir Ali Baaga
Released     : 2011
OST             : Faseel-e-Jan se Agay

Quaid-e-Azam Ka Ahsan.....Jeeta Jagta Pakistan ( Tribute to Qauid-e-Azam-Lyrics & Download)

Quaid-e-Azam ka Ahsaan
Jeeta Jaagta Pakistan
Quiad-e-Azam ka Ahsaan
Jeeta Jaagta Pakistan
Hum ne Pura Karna hai
Quaid-e-Azam ka Armaan
Quaid-e-Azam ka Ahsaan
Jeeta Jagta Pakistan
Gher ki Khitta Shahi thi
Chaaron Simt Tabahi thi
Muslim Qaum thi Pasti mai
Aag Lagi hi Basti mai
Toot Chukay thay Dil ke Saaz
Aise mai Teri Awaz
Bun gyee Fatah ka Nishaan
Quaid-e-Azamka Ahsaan
Jeeta Jagta Pakistan
Khwaab Iqbal ne Dekha tha
Tum ne Haqeeqat mai Dhala
Hindustan ke Naqshay pe
Pakistan Bana Dala
Dushman Kitna Hanstay thay
Ho Gaya Un ka Moun Kala
Aakhir gaye Woh Tujh ko Maan
Quaid-e-Azamka Ahsaan
Jeeta Jagta Pakistan
Teen Isharay Thay Quaid 
Saaray Musalma'n Chal Nikle
Sindh Punjab aur Sarhad se
Ahl-e-Imaa'n Chal Nikle
Aur Muhajir Becharay
Be Sar-o-Samaa'n Chal Nikle
Le ke Hathon mai Qur'an
Quaid-e-Azam ka Ahsaan
Jeeta Jagta Pakistan
Tujh pe Khuda ki Rehmat thi
Tujh pe Muhammad(SaW) ka Saya
Maula Ali(Rza) ki Barkat se
Tera Tasawwur Rang Laya
Youn Duniya ke Naqshay par
Pakistan Ubhar Aya
Ho gyee Yeh Duniya Heraan
Quaid-e-Azamka Ahsaan
Jeeta Jagta Pakistan
Quaid-e-Azam ka Ahsaan
Jeeta Jagta Pakistan
Phir Woh Qayamat ka Din Aya
Uth Gaya Jis Din Tera Saya
Mulk mai Ik Mayoosi Chhaayee
Dene Lag yeh Qaum Dohayee
Aise mai Turbat se 
Teri Ik Awaz Aayee
Dekho Bachana Pakistan
Dekho Bachana Pakistan
Dekho Bachana Pakistan

Singer              : Shazia
Music              : Niaz Ahmed
Film                 : Saharay

Quaid-e-Azam ka Ahsan Jeeta Jagta Pakistan by Shazia-Milli Naghma-MP3 Free Download-Click Here 

Sunday, December 2, 2012

Aye Quaid-e-Azam..........Aye Quaid-e-Azam ( Patriotic Song-Lyrics )

Aye Quaid-e-Azam............Aye Quaid-e-Azam
Aye Quaid-e-Azam............Aye Quaid-e-Azam
Tere Naqsh-e-Kaf-e-Paa hain
Woh Charagh-e-Reh-e-Manzil
Ke hain Roshan Nigah-o-Dil
Yahi Ahsaan hai kia Kum
Aye Quaid-e-Azam............Aye Quaid-e-Azam
Aye Quaid-e-Azam............Aye Quaid-e-Azam
Yeh Zamee'n Pak Zamee'n hai
Yeh Falak Pak Falak hai
Tere Dum ki Yeh Jhalak hai
Tera Ooncha Rahe Parcham
Aye Quaid-e-Azam............Aye Quaid-e-Azam
Aye Quaid-e-Azam............Aye Quaid-e-Azam
Tu ne Jo Rah Dikhayee
Hum Usi Reh pe Chalen ge
Tere Sanchay mai Dhalen ge
Tera Har Hukm hai Mohkam
Aye Quaid-e-Azam............Aye Quaid-e-Azam
Aye Quaid-e-Azam............Aye Quaid-e-Azam

Singer               : Shaukat Ali
Poet                  : Himayat Ali Shaair
Music               : Nisar Bazmi
Released          : 1979
Pakistan Television Lahore Center.

Tum Hamari Umeedon Ke Roshan Diye ( Patriotic Song-Lyrics )

Tum Hamari Umeedon ke Roshan Diye
Hain Hamari Duaeen Tumhare Liye
Pak Dharti ka  Roshan Karo Naam Tum
Tum se Qaayem Rahen Jeet ke Silsile
Tum Hamari Umeedon ke Roshan Diye
Hain Hamari Duaeen Tumhare Liye
Tum Qadam se Qadam youn Mila ke Chalo
Kamyabi ka Jhanda Rahe Karavan
Hain Hamari Dueen Tumhare Liye
Tum Hamari Umeedon ke Roshan Diye
Dosto! Sathiyo! Jan Nisari ke Sath
Tumhay Paar Karne hain Sab Marhalay
Hain Hamari Duaeen Tumhare Liye
Hain Hamari Duaeen Tumhare Liye


Singer             : Kaavish
Released         : 2007 ( During ICC World Cup'07 )
Album             : Pakistan Tujhe Salam ( Released by The Musik )

Chalo Utho Phir Se ( Patriotic Song-Lyrics )

Hathon mai Hath thay 
Jab Hum Sat thay
Hum ne Liya tha Qadam
Un ki Pukar thi
Un ka Sawal tha
Kab hoga Imteha'n Khtam
Yeh Rastay to Kut hi Jaayen ge
Yeh Badal to Hut hi Jaayen ge
Woh jo Iraday thay
Woh jo Waday thay
Pooray huwe
Jab Hum Sath thay
Aansoo Beh gaye 
Ab Un Nadiyon mai
Kal phir hogi Aik aur Subha
Yeh Rastay to Kut hi Jaayen ge
Yeh Badal to Hut hi Jaayen ge
Chalo Utho Phir se Chalen Umeedon ke Diye Liye
Chalo Utho Phir se Jiyen Umeedon ke Rangon mai Rangen
Saaz yeh Khamosh thay Tufan mai
Badal to Garajte thay Awaz mai
Kaliyan Lehrati theen Hawaon mai
Sur Milen ge Ab Har Qadam se
Yeh Rastay to Kut hi Jaayen ge
Yeh Badal to Hut hi Jaayen ge
Chalo Utho Phir se Chalen Umeedon ke Diye Liye
Chalo Utho Phir se Jiyen Umeedon ke Rangon mai Rangen
Chalo Utho Phir se Chalen Umeedon ke Diye Liye
Chalo Utho Phir se Jiyen Umeedon ke Rangon mai Rangen

Singer                 : Ali Hamza & Laal Band
Released             : 2011

Pak Watan Hum Ko Mila Jan Se Pyara ( Milli Naghma-Lyrics )

Gaao Gaao Re Hamare Sung Sung
Gaao Gaao Re Hamare Sung Sung
Yeh Watan hai Pyara Watan Chand Sitara
Pak Watan Hum ko Mila Jan se Pyara
Allah Kare youn hi Rahen Is ki Baharen
Yeh Apna Watan hai Isay Hum Aur Sanwaren
Allah Kare youn hi Rahen Is ki Baharen
Yeh Apna Watan hai Isay Hum Aur Sanwaren
Yeh Watan hai Pyara Watan Chand Sitara
Quaid ki Nishani hai Yeh,Hum Is ke Sipahee
Iqbal ka Woh Khwab hai Han Is ke Gawahi
Quaid ki Nishani hai Yeh,Hum Is ke Sipahee
Iqbal ka Woh Khwab hai Han Is ke Gawahi
Yeh Apna Tarana Sun lo Zara Han Mil ke hai Gana
Sun lo Zara...........................................
Yeh Watan hai Pyara Watan Chand Sitara
Gaao Gaao Re Hamare Sung Sung
Gaao Gaao Re Hamare Sung Sung
Nazren jo Uthen Is ki Taraf Us ko Jhuka Den
Jo Hath Barhe Is ki Taraf Un ko Gira Den
Nazren jo Uthen Is ki Taraf Us ko Jhuka Den
Jo Hath Barhe Is ki Taraf Un ko Gira Den
Yeh Nara Hamara Sab ke Liye hai Apna Ishara
Sab ke Liye hai......................................
Yeh Watan hai Pyara Watan Chand Sitara
Rang Roop Yahan koi bhi hi Aik hain Saare
Mil ke Jul ke Rehna hai Hamen Har Dil Yeh Pukare
Rang Roop Yahan koi bhi hi Aik hain Saare
Mil ke Jul ke Rehna hai Hamen Har Dil Yeh Pukare
Yeh Chand Sitara Chamke Youn hi Duniya pe Hamara
Chamake Yeh Allah Ka Karam hai Is Qaum Par
Yeh Watan hai Pyara Watan Chand Sitara
Pak Watan Hum ko Mila Jaan se Pyara


Singer        : Hassan Jehangir
Poet           : Muhammad Nasir
Released   : 1993
Album       : Hum Pakistani Hain ( Released by Sound Master )
Pakistan Television Karachi Center.

Rahe Ga Ooncha Parcham ( Pak Army Patriotic Song-Lyrics )

Chamke ga Saari Duniya mai
Yeh Tera Mera Pakistan
Rahe ga Ooncha Parcham
Ooncha Rahe ga Yeh Naam
Chamke ga Saari Duniya mai
Yeh Tera Mera Pakistan
Chamke ga Saari Duniya mai
Yeh Tera Mera Pakistan
Yahi to Pehcha'n Hamari
Waaren ge Is pe Jaan
Is ki Sarhadon pe Laren ge Hum
Hojaayen ge Hum Qurban
Is ke Hum Pasban
Yeh Tera Mera Pakistan
Is ke Hum Pasban
Yeh Tera Mera Pakistan
Rahe ga Ooncha Parcham
Ooncha Rahe ga Yeh Naam
Sindhi Punjabi Baluchi Pathan
Sab ka Yahi Armaan
Mil ke Rahen Hum Sath Sath
Apni hai Yeh Shan
Apne hain Yeh hain Karavan
Yeh Tera Mera Pakistan
Apne hain Yeh Karavan
Yeh Tera Mera Pakistan
Rahe ga Ooncha Parcham
Ooncha Rahe ga Yeh Naam

Singer                : Faisal Anwer
Released            : 1994

Saturday, December 1, 2012

Janbaz Hain Hum Pakistani ( Patriotic Song-Lyrics )

Janbaz hain Hum Pakistani
Jan Nisar hain
Janbaz hain Hum Pakistani
Jan Nisar hain
Sholon se Khelna Hum ne Seekha
Khatron se Dar Nahi
Imaan se.....................................
Sab se Juda aur Sab se Alag hai Apna Pakistan
Jeevan Yahi hai Saaz Yahi hai Yahi hai Apni Jaan
Imaan se.....................................
Soo-e-Falak pe Is Parcham ko Hum Lehraayen ge
Shaair-e-Mashriq(Ra) ke Khawaabon ko hum Saajayen ge
Imaan se.....................................
Janbaz hain Hum Pakistani
Jan Nisar hain
Janbaz hain Hum Pakistani
Jan Nisar hain
Sholon se Khelna Hum ne Seekha
Khatron se Dar Nahi
Imaan se.....................................

Singer                     : String Fellows
Released                 : 1993
Album                    : String Fellows 1.

Uqaab Mera Naam ( PAF Patirotic Song-Lyrics )

Oonchie Meri Parwaz
Is mai Nahi koi Raaz
Aasmanon par Urna hai Mera Kaam
Aur Uqaab hai mera Naam
Uqaab Mera Naam
Uqaab Mera Naam
Ooncha Hosla hai Azm Mera hai Buland
Daalon Chand Taaron pe mai Apni Kamand
Aasmanon par Urna hai Mera Kaam
Aur Uqaab hai Mera Naam
Uqaab Mera Naam
Uqaab Mera Naam
Seekho Tum Mujh hi se Zinda Rehne ka Dhung
Rakho Tum Hamesha Sar Khudi se Buland
Aasmanon par Urna hai Mera Kaam
Aur Uqaab hai Mera Naam
Uqaab Mera Naam
Uqaab Mera Naam
Jana Paaye Na Bach ke Mujh se Mera Shikar
Maani Mushkilon se Na Kabhi Mai ne Haar
Aasmanon par Urna hai Mera Kaam
Aur Uqaab hai mera Naam
Uqaab Mera Naam
Uqaab Mera Naam


Singer                     : Khalid Anum
Poet                       : ?
Composed             : Khalid Anum
Pakistan Television Karachi.

Woh Tamam Din Hamain Yaad Hain -Ba Yaad-e-Tehreek-e-Pakistan( Milli Naghma-Lyrics )

Woh Tamam Din 
Woh Tamam Ghum
Jo Guzar Gaye
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Woh Tamam Din Woh Tamam Ghum
Jo Guzar Gaye
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Woh Lutay Suhag Woh Ismaten
Jo Fasana hain Woh Haqiqaten
Woh Tamam Ghar Ujar Gaye
Woh Aziz Sab jo Bichhar Gaye
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Woh Ajeeb Log Woh Qaflay
Jo na Ruk Sake Na Bhatak Sake
Jo Chaman Saja ke Chale Gaye
Jo Watan Bana ke Chale Gaye
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Woh Tamam Din Woh Tamam Ghum
Jo Guzar Gaye
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Woh Tamam Ahd jo Farz hain
Jo Amanaten hain jo Qarz hain
Jo Parhe thay Zarb-e-Kaleem mai
Jo Huwe thay Shehar-e-Azeem mai
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain
Hamen Yaad hain

Singer                    : Nayyara Nor
Poet                      : Jameel ud Din Aali
Music                    : Khalil Ahmed
Released               : 1976
Producer              : Tajdar Adil
Pakistan Television Karachi Center.

Woh Tamam Din Jo guzar gaye Hamen Yaad hain Hamen Yaad hain-Milli Naghma-by Nayyara Noor-MP3 Free Download-Click Here


Tere Dil Mai Hai Pyar ( National Song-Lyrics )

Tere Dil mai Hai Pyar
Yeh Mai Janoon Mere Yaar
Isay Tum Jahan mai Har Dil mai Bhardo
Chahe Tum Chaho Tum
Kisi ka Dil Na Dukhao
Yahi to Pyar hai Duniya mai Banto
Janay Kitne Lamhe Sanson ke hain aur Baqi
Aao Mil ke Hum
Aik Ho ke Hum
Jahan ko Mil ke Sanware
Yeh Tera mera hai
Isay Mil ke Banayen
Jaanen Kitni hi Jaanen De ke Hum ne Isay Banaya
Yahi Pyar hai Woh Tera Mera
Na ho Phir Koi Dar
Na ho Weera'n koi Ghar
Phoolon se Raahon ko
Har ja ko Bhar den
Jo Yeh Tum Chaho to Pura Roshan Jahan ho
Aise mai koi Ghum mai Mushkil Na ho
Janay Kitne Lamhe Sanson ke hain aur Baqi
Aao Mil ke Hum
Aik Ho ke Hum
Jahan ko Mil ke Sanware
Yeh Tera mera hai
Isay Mil ke Banayen
Jaanen Kitni hi Jaanen De ke Hum ne Isay Banaya
Yahi Pyar hai Woh Tera Mera
Jeewan se Haare Har Dil ko Jeene ke Arma'n do
Dil Jan se Inhen  chaho Itna hi Pyar do
Pyar hi hai Jeene ki Surat
Sab se Bari hai Zaroorat
Sab ke Dil mai ho Sab ka Pyar
Janay Kitne Lamhe Sanson ke hain aur Baqi
Aao Mil ke Hum
Aik Ho ke Hum
Jahan ko Mil ke Sanware
Yeh Tera mera hai
Isay Mil ke Banayen
Jaanen Kitni hi Jaanen De ke Hum ne Isay Banaya
Yahi Pyar hai Woh Tera Mera


Singer             : Salman Usmani & Faisal Latif
Poet               : ?
Composed     : Salman Usmani
Released        : 1993
Album            : Sabz Parcham ( Released by EMI )

Hum Harkat-o-Barkat Az Dariya ( Pak Army Song-Lyrics )

Aye Pak Watan Aye Pak Watan
Hum Sab Hum Dum
Hum Sab Hum Dum
Tere Chand Sitare par Qurban
Hama Dil Hama Jaa'n
Hama Dil Hama Jaa'n
Aye Pak Watan Aye Pak Watan
Hum Toren Maan Chatanon ka
Hum Moren Mou'n Tufanon ka
Hum Bandhen Pul Daryaaon par
Hum Aab-e-Rawa'n Sahraaon par
Deewar bhi Hum
Raftar bhi Hum
Maymar bhi Hum
Talwar bhi Hum
Hum Ilm-o-Hunar
Hum Teer-o-Kamaa'n
Hum Harkat-o-Barkat Az Dariya
Hum Harkat-o-Barkat Az Dariya
Aye Pak Watan Aye Pak Watan
Hum Raj Karen Kohsaron par
Raqsa'n Barood Shararon par
Dushman ko Karen Pabasta Hum
Apne Lashkar ka Rasta Hum
Dariya kia Roke ga Hum ko
Hum Azm-e-Jawan Hum Rooh-e-Rawam 
Hum Harkat-o-Barkat Az Dariya
Hum Harkat-o-Barkat Az Dariya
Aye Pak Watan Aye Pak Watan
Farhad Kudalon Wale Hum
Separ Jee Dar Jiyale Hum
Hum Korakaram  ko Raas Karen
Hum Top Lawari Pass Karen
Hum Qadam Qadam Qurbani Den
Har Mor ko Aik Kahani Den
Hathon mai Liye Nazrana-e-Jaa'n
Hum Harkat-o-Barkat Az Dariya
Hum Harkat-o-Barkat Az Dariya
Aye Pak Watan Aye Pak Watan
Aye Pak Watan Aye Pak Watan
Hum Sab Hum Dum
Hum Sab Hum Dum
Tere Chand Sitare par Qurban
Hama Dil Hama Jaa'n
Hama Dil Hama Jaa'n
Aye Pak Watan Aye Pak Watan

Singer               : Muhammad Ali Shyhaki & Chorus
Poet                  : Brig.Zamir Ahmed Jafri
Composed        : Nisar Bazmi
Released          : 2003
Official Song of Pak Army Engineering Core.
An ISPR Presentation.     

 Aye Pak Watan-Hum Harkat-o-Barkat az Darya by Muhamad Ali Shyhaki-MP3 Free Download-Click Here

Mere Watan Tujhe Salam ( Pak Army Patriotic Song-Lyrics & Download )

Ragon mai Jitna Khoon hai
Sab Ishq hai Junoon hai
Fida hoon Tere Naam par
Mita hoon Tere Naam par
Mere Watan Tujhe Dawam
Mere Watan Tujhe Salam
Mere Watan Tujhe Dawam
Mere Watan Tujhe Salam
Yeh Mana Zakhm Zakhm hoon
Buhat hi Dil Figar hoon
Tera hi Jan Nisar tha
Tera hi Jan Nisar hoon
Hai Mera Payam-e-Aam
Mere Watan Tujhe Salam
Mere Watan Tujhe Dawam
Mere Watan Tujhe Salam
Watan Teri Qasam Mujhe 
Mai Sar Nahi Jhukaaon ga
Mai Sar Nahi Jhukaaon ga
Sahoon ga Hans ke Aziyaten
Har Aik  Sitam Uthaaon ga
Rahe Buland Tera Naam
Mere Watan Tujhe Salam
Mere Watan Tujhe Dawam
Mere Watan Tujhe Salam
Meri Bahisht Mera Ghar
Jahan thay Sab Aziz Tar
Teri Bus Aik Pukaar par
Mai Agya hoon Sab Chor kar
Azeem se Azeem Tar Tera Maqam
Tera Maqam.......................
Mere Watan Tujhe Salam
Mere Watan Tujhe Dawam
Mere Watan Tujhe Salam

Singer                      : Shafqat Amanat Ali
Poet                         : Khalil Ullah Farooqui
Music                      : Shafqat Amanat
Released                 : 2007
OST                        : Drama " Sipahee Maqbool "
An ISPR Presentation.
Mere Watan Tujhe Salam by Shafqat Amanat Ali-Download-Click Here 

Pasban-Pakistan Navy Song ( Patriotic Song-Lyrics & Download )

Samundaron ke Pasban
Rawan Dawan Rawan Dawan
Jo Mustaed hain Raat Din
Watan ki Sarzamee'n ke gird
Paniyon ke Darmiyaa'n
Yeh Deewar Bun ke 
Kharay Paniyon par
Aye koi bhi Tufaa'n
Hain Pasbaa'n
Yeh Waqtwar
Yeh Ba Hunar
Yeh Sherdil hain
Jin ke Dum se Mustaqil
Yeh Sahilon ki Roshni
Yeh Manzilon ki Agahi
Yeh Zindagi ke Namabar
Yeh Azmaton ke Turjumaa'n
Yeh Deewar Ban ke Khare Paniyon
Aaye koi bhi Tufaa'n
Hain Pasba'n
Yeh Pasbaa'n
Yahi hai Apna Mudd'aa
Yahi hai Apni Muntaha
Har Ik Imteha'n mai
Wafa ho Apni Surkhuru
Watan pe Jaan de ke Hum Shaheed hon
Yahi Ragon mai hai Tarap
Yahi hai Apni Aarzoo
Samay ke Har Chiragh mai
Lahoo ho Apna Zufishan
Yeh Deewar Ban ke Khare Paniyon
Aaye koi bhi Tufa'n
Hain Pasba'n

Singer                        : Shafqat Amanat Ali
Poet                            : Amjad Islam Amjad
Music                         : Shafqat Amanat
Released                    : 2012
An ISPR Presentation.

Pasban-Yeh Deewar Ban Kar - Pak Navy Song by Shafqat Amanat Ali-MP3 Free Download-Click Here